Youtube channel custom url change kaise kare
Hello friends aj is post me youtube channel ka custome url change or edit kese kare iske bare me bata raha huYoutube channel me 100+ subscribers hone par ham apne YouTube channel ka default url se custom url set kar sakte hai or apne channel ka url easy or apne hisab se set kar sakte hai
Youtube channel ka default url bohot hi jada hard hota hai or ham apne channel ka url yad bhi nahi kar pate hai isi liye apne channel ka ham custom url set kar ke channel ka url easy bana lete hai jisse share karne me bhi aasani hoti hai
Youtubers ke liye best screen or voice recorder
Youtube hame hamare channel ka name change karne ki facility provide karta hai yadi ham kisi karan se apne channel ka name change kar lete hai to hamare channel ka name or channel ka custom url alag alag ho jata hai jisse hame hamare channel ka url change karna padta hai ya or kisi karan se yadi custom url change ya edit karna hua to ham kar sakte hai
Youtube channel ka custom url ham 1 year me 3 bar change kar sakte hai yadi ap 1 year me 3 bar apna custom url change kar lete hai to ap or change nahi kar payenge apko next year ka wait karna hoga to apko is bat ka khas khayal rakhna hoga ki ham 1 year me sirf 3 bar custom url change kar sakte hai
Youtube video me end screen & annotations use kese kare
Hamara youtube channel google+ se connected hota hai google+ profile ki madad se ham apne youtube channel ka url asani se change or edit kar sakte hai or apni pasand ka url set kar sakte hai
Youtube channel custom url change kaise kare -
Apne YouTube channel ka custom url change or edit karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne channel ka url jarur change kar payenge1. Sabse pehle ap plus.google.com par jaye or apni Google+ profile open kare
2. Ab apko yaha par apki google+ profile dikhai degi ap upar About me par click kare
3. Ab apki google+ profile ka about me page open ho jayega ab ap yaha par upar right side me profile pic icon par click kare
4. Ab apko yaha par apke sabhi brand accounts dikhai denge ap apna channel brand account par click kare jiska apko url change karna hai
5. Ab apki screen par apka youtube channel ki profile open ho jayegi
6. Yaha par ap Sites ke aage bale pencil ke icon par click kare
7. Apko yaha par apke youtube channel ka custom url dikhai dega or usi ke aage delete ka option ap delete option par click kare
8. Ab apse puchha jayega kya ap real me url remove karna chahte hai yadi ha to ap Continue par click kare
9. Ab ap Ok par click kare or changes ko save kar dijiye
10. Ab apke YouTube channel ka custom url successfully delete ho gaya hai
Youtube video me card or i button add kese kare
11. Ab ap Youtube.com par jakar apne channel ka custom url set kar sakte hai
12. Ab apko apke channel me custom url set karne ke liye option enable mil jayega or ap custom url set kar sakte hai
13. YouTube channel ka custom url set kese karte hai iske liye mene pehle hi post likh chuka hu is post ko follow kar ke ap custom url set kar payenge
Is prakar se ham apne YouTube channel ka custom url ko delete kar sakte hai or apni pasand ka fir se new custom url create kar sakte hai
Note -
Me ek bar or batana chagunga ki ham apne channel ka custom url 1 year me sirf 3 bar hi change kar sakte hai yadi ham 1 year me 3 bar change ka lete hai to fir se change karne ke liye next year ka wait karna hoga to ap is bat ka khas khayal rakhe
YouTube channel me business inquiry email add kese kare
Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....









