Youtube channel playlist me video add kese kare

Youtube channel playlist me video add kese kare 
Hello friends aj is post me YouTube channel me video ko play list me add kese karte h iske bare me bata raha hu


YouTube channel me playlist ka kya use h iske bare me to ap jante hi honge play list ka use se ham hamare youtube channel ke videos ko category se set kar sakte h

Jese ham blog me category set karte h or jab kisi ko koi video dhundhna hota h to category me jakar find kar sakte h category me jis type ke ya category post dekhna chahte h dekh sakte h usi type se ham youtube channel me bhi videos ko playlist ka use karke sabhi videos ko category me set kar sakte h
       YouTube channel analytics se connect kese kare

Example -
Yadi apke youtube channel me 2 playlist h internet or facebook to ap facebook playlist me facebook se related videos add karenge or jab koi apke channel me aayenge or unko Facebook se related videos dekhna h to facebook playlist choose kar sakte h or sabhi facebook se related videos dekh sakte h ab to ap jan hi gaye hoge ki playlist kitna useful hoti h

Playlist me video add karne ke liye sabse pehle apne channel ke liye playlist create karna padta h yadi apne apne abhi tak nahi create kiye to ap ye post read kare or youtube channel ke liye playlist create kare youtube channel ke liye playlist kese banaye

Ab man lete h ki apne apne youtube channel ke liye playlist create kar liye h to dosto ab hame playlist me video add karna hoga to chaliye start karte h

Playlist me video add kese kare -

Youtube channel playlist me video add karne ke liye me yaha par bohot hi simple tips de raha hu

YouTube channel playlist me video 2 type se add kar sakte h video upload karte time or video upload karne ke bad to me yaha par video upload kar dene ke bad video play list me kese add karte h iske bare me bata raha hu playlist me video add karne ke liye niche bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare

1. Sabse pehle ap YouTube me jaye

2. Yadi apne YouTube mobile me open kiye h to apne mobile browser ko desktop mode me open kare

       YouTube channel verify kese kare class in hindi part 5

3. Ab apko left side me menu par click karna h

4. Ab yaha par apko kuchh option dikhai denge ap my channel par click kare

5. Ab screen me apka YouTube channel open ho jayega

6. Ab ap yaha par playlist par click kare

7. Playlist par click karne ke bad apko apke YouTube channel ki sabhi playlist dikhai degi ab ap jis playlist me video add karna chahte h uspar click kare

8. Ab playlist open ho jane ke bad ap add videos par click kare


9. Ab screen me ek window open ho jayegi ap yout YouTube videos par click kare


10. Ab yaha par apko apke YouTube channel ke videos dikhai denge

       YouTube channel layout customize kese kare

11. Ab ap jis video ko add karna chahte h us video par click kare or add video par click kare


12. Ab ap jis video ko playlist me add karna chahte the video add ho gaya h

Is prakar se ham youtube channel me videos ko playlist me add kar sakte h or sabhi videos ko category me set kar sakte h ummid karta hu apko ye post pasand jarur ayi hogi

        Youtube channel setup kese kare class in hindi part 3

Friends kesi lagi post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

  1. Bhai apko 1000 pageviews pe adsense kitna *pay* karta he ?

    ReplyDelete
  2. Bro click ke upar hota h kabhi kam click aate h kabhi jada me youtube me ads use nahi krta

    ReplyDelete
  3. Playlist par click karne ke bad KUCHH NHI DIKH RAH HAI MATLAB KI SABBLANK HAI KAHI BHIKOI ADDKA OPTIONNHI DIKH RAHA HAI

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock