Perfect guest post kaise likhe

Perfect guest post kaise likhe

Hello friends aj is post me perfect guest post kaise likhe iske bare me bata raha hu.


Sabhi bloggers apne blog me traffic badhane ke liye sabh kuchh karte hai jo kar sakte hai or apne blog traffic or ranking increase karne ke liye other blogs par guest post bhi karte hai, guest post se hamare blog ka promotion ho jada hai other blog se traffic aajata hai or guest post se other blog se backlink bhi mil jata hai.

Guest post kya hai -

Guest post vo post hoti hai jo ham kisi other blog ya website par karte hai jisse hamare blog me other blog se backlink or traffic mil jata hai jisse hamare blog ki ranking me madad mil jati hai or hamara blog or website fast growth karne lagti hai.


Guest post se backlink increase karne ka ek bohot achha idea hai or jada tar bloggers backlink ke liye hi dusri website me guest post karte hai taki other website se aasani se backlink mil sake, guest post se backlink to milta hi hai sath sath hamare blog ko other website se traffic bhi mil jata hai or apne blog ki popularity bhi badh jati hai ya kahe to online promotion bhi ho jata hai.

       Seo friendly post kaise likhe

Backlink, referral traffic, and online promotion ke liye guest post ek good choice hai but bohot sare bloggers guest post likhte time bohot sari galtiya bhi karte hai or apni guest post ko thik se nahi kar pate hai to ham aj in sabhi chizo ki bat is post me karenge taki jab bhi jis bhi blog ya website me guest post send kare to ek achhi post send kare taki us guest post ka pura benefit hamare blog ko mil sake.

Perfect guest post likhne ke liye important tips -

Yaha par me guest post likhne se lekar send karte tak ke important tips bata raha hu jo kuchh point me hai so ap aage bataye gaye point ko dhyan se read kare or guest post likhte time sabhi points ko thik se follow kare ap bhi ek perfect guest post jarur kar payenge.

1. Choose Topic -
Guest post likhne se pehle ap ek achha or best topic choose kare taki ap us topic par ek achhi guest post likh sake.


Topic choose karte time ap jis tarah se apne blog me post karte time research karte hai usse jada ap guest post likhte time research kare or ek achha keyword choose karke post likhe taki apki guest post me jada se jada traffic aaye jitna jada guest post me traffic hoga utna hi jada chances honge apko jada se jada referral traffic milne ka.

2. User Friendly Post -
Aksar log sochte hai guest post to hai jaldi jaldi kese bhi likh ke send kar deta hu taki backlink mil jaye friends backlink to hame mil hi jayega par ham guest post se backlink ke sath sath achhi traffic bhi le sakte hai.

Other blog or website se jada se jada referral traffic apne blog me lane ke liye important hai ki hamari guest post user friendly ho ham jo batana chahte hai aasani se samjh aaye isse jab post me hamara link dikhai dega to users hamare blog ko ek bar or jankari ke liye jarur check karna chahenge.

3. Site Intro -
Guest post me apna or apne blog ka intro achhe se dena chahiye aksar log post  ke  last  me "ye ek guest post hai or mera blog url ye hai http://www.reehinditrick.in" is type se likh dete hai bas or ye achha idea nahi hai.

       Post me download button add kese kare

Guest post likhte time hame apna or apne blog ka thik se intro dena chahiye ap apna or site ka intro post ke upar ya post ke niche ek alag paragraph me de jisse post read karne bale users ko aasani se samjh aajayega ki ye ek guest post hai or hamare blog ka online promotion bhi ho jayega

4. Choose Ranked Blog -
Guest post likhne ke bad post send karne ke liye yese blog ko choose kare jo pehle se ranked ho or un blog ki post search result me first page me show ho.

Yadi ham guest post ke liye ranked blog choose karenge to hamari guest post bhi top par aane ke chances jada hote hai yadi post top par rahegi to post me visitors bhi jada aayenge isse hamare blog me referral traffic increase hoga.

5. Choose High DA, PA Blog -
DA ko domain authority or PA ko page authority bolte hai ham jitne Jada high DA and PA bale blog me guest post karenge hamare blog ko utna hi jada benefit hoga.

High DA PA blog se milne bala backlink blog ke liye bohot achha hota hai or usse hamare blog ki DA or PA increase hone me madad milti hai yadi ap guest post karna chahte hai to ap 20+ DA ot 20+ PA ya isse jada DA PA bale blog ko guest post karne ke liye choose kare.

Benefits of guest post -


1. Guest post se backlink increase hote hai.

2. Traffic increase hota hai.

3. Referral traffic increase hota hai.

4. Blog promotion ho jata hai.

5. Blog ki popularity badhti hai.

6. Blog ranking increase hoti hai.

7. Blog ka DA PA increase hota hai.

8. Alexa rank kam hota hai, blog ki alexa rank jitni kam ho utna better hai.


Upar bataye gaye sabhi benefit guest post se hone bale benefit hai ummid hai ab ap guest post sirf backlick ke liye nahi karenge uske badle backlink, promotion and traffic lene ke liye bhi karenge or upar bataye gaye tips ko follow karke ek perfect guest post likhenge.

      Free domain register kaise kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock