Google map me address add kaise kare

Google map me address add kaise kare

Hello friends aj is post me google map me apna address kaise dalte hai iske bare me bata raha hu.


Friends lagbhag sabhi log chahte hai ki hamara address, shop address google map me show ho taki jab bhi koi google map me hamara address ya shop address search kare to aasani se mil jaye yadi ap bhi apna address google map me add karna chahte hai to me aj apko bohot achhi or easy trick batane bala hu jisse ap aasani se apna address google map me add kar sakte hai.


Google map me ham koi bhi address free me add kar sakte hai or iske liye hame kisi ko paise dene ki jarurat bhi nahi hai ham khud se bhi apna address or shop address google map add kar sakte hai, google map me address add karne ke bad koi bhi hame google map me aasani se find kar payenge.

Map me address add kyon kare - 

Google map me apna address kyon add kare iske liye Me yaha par apko bohot achha example bata raha hu jisse apko lagega ha add kar dena chahiye.

        Google map address verify kese kare

Friends me village me rehta hu mere village ka name thoda ulta hai to kuchh logo ko samjh nahi ata ki kese search kare map me spelling mistakes ho jati hai fir mene apna address map me add kar diya ab jab bhi koi new friends puchhte h tumhare ghar kese aa sakta hu to me bol deta hu ap mera pura name google map me search kar lena ap aaram se aasakte ho to dosto ab ap samjh gaye hoge to chaliye dosto start karte hai.


Google map me address add kaise kare -

Apna address google map me add karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apna address jarur add kar payenge.

Friends google map me address add karne ke liye me apko yaha par 2 (do) trick bata raha hu apko jo bhi achhi lage ap us trick ka use karke apna address google map me add kar sakte hai yadi 1 trick se address add na ho to ap second trick use kare or second method se apna address add kare.

TRICK NO. 1

1. Sabse pehle ap apne mobile me google map open kare.

2. Ab google map ko apni gmail id se connect kare.

      Google map address edit kese kare

3. Map ko gmail id se connect karne ke bad ap apne mobile ki location on kare.


4. Ab google map me location icon par click kare ab kuchh hi der me apki location map me dikhai dene lagegi ek dot (⋅) Ke rup me.

5. Ab location dot (⋅) icon par click kare.


6. Yaha par apko kuchh option dikhai denge ap add a missing place par click kare.


7. Ab apke Mobile me ek form show hoga apko us form ko thik se fill up karna hai.


A. Palace name - yaha par apna ya place ka name add kare.

B. Address - address ke pas location ke icon par click kare.

C. Category - ab yaha par category choose kare home h ya shop or kuchh yaha par choose kare.

D. Add phone, photo or more me click kare yadi ap add karna chahte hai.

8. Ab send ke icon par click kare ab apka address send ho gaya h 24 hours me apka address map me ajayega.

       Google map address delete kese kare

9. Ab apne apna address successfully send kar diye hai.

10. Ab apko apna address approve hone ka wait karna hoga address approved hone me 24 hours bhi lag sakte hai.

TRICK NO. 2

1. Sabse pehle ap apne android mobile me google map open kare.

2. Ab ap apne mobile ki location on kare.


3. Ab ap google map Menu par click kare.


4. Ab apko yaha par bohot sare option dikhai denge ap Add a missing place par click kare.


5. Add a missing place par click karne ke bad apko 2 option dikhai denge.


Business or landmark - yadi ap apna business address add karna chahte hai to Business or landmark option par click kare.

House or apartment - yadi ap ghar ka address add karna chahte hai to House or apartment option par click kare.

6. Ab apke Mobile me ek form show hoga apko us form ko thik se fill up karna hai.


A. Palace name - yaha par apna ya place ka name add kare.

B. Address - address ke pas location ke icon par click kare.

C. Category - ab yaha par category choose kare home h ya shop or kuchh yaha par choose kare.

D. Add phone, photo or more me click kare yadi ap add karna chahte hai.

7. Ab send ke icon par click kare ab apka address send ho gaya h 24 hours me apka address map me ajayega.


8. Ab apne apna address successfully send kar diye hai.

9. Ab apko apna address approve hone ka wait karna hoga address approved hone me 24 hours bhi lag sakte hai.

       Google my business account kaise banaye

Is type se ham apne android mobile se aasani se google map me apna home address or business address add kar sakte hai, address approve ho jane ke bad hamara add kiya gaya address google map me search karne par search result me show hone lagega.

Note -
Mene bhi apna address isi process se add kiya hu ap chahe to google map me reetesh chandrawanshi search kar ke check kar sakte hai.

      Android app background data off kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

  1. Thnx Bhai

    . But Yara yh Windows phone Se Google m Address kse Add Kre...........??

    ReplyDelete
  2. Sorry dear
    Me window phone use nahi karta is liye is bare me koi idea nahi de sakta
    Ap kisi or ka android mobile use karke add kar lijiye.

    ReplyDelete
  3. Thnx yara ". But yrr Isme Add a missing place ka option nahi aa raha.
    ..

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock