Youtube channel me multiple gmail id add kaise kare

Youtube channel me multiple gmail id add kaise kare
Hello friends aj is post me YouTube channel me multiple (ek se adhik) gmail id add kese kare iske bare me bataya hu


Apke pas bhi ek se adhik gmail id jarur hogi or yadi apke pas bhi ek YouTube channel h to ap bhi apne channel ko alag alag id se manage karna chahte honge


Kyonki hamare pas alag alag device hote h or alag alag device me hamari alag alag id login hoti h or ham chahte h ki bina log out kare ham dono gmail id se hamara channel manage kar pate to ham yesa bikul kar sakte h

          YouTube channel art me link kese add kare

YouTube channel me multiple gmail id set kar sakte h or alag alag google account se ek channel ko manage kar sakte h to chaliye dosto start karte h or apne channel me multiple gmail id set karte h


YouTube channel me multiple id set kar ke ham apne kam ko thoda aasan bana sakte h or apne channel ko alag alag id se manage kar sakte h, channel me login hone ke liye bar bar alag alag gmail id me login or logout nahi hona padta h

Youtube channel me multiple gmail id add kaise kare -

Apne YouTube channel me ek se jada google account add karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne youtube channel me multi id set kar payenge

1. Sabse pehle ap youtube.com par jaye or apne google account se login kare

        YouTube channel subscribers hide kese kare

2. YouTube par login ho jane ke bad ap apna channel open kare


3. Ab apko upar ghanti ke icon ke side me apke channel ki pic dikhai degi ap us account icon par click kare


4. Ab apko yaha par channel ka name dikhai dega ap uske niche setting ke icon par click kare


5. Ab apke channel ki account information open ho jayegi ap yaha par Add or remove managers par click kare


6. Ab apko yaha par users ke aage bale MANAGE PERMISSIONS par click kare


7. Ab apko yaha par apka primary account dikhai dega ap plus contact icon par click kare


8. Ab apko Add name or email address par click kare or apni gmail id type kare

        YouTube channel me website add kese kare

9. Email id type karne ke bad ap choose a role par click kare or role select kare me yaha par Owner set kar raha hu

10. Ab ap yaha par INVITE par click kare


11. Ab apka invitation add ki gayi id me send ho gaya h

12. Ab apne jis id ko add kiye h gmail open kare

        YouTube channel layout customize kese kare

13. Ab apke mail box me aaya hua mail open kare or Accept invitation par click kare


14. Ab apka Google account open ho gaya h ap yaha par ACCEPT par click kare


15. Ab ap MANAGE PERMISSIONS par click kar ke check kar sakte h successfully add hua h ni ya apko kya kya permission mili h


16. Ab apke mail me ek mail or aayega jisme apko bataya jayega ki ap is YouTube channel ke owner h ap Get start par click kar ke YouTube channel open kar sakte h


17. Ab aapne apne YouTube channel me successfully multiple gmail id add kar liye h

       YouTube channel trailer video set kese kare

18. Ab ap apne YouTube channel ko alag alag id se open or manage kar sakte h

Is type se ham apne YouTube channel me multiple id add kar sakte h or apne channel ko alag alag id se manage kar sakte h

         YouTube me branding watermark set kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye......

Comments

  1. disable youtube channel ko manage kya kiya ja sakta hain?

    ReplyDelete
  2. Yadi youtube ne disable kiya h to muskil h

    Bt ap kosis kr ke dekh sakte h.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock