Apni pic google+ me save kese rakhe

Apni pic google+ me save kese rakhe 
Hello dosto me reetesh chandrawanshi kese ho ap sab ummid h ap sab thik hoge dosto aj me bohot hi interesting post lekar aya hu jiski madad se ap apni pic ko google save rakh sakte ho or ye post apko jaroor se pasand ayegi



Dosto hamare pas hamari kuchh yesi pics hoti h jinko ham delete nahi karna chahte h or sochte h ki kahi kabhi delete n ho jaye kabhi kabhi memory card kharab ho jata h jisme sabhi pic kharab ho jati h ya mobile chori ho jata h to hamara sara deta hamare hatho se chala jata h par ham jab new device lete h to usme ham songs or video to net se dawnload kar lete h par jo hamari pic hoti h vo vapas nahi mil pati par yese me me ham apni kuchh achhi pic ko google+ me upload kar sakte h or upload ki hui pic ko kabhi bhi kahi bhi dekh sakte h dawnload kar sakte h to ab ap samjh hi gaye hoge ki google+ me hamari pic upload karne se hame new device me bhi ya other device me bhi mil sakti h to chaliye dosto start karte h kese ham apni pic google+ me upload kar sakte h

     Mobile banking kese use kare

Dosto ye bohot simple trick h isse sirf apko sabhi steps ko thik se follow karna hoga or apka mobile ya computer net connection thoda fast hona chahiye kyonki google+ 2g me bohot jada slow hota h isliye me batana jahunga ap 3g ,4g ya wifi ka use kare to dosto start karte h google+ me pic upload karne se pehle google+ me hame collection banana padta h uske bad pic upload karna hota h to chaliye pehle collection bana lete h


Google+ me collection kese banaye -

1. Sabse pehle apne mobile ya computer me chrome browser open kare

2. Yaha se ap www.google+.com ya www.googleplush.com par jaye direct google+ me jane ke liye yaha click kare -- google+

3. Ab yaha par apni gmail id se login kare

4. Gmail id se login karne ke bad google+ open ho jayega ab apko yaha par left side me menu par click karna h jo ek sath 3 line h uspar click karna h



5. Ab yaha par collection par click kar



6. Yadi apka pehle se hi collection bana h to us par click kare yadi nahi h to create a collection par click kare

       Freecharge kese use kare

7. Yaha par ap 1. No. Me collection name dale
 2. No. Me Apko visible choose karna h jese ki apki pic kon kon dekh sakta sabhi ko dikhana h to ap public rehne de only me se karne par sirf ap dekh paige jo bhi apko set karna ho 3 no. Me apko collection ki tag line add karna h 4 no. Me create par click kare



8. Yaha par ap collection ka color choose kar sakte ho collection ki pic dal sakte ho or save par click kare



Ab apka collection create ho gaya h ab ap collection me pics upload kar sakte h

      Facebook page delete kese kare


Google+ me pic kese upload kare -

1. Sabse pehle apna collection open kare

2. Yaha par apko niche side me pencil (✎) ka icon dikhai dega is par click kare

3. Yaha par niche camera ke icon par click kare



4. Upload photo par click kare



5. Ab gallery se jo bhi pic upload karni h us pic ko choose kare



6. Yaha par pic ke bare me jo bhi likhna chaho likh sakte h or post par click kare



Ab upki pic successfully upload ho chuki h apko apke collection me ye pic show hone lagegi yadi ap in sabhi steps ko thik se follow karenge to ap bhi jaroor se google+ me apna collection bana sakte ho or collection me apni pic bhi upload kar paoge dosto kesi lagi ye post batana jaroor yadi apko koi bhi problem aye to mujhe comments karna me apki help jaroor karoornga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock