Facebook mobile number hide kaise kare

Facebook mobile number hide kaise kare

Hello friends aj is post me facebook mobile number hide kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Facebook users jab Facebook id (profile) create karte hai to facebook id create karne ke liye email id (gmail id) or mobile number ka use karte hai par email se jada mobile number ka use karke Facebook id create ki jati hai yese me jis mobile number use karke id banayi jati hai vo number hamari profile me show karta hai jisse koi bhi hamara mobile no. Dekh sakte hai jisse hamare pas Facebook friends and spam calls aane lagte hai.

Facebook me add number hide kyon kare -

Facebook id mobile number se create karne par hamara mobile number Facebook profile me show karne lagta hai jab koi facebook users hamare profile me about me click karte hai to about me hamara mobile number bhi show karne lagta hai or kuchh log yese hote hai jo Facebook id se number nikal ke calls karne lagte hai jisse kai bar users paresan ho jate hai, par yadi ham nahi chahte ki koi hamara mobile number dekhe to ham apna mobile number hide kar sakte hai.


Facebook me apne mobile number ko hide karne ke bad hamara mobile number hamari profile ke about se hide ho jata hai or jab koi hamari profile me jakar about me click karte hai to vaha par hamara mobile number show nahj karta hai vaha par sirf hamari add ki gayi information show hoti hai, Facebook me add mobile number hide karne ke bad ap koi hamara mobile number check nahi kar payenge or na hi hamare Facebook friends hame calls kar payenge to chaliye friends start karte hai or Facebook me add mobile number ko hide karte hai.

Facebook mobile no. Hide kaise kare -

Facebook me add mobile number ko hide karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apna mobile number jarur hide kar payenge.

1. Sabse pehle ap Uc browser me Facebook open kare or apni facebook id se login kare.

     Facebook page delete kese kare

2. Facebook open ho jane ke bad profile par click kare.


3. Ab apko yaha par apki Facebook profile dikhai degi ap about par click kare.


4. Ab kuchh niche apko mobile no. Dikhai dega or mobile no. Ke age edit dikhai dega ap edit par click kare.


5. Ab apko mobile no. Ke niche privacy dikhai degi or usi ke pas edit par click kare.


6. Ab apko yaha par 3 option show hoge.


     A. Public - yadi ap public set karte hai to apka no. Sabhi log dekh sakte hai.

     B. Friends - friends set karne par apka mobile no. Apke sabhi Facebook friends dekh sakte hai.

    C. Only me - only me set karne par mobile no. Sirf ap dekh sakte ho or koi nahi.

7. Ap yaha par Only me par click kare taki apka mobile number sirf ap dekh sake or koi nahi.


8. Only me set karne ke bad apka mobile number successfully hide ho gaya gai.

        Facebook page username kese change kare

9. Ab jab bhi koi apki Facebook profile me jakar about check karenge to vaha par apka mobile number show nahi hoga.

Is type se ham apne Facebook account me add mobile number ko hide kar sakte hai or apne Facebook friends or other Facebook users se apne number ko chhupa (hide) kar sakte hai, mobile number hide karne ke bad ab hame hamare facebook friends sirf facebook me message kar sake hai Facebook me number dekh ke calls nahi kar payenge.

      Facebook profile me video kese set kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.... 

Comments

  1. Facebook par number search krny se meri facebook show na aisa krny ka trika bta dein

    ReplyDelete
  2. Ap apna facebook mobile no. Hide kar dijiye

    Uske bad apka mobile no. Search karne par apki id show nahi hogi

    ReplyDelete
  3. Really awesome article, keep up the good work. God Bless you, wishing you every success !!!!!!

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock