WordPress permalink setting kaise kare

WordPress permalink setting kaise kare
Hello friends aj is post me WordPress blog/website me permalink setting kese karte h iske bare me bata raha hu


Yadi ap blog owner h to ap permalink ke bare me to jante hi honge yadi nahi jante h to aj me apko is post me permalink ke bare me bataunga or WordPress me apni pasand ka permalink set karna bataunga par use pehle jan lete h permalink kya hota h

Permalink kya h -
Permalink hamare blog/website ki post ka link hota h permalink ki madad se users internet se hamari post tak pahuch pate h or permalink ke karan hi hamare blog post search engine me index hote h or hamare blog ke contant ki identity hoti h


Permalink ki madad se ham ham apni post ko high rank kar sakte h par uske liye hamara post url seo friendly hona chahiye jisse hamari post fast index hoti h or high rank karti h

        WordPress me plugin or theme delete kese kare

Website create karne ke alag alag platform hote h or dabhi platforms ke alag alag permalink structure hote h or kuchh platform me ham apni pasand ka permalink set kar sakte h

Yadi bat kare WordPress ki to WordPress me 4-5 type ke permalink structure hote h ham unme se ek apni pasand ka seo friendly permalink structure set kar sakte h


Jab ham WordPress me blog create karte h to hamare blog me kuchh is type ka permalink set hota h http://www.reehinditrick.in/simple-post/123 is type ka permalink structure set hota h jo na hame pasand hota h or na hi seo friendly hota h

        Free hosting se WordPress website kese banaye

Par ham chahe to ham WordPress me apne permalink structure ko change kar ke apni pasand ka seo friendly permalink set kar sakte h jo kuchh is type se hoga http://www.reehinditrick.in/simple-post/  is type ka url hame bhi pasand hota h or search engine ko bhi to chaliye friends jante h permalink setting kese kar sakte h

WordPress permalink setting kaise kare -

WordPress website me permalink setting karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne blog ka permalink structure set kar payenge

1. Sabse pehle ap WordPress par login kare

       Low quality backlink remove kese kare

2. WordPress dashboard open ho jane ke bad ap settings par click kare


3. Ab apko yaha par kuchh option dikhai denge ap permalink par click kare


4. Ab apko yaha par permalink ke alag alag type (structure) dikhai denge ap apni pasand ke structure ko select kare

5. Jada WordPress users post name permalink set karte h ap apne anusar set kar lijiye


6. Ab ap Save Changes par click kare or save kar dijiye

        Best online seo tools in hindi

7. Ab apki post ka permalink apki pasand ka set ho gaya h ap view post par click karke check kar sakte h


Is prakar se ham WordPress blog me permalink setting kar sakte h or apni pasand ka seo friendly permalink set kar sakte h

Extra tips -
Friends me apko kuchh extra tips de raha hu taki permalink change karne ke bad apko jada problem face na karna pade.

1. Permalink change karne ke bad apki sabhi post ka new url banega

2. Jese hi ap permalink type change karenge apka pehle bala jo link tha vo link old ho jayega or expire ho jayega

       Google news me blog submit kese kare

3. Permalink change karne se pehle yadi apki post search engine me index h to us post me search engine se aane bale visitors ko page not found show hoga

4. Page not found problem se bachne ke liye redirect ka use kare redirect ki madad se ap old url ko new url me redirect kar pagenge

5. Sabhi problem se bachne ke liye ap WordPress blog banane ke bad ap permalink setting kar sakte h

      Blog backup kese banaye

Friends kesi pagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Post a Comment

1 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.