Blog ke liye analytics account kaise banaye

Blog ke liye analytics account kaise banaye

Hello friends aj is post me apne blog or website ke liye analytics account kaise banate hai iske bare me bata raha hu.


sabhi blogger chahte hai ki apne blog me ane bale traffic ke bare me jane jese kaha se arahe hai, kitne visitor real time online hai, kis browser ka use kar rahe hai or konsi post me jada interested hai ye sabhi janna chahte hai, yadi ap bhi apne blog me aane bale visitors (traffic) ke bare me janna chahte hai to google analytics use karke apni website me aane bale visitors kr bare me jan sakte hai.


Analytics me ham apne blog or website ki real traffic dekh sakte hai, blogger me apne dekhe honge sahi sahi traffic or Page view show nahi karta hai par yadi ham google analytics ka use kare to apne blog ki real traffic ke bare me jan sakte hai and isme hame or bhi bohot sare features mil jate hai jinko achhe se use karke or analyze karke apne blog ki traffic increase kar sakte hai.

analytics kya hai - 

analytics google ki ek service (website) hai jisme ham apne blog or website ko connect kar ke apne blog me aane bale visitor ki activity ko dekh sakte hai.

       Google account secure kaise rakhe

Blogger ya other blogging platform me traffic check karne ke jada features available nahi hote hai or nahi thik se blog me aane bale traffic ko samjh pate hai par yadi ham analytics ka use kare to analytics me ham apni website ki real time traffic, pageviews, user or bhi bohot kuchh jan sakte hai, to chaliye friends start karte hai or apne blog ke liye analytics account create karte hai.

Google analytics account kaise banaye -

Apne blog or website ke liye analytics account banane ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi analytics account jarur bana payenge.

1. sabse pehle google analytics site me jaye or signup kare - google analystics


2. ab yaha par ek form fil up kare jisme apne blog ki info fill up karni hai.


          A. blog ka url add kare

          B. ab apne blog ka url enter                                    kare

          C. yaha par category choose kare.

          D. ab ap reporting time set kare to india set kare.

          E. ab get tracking id par click kare.

     gmail account name kese change kare

3. ab apko screen par tracking id dikhai degi us id ko copy kare.


4. ab blogger ke dashboard me jaye or settings par click kare.

5. settings par click karne ke bad other option par click kare.

       Google+ me bold, italic post kaise kare

6. Ab ap google analytics ke age bale box par tracking id past kare.


7. Ab ap save par click kare.

8. Ab apki website google analytics se successfully connect ho gayi hai.


9. Ab 24 hours ke bad apki website ki traffic or overview google analytics me show hona start ho jayegi.


Friends Kabhi kabhi blog me sirf Analytics tracking id add karne se website ki traffic analytics me show nahi hoti hai yadi tracking id lagane ke bad apki traffic analytics me show nahi ho to ap apne blog me analytics tracking code (script) jarur add kare is post ki madad se ap tracking code add kar sakte hai "blog me analytics tracking code add kaise kare" website me tracking code add karne ke bad website traffic analytics me show hona start ho jayega.

Is type se ham apni website or blog ke liye analytics account create kar sakte hai and apni website ko analytics se connect karke apni website me aane bale traffics ko thik se samjh sakte hai.

Analytics me kya kya dekh sakte hai -

Google analytics account me ham apni website ka kon-konsa data check kar dakte hai uske liye me yaha par analytics ke kuchh jada use hone bale feature ke bare me bata raha hu jisse apko un features ko samjhne me aasani hogi.

1. REAL-TIME -
Real time feature me ham website ki current time (real time) traffic or unki info check kar sakte hai jab ham analytics me REAL-TIME feature par click karte hai to kuchh option dikhai dete hai me unke bare me niche bata raha hu.

A. Overview - yaha par real time (current) me website me kitne visitors hai check kar sakte hai.

B. Location - yaha par real time me jo visitors website me hai vo kis country se hai check kar sakte hai.

C. Traffic Sources - is option par click karke ham real time traffic ka source pata kar sakte hai ki traffic kaha se Arahi hai organic hai hai social se hai.

D. Content - yaha par real time traffic kis kis post me hai pata kar sakte hai.

2. AUDIENCE -
Is features ki madad se ham apne blog ki traffic ke bare me bohot kuchh jan sakte hai jab ham AUDIENCE par click karte hai to hame kuchh option dikhai dete hai jinke bare me niche bata raha hu.

A. Overview - yaha par ham apne blog ki audience overview check kar sakte hai yaha par ham users, page views, new users, Sessions, bounce rate ye sabhi check kar sakte hai.

B. Active Users - yaha par ham apni website ke active users jan sakte hai.

C. Mobile - yaha par ham mobile, tablet, desktop kis device se kitni traffic aati hai iske bare me pata kar sakte hai.

D. Technology > browser & os - yaha par ham apne blog me konse browser se or konse operating system se kitna traffic aaraha hai iske bare me jan sakte hai.

3. ACQUISITION -
Is feature se ham blog me konse source se traffic aaraha hai iske bare me jan sakte hai, ACQUISITION me ham AdWords, search console, social traffic ke bare me jan sakte hai.

4. BEHAVIOR -
Yaha par ham website me aane bale users ke BEHAVIOR ke bare me jan sakte hai, BEHAVIOR option par click karne par hame kuchh option show hote hai jinke bare me niche bata raha hu.

A. Site Content - yaha par ham apni website ki konsi post me kitna traffic hai iske bare me jan sakte hai.

B. Site Speed - yaha par ham apne website ki speed, user timing, ke bare me jan sakte hai.


Upar bataye gaye google analytics ke sabhi features ka use karke ham apne website or blog ki traffic ko achhe se check kar sakte hai or samjh sakte hai, Friends google analytics me or bhi bohot sare features hai jinka use karke ap apni website ki traffic ke bare me jan sakte hai mene yaha par analytics ke jada use hone bale kuchh features ke bare me bataya hu apko analytics me or bhi bohot sare features mil jayenge.

      apna about homepage create kaise kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga, next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock