Google me apni photo add kaise kare

Google me apni photo add kaise kare

Hello friends aj is post me google me apni photos or apni details show kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Friends apne bohot bar dekha hoga kuchh log apni details Google me add kar dete hai jesse jab bhi koi unke bare me google me search karta h to details show ho jati h yaha par name, address, contact no. Photos Sab kuchh hota hai.


Google me photos show karne ke liye ham social media facebook, google+ ka use bhi kar sakte hai, jab ham social media me apni photo post karte hai to hamari photo google me bhi show hone lagti hai, or ham chahe to ek website banakar bhi apni photo ko google me add kar sakte hai or Google search result me apni photos show kara sakte hai.

       Google account secure kaise rakhe

Google me bohot sari photos or details show karane ke liye sabse acha idea hai ki ham ek blog ya website create kare or blog or website ki madad se ham apni bohot sari photos google me show kara sakte hai or chahe to apni full details bhi add kar sakte hai jese photo, address, email id, contact phone number, ye sabhi details bhi show kara payenge.


Google me photo or apni details add karne ke bad jab koi google me hamare bare me search karenge to hamari photo show ho jayegi or sath sath details bhi jiski madad se koi bhi jo hamse contact karna chahte hai contact bhi kar sakte hai to chaliye friends start karte hai or google me photo add kaise karte hai iske bare me jante hai.

Google me apni photo show kaise kare –

Google me apni photo or details ko add or search results me show karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps or tips ko thik se follow kare uske bad ap bhi apni photo or details goggle me show kar payenge.

Ham alag alag type se google me apni photo show kara sakte hai jese yellow page ki madad se, google+ ki madad se, facebook ki madad se or website ki madad se par inme se sabse achha idea hoga ki ham website bala idea choose kare or jitna chahe utna photo add kar sakte hai or sath sath apni details bhi add kar sakte hai to me apko website banakar photo add karne ka idea suggest karunga.

Website or blog banane ke liye me mene pehle hi ek post likh chuka hu "blog website kaise banaye" is post ko read Karke ap ek blog create kar sakte hai or blog me photo ko upload ker ke apni photos ko google me show kara sakte hai,

Google+ se Google me photo show kare -

Google plus ki madad se bhi ham apni photos ko google me show kara sakte hai google plus me photos upload karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare.

1. Sabse pehle ap plus.google.com par jaye.

3. Yadi apne abhi tak google + profile create nahi kiye hai to sabse pehle ap google+ profile creat kare.


4. Google plus profile create ho jane ke bad ab ap google+ profile open kare.

5. Google plus profile open ho jane ke bad ab ap profile photo or cover photo upload kare.


6. Profile or cover photo upload ho jane ke bad ab ap apni 1-2 photo ko yaha par post kare.

       apna about homepage create kese kare

7. Photo post karne ke liye ap pencil  icon par click kare.


8. Ab yaha par Camera icon par click kare.


9. Ab ap upload photo par click kare.


10. Ab ap jo bhi pic upload karna chahte hai gallery se select kare.

11. Yadi ap kuchh likhna chahte hai to photo ke upar likh sakte hai.

12. Ab ap POST par click kare ab apki post google plus me publish ho gayi hai.


13. Ab apki post apke google plus timeline me add ho gayi ha.


14. Ab apki post kuchh din bad google search results me bhi show hone lagegi.

15. Ab apki pic google + me successfully add ho gayi hai.

        Google+ me bold, italic post kese kare

Is type se ham Google plus ne apni photo upload karke apni photos ko google me show kara sakte hai, google me photo upload add karne ke liye ap LinkedIn ka use bhi kar sakte hai apko LinkedIn me profile banana hoga or apni pic upload karna hoga.

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock