YouTube channel trailer video set kese kare

YouTube channel trailer video set kese kare 
Hello dosto aj is post me YouTube channel trailer video kya h or YouTube channel trailer video set kese kare iske bare me bataya gaya h


Yadi apka YouTube me channel h to ap bhi apne channel ka trailer video upload karna chahenge h to chaliye dosto pehle jante h youtube channel trailer video kya hota h kyon jaruri hota h.
      Youtube channel setup kese kare class in hindi part 3

Youtube channel trailer video kya h or kis kam aata h -
Apne bohot se movies dekhe hoge jo release hone se pehle movie ka trailer lunch kar dete h us video me movie ke bare me kuchh information hoti h jisko dekh kar andaja (pata) laga lete h ki movie me kya kya h

Usi prakar ham apne youtube channel ka trailer video create kar sakte h or trailer me apne chanel ke bare me kuchh information dal sakte h or youtube me channel trailer ka ek khas feature h jiski madad se ham channel ka trailer video upload kar sakte h

Youtube channel trailer feature ki sabse achhi khas bat h ki yadi ham trailer video upload kar dete h to hamara channel ka trailer video sabhi videos ke upar show hota h

      YouTube basic jankari classes in hindi part 1

Youtube channels me  trailer video  upload karne ke bad jab koi hamare channel me jata h to sabse pehle usko hamare channel ka trailer video show hota h jisme hamare channel ke features or information hoti h or jab koi trailer video dekhte h to channel subscribe karne ki ummid badh jati h.


YouTube channel trailer video add kese kare -

YouTube channel me trailer video add karna bohot hi aasan h bas apko niche bataye gaye sabhi steps ko thik se follow karna hoga to chaliye dosto start karte h

1. Sabse pehle ap apne youtube channel ke liye ek achha trailer video bana lijiye

2. Uske bad YouTube open kare yadi ap ne mobile se YouTube open kiye h to ap mobile browser ko desktop mode me open kare

3. Ab ap apna YouTube chanel open kare

4. Ab us video ko upload kare jo apne channel ka trailer create kiye h channel trailer video ko ap simply jese sabhi video upload karte h usi type se upload kar dijiye

      YouTube me branding watermark set kese kare

5. Channel trailer video upload karne ke bad ap apne YouTube channel me return aa jaiye

6. Ab yaha par apko subscribe ke side me ek setting ka icon dikhai dega us par click kare


7. Customize the layout of your channel is option ko enable (on) kare  or save button par click kare


8. Jese hi ap save button par click karenge to apka page refresh ho jayega or kuchh new option opko dikhai denge

9. Ab ap yaha par for new visitors par click kijiye


10. Ab apko channel trailer ka option dikhai dega us par click kare


11. Ab ek chhoti new window open hogi or usme videos dikhai denge apko usme se ek video ko select karna h jo apke channel ka trailer video h or save button par click kijiye


Ab apke YouTube channel me trailer video add ho gaya h ab apke channel me jo bhi new visitors ayenge unko apka YouTube channel trailer video sabse first me dikhai dega

      Youtube video me custom thumbnail set kese kare

Dosto kesi lagi ye post batana jarur se yadi apko koi problem aye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock