Whatsapp group chat invite kaise kare

Whatsapp group chat invite kaise kare

Hello friends aj is post me whatsapp group chat invite kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Group chat invite whatsapp ka ek bohot hi accha feature hai iski madad se hame apne group me members ko add karne me bohot aasani hoti hai is whatsapp group chat invite feature ki madad se ham apne group ki invite link create kar sakte hai or aasani se uski madad se members add kar sakte hai.

Group chat invite ke fayde -
kabhi kabhi yesa hota hai ki hamare pas sirf 50-60 logo ke whatsapp no. hote hai par hamko or jada logo ko hamare whatsapp group me jodna hota hai isliye ham kisi or ko bhi group ka admin banana padta hai.


kabhi kabhi yesa hota hai ki ham jisko group admin banate h vo hamko hi remove kar deta h or uske hath me bhi pura group ka access hota h isi se bachne ke liye ham group chat invitation ka use kar sakte h isse jiska no. hamare pas nahi hota usko bhi ham group me add kar sakte h or sabhi group member ka no. save karne ki jaroorat nahi padti.

Group chat invite kam kese karta hai -
jab ham hamare group ka group chat invite link banate hai or usko facebook ya fir whatsapp group me send karte hai tab jisko bhi hamare group me add hona hota h jab vo hamare invite link par click karta h to vo direct whatsapp me aajata h or jese hi vo invite except karta h to vo sidhe hamare group me add ho jata hai.

      Whatsapp msg mute kese kare

Group chat invite feature ke karan group me members add karne ke liye kisi or ko group ka admin banane ki jaroorat nahi padti or jisko add karna hai uska no. save karne ki jaroorat bhi nahi padti to ab to ap samjh hi gaye hoge ki group chat invite link kitne kam ka hai to chaliye ab post me aage chalte hai.

Whatsapp group chat invite kese kare-

whatsapp group chat invite karne ke liye ap aage bateye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne group ki joining invite link jarur create kar payenge.

1. sabse pehle apne mobile me whatsapp open kare.

      whatsapp me custom ringtone kese use kare

2. Whatsapp open karme ke bad ab ap apna whatsapp group ko open kare.


3. ab ap yaha par group ke name paar click kare.

4. Group information open ho jane ke bad ap add participant par click kare.



5. ab yaha par sabse upar invite to group via link par cllick kare.


6. send link via whatsapp par click karoge to ap apke sabhi group or contact me link send kar sakte ho.


7. copy link ap yaha se link ko copy kar sakte ho or facebook, hike, kahi bhi le jakar past karke link send kar sakte ho.


8. Ab apki post ki gayi link par jab bhi koi click karenge vo sidhe whatsapp me redirect ho jayenge or apke group me add ho jayenge.

Is type se ham whatsapp group chat invite feature ki madad se WhatsApp group me members ko add kar sakte hai or uske liye kisi or ko group admin banane ki jarurat nahi padegi or na hi jisko add karna hai uska no. Save karne ki jarurat padegi.

     Whatsapp chat popup start kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock