Blog me domain add kaise kare
Hello friends aj is post me blog me domain kese add karte hai iske bare me bata raha huFriends pichhli post me mene bataya tha ki apne blog ke liye Free domain kese register karte hai yadi apne post read nahi kiye to jarur read kare aj ham registered domain ko apne blog me add karenge
Professional blogging karne ke liye Sabse important hota hai ki hamare pas ek Owen domain ho domain ko ham apne Brand ke tarah use kar sakte hai, blogger me ham subdomain ke sath apna blog create karte hai or bad me yadi apna custom domain add karna chahte hai to aasani se apna custom domain blog me add kar sakte hai
blog post google me fast index kese kare
Ap sabhi jante hai blogger me sub domain blogname.blogspot.com ke sath blog start karte hai or yadi ham apne blog me domain add nahi karte hai to hota kya hai hamare blog ki rank increase ho jati hai par yadi ham apne blog me new domain add kar lete hai ya apne blog ko kisi or other blogging platform par shift kar lete hai to jo hamara new domain hota hai uski rank 00 se start hoti hai
To ap samjh hi gaye honge yadi hamare old blog me custom domain hota to hamare domain ki rank 00 se jada hogi isi liye me apko bolna chahunga ap apna ek custom top level domain jarur add kare hamara custom domain ham kabhi bhi or kisi bhi blog me add kar sakte hai
Blogger me custom domain add kar ke ham apne blog se sub domain blogname.blogspot.com se blogname.com kar sakte hai apne blog url ko short kar sakte hai or easy bana sakte hai jisse hamare visitors ko url yad rakhne me aasani hoti hai
Blogging ke liye domain kitna important hota hai ap to jante hi ham yadi ap ek professional blog start karna chahte hai to ap uske liye ek top level paid domain jarur buy kare or apne professional blog me paid domain hi use kare bat kare free domain ki to free domain low quality domains hote hai in domains ko jada pasand ni karte hai free domains ap sikhne ke liye use kar sakte hai
Comment se do-follow backlink kese banaye
Pichhli post ki madad se apne apne blog le liye ek free domain jarur register kar liye honge aj is post ki madad se ham usi free .tk domain ko apne blog me add karenge to chaliye dosto start karte hai
.tk domain blog me add kaise kare -
.tk domain apne blogger blog me lagane ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne blog me domain jarur add kar payenge1. Sabse pehle ap blogger.com par jaye or apne google account (Gmail id) se login kare
2. Blogger dashboard open ho jane ke bad ap left side me settings par or uske bad basic par click kare
3. Yaha par apko apke blog ka address (URL) dikhai dega ap usi ke niche + set up a third-party URL for your blog par click kare
4. Ab ap yaha par www. Ke sath apna custom URL add kare is type se www.statusclip.tk or save button par click kare
5. Custom URL save karne par apko error dikhai dega ab hame domain me DNS setup karna hai
6. New window me ap domain website open kare or apne account me login kare
7. Ab ap yaha par my domain par click kare ab apke screen par apka domain name dikhai dega
Backlink kese banaye - best way to increase backlink
8. Yaha par ap domain name ke niche manage domain par click kare
9. Ab ap yaha par manage DNS (manage freenom DNS) par click kare
10. Ab hame yaha par record add karna hai to ap sabse pehle box me www type kare uske bad CNAME select kare ab last bale box me ghs.google.com type kare or save changes par click kare ye sabhi blogger me ek jesa (sem) hota hai
11. Ab apko yaha par new record add karna hai to sabse pehle ap upar pic me 1 no. Se dekhaya hu us code (cname,dns)ko copy kare or first box me past kare
12. Ab ap CNAME select kare, uske bad mene pic me jis code (cname, dns) ko 2 no. Me dikhaya hu us ko last bale box par click kare or save changes par click kare
13. Ab hamne CNAME successfully add kar liye hai ab hame A record add karna hai
14. Ab ap sabse pehle is A record ko copy kare ye record sabhi ke liye sem hote hai 216.239.32.21
15. A record add karne ke liye ap upar bale box ko khali (blank) rehne de or uske bad A select kare or last box me 216.239.32.21 is A record ko past kare or save changes par click kare
16. Jis type se hamne ek A record add kiye hai usi type se apko 3 or A record add karna hai
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21
17. Ab apne domain me DNS successfully add kar liye hai
18. Ab ap blogger me jaye or save button par click kare
19. Congratulations Ab apke blog me successfully custom domain add ho gaya hai
Backlink kya hai - types and benefit of backlink
Is prakar se ham apne blogger blog me custom domain add kar sakte hai or apne blog ka URL short or easy bana sakte hai
Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge ab tak ke liye bye....









