Blog post redirect kese kare

Blog post redirect kese kare 
Hello friends aj me is post me blog post ko redirect kese karete h iske bare me share kar raha hu


Friends yadi apke pas blog/website h to apko redirecting ke bare me pata hona chahiye kyonki blog me kabhi kabhi hame redirecting ki jarurat padti h

Blog post redirecting kya hoti h - 

Blog post redirecting ko simple language me samjhe to iska matlab old url se automatic new url me chale jana ya redirect ka use ham ek url (old) url ko dusre new url me forward karne ke liye karte h blog post redirect ko 301 redirect bhi bolte h blog website me redirect (redirecting)  alag alag type ki ho sakti h

      crawl error kya h or fix kese kare

Ex.
1. Blog post redirect

2. Http redirect

3. Domain redirect


Or bhi redirecting hoti h par is post me blog post 301 redirect ke bare me janenge 301 redirect ki madad se ham aasani se kisi old post url ko new post url me forward (redirect) kar sakte h.

Blog post redirect karne ki jarurat kab padti h -

1. Hamare blog me kuchh yesi post hoti h jo kuchh days ke bad expire ho jati h or vo post visitors ke liye koi kam ki nahi hoti yese me hame post ko url sahit upadte karna hota h ya fir post ko delete karna hota h par post ko delete karne ke bad koi usme visit karte h to 404 page not found dikhai deta h isse visitors ko thik nahi lagta or vo turant wapas chale jate h par yadi ham delete hui post ke url ko home page ya kisi other post me redirect kar sakte h

2. Kabhi kabhi aaksar yesa hota h ki ham post url set karte time kuchh galti kar dete h or fir us galti ko sudharne ke liye ham post url change kar dete h to hamari post ka old url expire ho jata h or ek new url create ho jata h par jab koi old url se visit karte h to page not found show hota h yese me ham expire (old)  url ko new url me redirect kar sakte h

3. Redirect ka use karke ham blog website me aane bale crawl errors ko bhi kam kar sakte h.

       Blog Post url change karne ke bad kya kare full guide

Ab ap samjh hi gaye hoge ki ek blogger ke liye redirect kitna kam ka feature hota h to chaliye ab jante h ham blogger blog me blog post ko redirect ki prakar se kar sakte h

Blog post redirect kese kare -

Blog post redirect karne ke liye apko niche bataye gaye sabhi steps ko thik se follow karna hoga me yaha par url change karne ke bad old url ko new url post me redirect karna bata raha hu.

1. Sabse pehle ap  blogger me login kare or dashboard open kare

2. Ab ap jis post ka url change karna chahte h uske niche view par click kare

3. Ab ap jis post ka url change karna chahte h post blog me open ho jayegi ab ap post ka url copy kar lijiye
Ex.
http://alltrickinfo.blogspot.in/2017/05/Kya-apne-facebook-ka-frame-feature-use.html?m=1

4. Post url copy karne ke bad notepad me past kare or save kar dijiye

     Blog hyper link color change kese kare

5. Ab ap jis post ka url change karna chahte h us post ke niche edit par click kare or url change karne ke bad publish kare


6. Ab apne jis post ka url change kiye h uske niche view par click kare post open hone ke bad url copy kar lijiye or notepad me past kar je save kare

7. Ab ap blogger dashboard par bapas aaye or setting par click kare

8. Setting par click karne ke bad apko kuchh option dikhai denge ap search preferences par click kare


9. Ab yaha par custom redirect ke aage bale option edit par click kare


10. Ab yaha par apko from ke aage bale box me old url add karna h


Apka url kuchh is prakar se hoga

http://alltrickinfo.blogspot.in/2017/05/Kya-apne-facebook-ka-frame-feature-use.html?m=1


Par apko yaha par sirf itna hi past karna h.
/2017/05/Kya-apne-facebook-ka-frame-feature-use.html

11. Ab ap yaha To ke aage bale box me new url add kare apka url is type se hoga

http://alltrickinfo.blogspot.in/2017/05/Kya-apne-facebook-ka-frame-featudre-use-kiya.html?m=1

Yaha par ap sirf itna url past kare

/2017/05/Kya-apne-facebook-ka-frame-featudre-use-kiya.html

12. Ab ap permanent ke aage bale box me tick kare or save par click kare


13. Ab last me apko save change par click karna h or redirect setting ko save kar dijiye


14. Ab apki old post url new post url me successful redirect ho gaya h ab jab bhi koi old url se apki post me visit karenge to new url me redirect hokar new post open ho jayegi

       Blog me link+image add kese kare

Is prakar se ham apne blog ki old post ko new post me redirect kar sakte h or page view loss hone se bacha sakte h.

Note -
Blog post redirect kese kare is post ko puri tarah se working me lane ke liye rohit bhai ne achhi help kiye h jo hindi me help (hmh) website ke founder h click and go hindimehelp

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye yo ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Important -
WordPress me post ko redirect karne ke liye ap is post ko read kare.
WordPress post redirect kese kare
Tags

Post a Comment

20 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
  1. sr bhot hi accha jankari share kiya hai aapne srmera ek saaval haki maine wp se blogger par blog ko transfer kiya hai to kya redireckt karne sewp ka post ka track mere bloggerf blog me a jayega kya

    ReplyDelete
  2. Nahi wp ki post blogger post me redirect nahi kar sakte, bhale blogger post wp ki post me kar sakte hai

    Blogger me abhi option available nahi hai.

    Ap is post ki madad se blogger ki old post ko new post me redirect kar sakte ho .

    ReplyDelete
  3. nice brother kia aap bta skte ho wordprees me kese kr skte h..

    ReplyDelete
  4. Bhai isi post ke sabse niche wordpress post redirect kaise kare is link par click karke post ko read kare ap jarur kar payenge.

    ReplyDelete
  5. thanks and support reehinditrick

    ReplyDelete
  6. Promarsh
    Blog post ko redirect karne ke baare mein aapne achhi jaankari di.
    Thanks for sharing

    ReplyDelete
  7. Aap ne blogging ke bare me bahut shandar information di he sir ji

    ReplyDelete
  8. wow such a great post i really love this post and thanks for sharing such kind of postBlogging saif

    ReplyDelete