Blog backup kaise banaye

Blog backup kaise banaye
Hello friends aj is post me blogger blog ka backup kese banate h iske bare me bata raha hu


Friends ap to ye bat jarur manenge ki yadi apka blog h to ap apne blog me mehnat jarur karte honge or ap ye kabhi nahi chahenge ki thodi si galti ke karan apka sara blog data apke hath se chala jaye


Blog backup kese banaye isse pehle hame jan lena chahiye ki blog backup kya h or blog ka backup q jaruri hota h

Blog backup kya h -
Blog backup hamare blog ki second copy hota h jo hamare computer hard drive me save hoti h jiski madad se ham apne blog me kuchh problem hone par blog ko fir se restore kar sakte h

        Blog me social media widget/button add kese kare

Ap sabhi ye to jante hi honge ki blogger blog google server me host hota h or yese me yadi ham google ki condition ko follow nahi karte h or blog me kuchh galat kar dete h to ho sakta yese me hamara blog delete bhi kar diya ja sakta h

Par yadi hamare pas blog ka backup h to ham new blog banake apne blog ko restore kar sakte h ap apne blog ka backup har week ya har month le kena chahiye


Yadi ap chahe to apne blog ka backup online bhi rakh sakte h par uske liye sabse pehle apko apne computer/mobile me blog backup download karna hoga or backup download karne ke bad ap chahe to blog backup ko computer me rakh sakte h or ap chahe to ap google drive me bhi upload kar sakte h

Blog backup kyon banaye - 
Blog ka backup kyon banaye iske bare me me apko kuchh reason bara raha hu jinko janne ke bad ap bhi apne blog ka backup lena start kar denge

1. Yadi hamara blog galti se delete ho jata h to ham backup ki madad se fir se blog ko restore kar sakte h

2. Bohot bar yesa hota h ki blog me kuchh work karane ke liye ham blog ka access kisi or ko de dete h par hame pata ni hota hamare blog ke sath kya ho jayega

        Blog me comment setting kese kare

Yadi ap bhi kisi ko blog ka access dete h to ap pehle apne blog ka backup jarur bana le uske bad hi kisi ko blog ka access de blog me kuchh problem hone par backup ki madad se fir se restore kar sakte h

3. Yadi ham blog ko kisi or platform me migrate karte h to bhi hame blog ke backup ki jarurat padti h

4. Yadi google ki kisi conditions ko follow nahi kar sakte h or blog delete ho jata h to ham new blog banakar blog ko fir se bana sakte h

To friends ab ap samjh hi gaye honge blog ka backup banana kitna jaruri hota h me apko bolna chahunga vese to backup banane me jada time ni lagta h ap har week backup jarur banaye

Blog ka backup kaise banaye -

Apne blogger blog ka backup banane ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne blog ka backup jarur bana payenge

1. Sabse pehle ap blogger.com par jaye or apni gmail id se login kare

2. Blogger me login ho jane ke bad apke screen me blogger dashboard open ho jayega


3. Ap yaha par setting ke icon par click kare

         Blog me Facebook page add kese kare

4. Setting par click karne ke bad apko kuchh option dikhai denge ap other par click kare


5. Ab ap yaha par Back up content par click kare


6. A. Apke screen me ek pop-up window open hogi ap yaha par save to your computer par click kare


7. Ab apke blog ka backup apke computer/mobile me download ho jayega

8. Ab ap chahe to download kiye gaye blog backup ko Google drive me upload kar sakte h


9. Ab apne apne blogger blog ka backup successfully bana liye h

         Mobile se blogging kese kare important tips

Is prakar se ham apne blogger blog ka backup bana sakte h or blog me kabhi kuchh problem hone par apne blog ko fir se restore kar sakte h

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

  1. Nice bro visit here for more tricks www.Howtechinfo.com

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock