Free domain register kaise kare
Hello friends aj is post me free domain kese register karte hai iske bare me bata raha hu
Yadi hame blog ya website banana hota hai to sabse pehle hame ek domain ki jarurat padti hai or domain hame kisi domain company se buy karna padta hai jiska hame per year charge dena hota hai
Par kuchh log paid domain nahi lena chahte hai ya fir kuchh yese log hote hai jo sikhne ke liye blog banate hai or free ke domain se sikhna start karna chahte hai or fir bad me achhe se sikhne ke bad paid domain buy kar lete hai
blog post google me fast index kese kare
blog post google me fast index kese kare
Jab ham free domain register karte hai to hame high quality or famous domain nahi milta hai ham free me sirf .tk .ml .ga is type ke domain register kar sakte hai bese friends domain to domain hota hai yadi hame sikhna hai to free domain bohot useful hota hai bohot se log free domain se hi sikhna start karte hai
Yadi ap free domain ko apne professional blog ya website me lagana chahte hai to me apko iske liye free domain suggest nahi karunga kyonki hamara jo professional blog hota hai ham use achhe se start karna chahte hai or lagbhag sabhi apne professional blog me top level domain use karte hai
Par yadi apka blog sikhne ke liye hai ya sikhne ke liye ap blog create karna chahte hai to ap us par free domain use kar sakte hai but ap chahe to apne man blog me bhi use kar sakte hai
Free domain register kaise kare -
Free domain register karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apna domain jarur register kar payenge
1. Sabse pehle ap google me jaye or freenom.com search kare
2. Ab apki screen par freenom.com website open ho jayegi
3. Ab ap yaha par find a new free domain par click kare or apna blog ka name type kare
4. Blog name type karne ke bad ap check availability par click kare
5. Yaha par apki website ke liye jo bhi domain available hoga vo dikhai denge
6. Yaha par apko jo bhi domain register karna hai us domain ke niche Get it now par click kare
7. Domain select karne ke bad upar checkout par click kare
8. Yaha par ap domain period choose kar sakte h ki ap kitne month ke liye free domain use karna chahte h yaha se ap 1 year tak choose kar sakte h uske bad continue par click kare
9. Ab yaha par ap apni email id dale or verify my email address par click kare
10. Ab ap new page me apna gmail account open kare or freenom se jo mail aya h uspar click kare yaha par mail par apko ek link show hoga us par click kare
11. Link me click karene ke bad ap ye form ko thik se filup kare yaha par apko apni personal detail dalni h jese pic me mene dala hu vase hi apni sabhi details dal de or uske bad complete order par click kare
12. Yaha par apko apke domain name ka order number mil jayega
13. Ab apka free domain successfully register ho gaya hai
14. Ab ap my domain par click kare or apna domain check kare
15. Ab hamne feeenom se ek free domain register kar liye hai ab register kiye domain ka use karne ke liye apko domain ko blog me add karna hoga
Is prakar se ham free freenom website se apne blog or website ke liye free domain register kar sakte hai next post me domain ko blog me add kese karte hai iske bare me bataunga tab tak ap apni website ke liye ek domain register kar lijiye
Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....









seekhnay kay liyey yeh bohaot hi bhadiya website hai.Dhaniwaad
ReplyDeletedomin name kaise lagayenge bataeye
ReplyDeleteHamne iske liye ek post or kiye h ap usko read kar sakte ho
ReplyDeletebhai ye puri open nhi hoti .....koi or website bta ...yrrre
ReplyDeleteBhai ye site open hoti h ap chrome browser me open kariye or yadi fir bhi open na ho to ap desktop version me open kar ke dekhe yadi ap desktop me open kar rahe h or nahi ho rahi to mobile me open kar ke dekhe
ReplyDeleteBahut hi interesting and informative post hai.
ReplyDeleteThanks for sharing keep up the Good work
Thanks bro
ReplyDeleteWow great post ab me free website purchase kruga
ReplyDeleteGood helpful arrival
ReplyDeletehttps:satellitehub.blogspotblogspot.com