Facebook messenger me secret chat kaise kare

Facebook messenger me secret chat kaise kare
Hello friends aj is post me Facebook messenger ke secret conversation ke bare me bata raha hu


Bohot sare log facebook Messenger use karte h or apne friends, family se bohot sari bate bhi karte h par yadi ap kisi se yesi bat karte h jo ki ap chahte h vo automatic hi delete ho jaye to ap yesa kar sakte h


Facebook messenger ke secret conversation feature ki madad se ham apne send kiye jane bale massage me time set kar sakte h ya saral words me kahe to ham apne massage me expire time set kar ke massage send kar sakte h

         Facebook account block hone se kese bachaye

Yadi ham massage me 10 second ka time set kar ke massage send karte h to jese hi ham massage send karte h or massage send hone ke 10 second ke bad hamara send hua massage automatic hi delete ho jata h


Facebook messenger ke secret conversation feature ko secret chat bhi bolte h ye facebook messenger ka ek bohot achha feature h jiski madad se ap apne send kiye gaye massage me time set kar ke massage ko automatic expire (delete) kar sakte h

Facebook messenger me secret chat kaise kare -

Messenger ke secret chat feature ka use karne ke liye or apne massage me expire time set karne ke liye aap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi is feature ka use jarur kar payenge to chaliye friends let's start

1. Sabse pehle ap apne mobile ke play store par jaye

2. Ab ap yaha par messenger search kare or messenger ko download or install kare

       Facebook account safe kese rakhe

3. Ab ap messenger ko open kare uske bad ap apne facebook account se login kare


4. Ab ap jis se secret chat karna chahte h sabse pehle uska main chat open kare


5. Ab apko yaha par chat dikhai degi ap upar details ke icon par click kare


6. Ab apko yaha par kuchh option dikhai denge ap Go to Secret Conversation par click kare


7. Ab ham jisse secret chat karna chahte h secret conversation open ho gaya h ye black color me dikhai dega

       Facebook login notification alert start kese kare

8. Ham jaha par se massage type karte h uske pas apko ghadi ka icon dikhai dega ap ghadi ke icon par click kare


9. Ab ap yaha par massage automatic delete hone ka time set kare to me yaha par 30 second set kar raha hu


10. Time set karne ke bad ghadi ke icon ka color change ho jayega iska matlab time set ho gaya h

11. Ab ap jo bhi massage send karna chahte h msg type kare or send kare


12. Jese hi ap massage send karenge massage ke aage second start ho jayenge or jese hi count down 00 (zero) hoga apka massage automatic delete ho jayega


13. Ab ap jo bhi massage send karenge vo sabhi massage 30 second me delete ho jayenge yadi ap chahe to massage delete hone ka time jada let set bhi kar sakte h

        Facebook post review start kese kare

Is type se ham facebook messenger me secret chat kar sakte h or apne send kiye gaye massage me ek expire time set kar ke massage ko automatic delete kar sakte h

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock