YouTube channel art me link kaise add kare

YouTube channel art me link kaise add kare
Hello friends aj is post me YouTube channel art ke niche link kese add karte h iske bare me bata raha hu


Apne bohot se channels dekhe honge jinke channel art ke niche kuchh link add rehti h or ap bhi apne channel me link add karna chahte h to ap aj sahi post par aaye h


Youtube channel art ke niche ham 5 link add kar sakte h or baha par apni website or social media ke link add kar sakte h jo log hamare channels ko pasand karte h vo social media se aasani se connect ho sakte h

       YouTube channel subscribers hide kese kare

Website ka link add karne se hamari website ko bhi fayda mil jata h jin ko hamare video pasand aate h vo or post padhne ke liye hamari website me visit kar sakte h or sath me hame YouTube se high quality backlink bhi mil jata h


Ham youtube me kisi bhu type ki web link apne YouTube channel me add kar sakte h par apko ye jarur para hona chahiye ki jis link ko ham sabse pehle add karte h vo link ka title bas pura dikhai deta h or jo link ham dusre tisre no. Par add karte h vo link ka sirf icon dikhai deta h

YouTube channel art me link kaise add kare -

apne YouTube channel art me web link add karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi links jarur add kar payenge

1. Sabse pehle ap youtube.com par jaye or apne google account se login kare

        YouTube channel me website add kese kare

2. Youtube me login ho jane ke bad ap ab ap apna YouTube channel open kare


3. Ab ap CUSTOMIZE CHANNEL par click kare


4. Ab ap channel art me kahi bhi click kare

5. Ab apko channel art me upar side ek pencil icon dikhai dega ap us par click kare


6. Ab apko yaha par Edit links par click karna h


7. Ab ap fir se CUSTOMIZE CHANNEL par click kare

        Youtube channel playlist me video add kese kare

8. Ab apko CUSTOM LINKS dikhai dega ap add par click kare


9. Ab ap first box me title add kare or dusre box me Url

10. Yadi apko or link add karna h to ap add par click karke or link add kar sakte h

         YouTube channel analytics se connect kese kare

11. Link title or Url add karne ke bad ap Done par click kare


12. Ab apke add kiye gaye sabhi link save ho gaye h


13. Ab aapne apne YouTube channel me successfully link add kar liye h apke add kiye gaye dabhi link channel art ke niche dikhai denge


Is prakar se ham apne YouTube channel art me apni website or social media links add kar sakte h or social media followers increase kar sakte h

        YouTube channel layout customize kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock