Net banking kya h net banking start kaise kare

Net banking kya h net banking start kaise kare
Hello friends aj is post me net banking kya h or kese start karte h iske bare me bata raha hu


Apne mobile banking or net banking ke bare me to sune hi honge or ho sakta h ap inka use bhi karte honge yadi ap mobile banking ke bare me janna chahte h to ap ye post padhe "mobile banking start kese kare" or net banking ke bare me janne ke liye post continue kare


Yadi hame bina bank jaye apne bank account ko access karna ho to important hota h hamare account me net banking enable ho net banking ki madad se ham apne account ko bina bank jaye access kar sakte h sabse pehle jan lete h net banking kya h

Net banking kya h -

Net banking bank se provide ki jane bali service h jisse bank account user internet ki madad se kahi bhi or kabhi bhi kisi bhi device me apna bank account ko access kar sakte h or apne bank account ki pal pal ki khabar rakh sakte h vo bhi free me

          Mobile banking se pese transfer kese kare

Net banking ko internet banking, online banking, e-banking, retail banking, bhi bolte h but jada tar net banking hi boli jati h to ap name se confuse na ho jaye iske liye ap name yad rakhe


Net banking ka sabse achha kam h ki ham apne bank account ko bina bank jaye hi account kar sakte h or jo kam ham bank jakar karte h vo sabhi kam ham bina bank jaye net banking ki madad se kar sakte h

Net banking feature (net banking ke fayde) -
Net banking banking se user ko bohot sare fayde hote h or bohot sare features use karne ko mil jate h jinme se kuchh best ke bare me yaha bata raha hu

1. Sabse achha fayda to ye h ki ham bar bar bank jane se bach jate h

2. Apne bank account ko kabhi bhi kahi bhi kisi bhi device me access kar sakte h

3. Balance check kar sakte h

4. Payment kar sakte h

        Mobile banking mpin or login password kese change kare

5. Statement check kar sakte h

6. Online shopping kar sakte h

7. Mobile/DTH recharge kar sakte h

        Mobile banking se recharge kese kare

8. Bank se request kar sakte h

Yese or bohot se fayde ham net banking se le sakte h or bohot sare features ko use kar sakte h ab ap net banking kya h or net banking ke fayde ke bare me to samjh hi gaye honge to chaliye dosto jan lete h kis type se start kar sakte h

Net banking start kaise kare -

Apne bank account me net banking enable karne ke liye ap aage bataye gaye tips ko follow kare

1. Sabse pehle ap jis bank me apka account h bank jaye

2. Ab ap bank me jakar net banking form mange


3. Net banking form apke pas aajane par ap form me apni details thik se fill up kare
Example -
Apki personal information
Account no.
Mobile no.
Date of birth

        Mobile banking kese use kare

Ye sabhi details ko net banking form me thik se fill up kare

4. Net banking form ko thik se fill up kar dene ke bad ap bank me submit kar dijiye

5. Form submit karne ke bad ap 15-20 days wait kare

6. 15-20 days ke bad apke ghar 2 post aajayegi

         Mobile me zip file kese banaye

7. Yadi apke ghar post nahi aati h to ap bank jakar sumpark kar sakte h kabhi kabhi direct bank me aajata h

8. Net banking enable post apko mil jane par ap post open kare

9. Ek post card me apko net banking user id milegi or dusri post me login password or transaction password milega

          Contact no. Google drive me save kese rakhe

10. Net banking user id or password mil jane par ap apne bank ki official website (net banking  website) open kare or login page par jaye

11. Ab ap yaha par sabse pehle apni user id dale or post card me diya gaya login password dale or login kare

12. Jese hi ap first time net banking me login karenge apko new password set karne ko kaha jayega bina new password set kare ap dashboard open nahi kar paoge

13. Ab ap yaha par new password set kare apko strong password set karna padega low password set nahi hoga ap password ka structure is type se rakh sakte h

Example -
1. 9685@#Ree@6364
2. Ree#@9685$3435

Ye password structure hard hota h to ap is type ka structure use kar ke apni pasand ka password set kar sakte h

        Android mobile garam (heat) kyon hote h

14. New password set karne ke bad ap login page par jaye

15. Ab ap new password ke sath fir se login kare uske bad ap net banking dashboard me chale jaoge


16. Ab ap net banking ke sare features ka use kar sakte h balance check kar sakte h, transaction kar sakte h or bohot sare kam kar sakte h

Ab apke bank account me net banking enable ho gayi h ap jab chahe bina bank jaye apke bank account ko internet ki madad se access kar sakte h or apna bohot sara bank jane ka time bacha sakte h

            Android mobile automatic switch off or on kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock