Whatsapp me custom ringtone use kaise kare

Whatsapp me custom ringtone use kaise kare

Hello friends aj is post me whatsapp me custom ringtone set kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Whatsapp ek bohot achha chat app h jisse ham sabhi se chat se bat karte hai or hamare whatsapp me bohot sare contact or groups bhi hote hai ham sabhi groups me ya contact me custom ringtone use kar sakte hai, par pehle jan lete hai ki custom ringtone kya hai.

Custom ringtone kya hai -

Custom ringtone whatsapp ka ek yesa feature hai jiski madad se ham apne whatsapp contact or whatsapp group me alag alag ringtone set kar sakte hai.


Hamare whatsapp me bohot sare contact or bohot sare groups bhi hote hai or groups me regular message aate rehte hai or hame bar bar whatsapp open karke dekhna padta hai ki message group me aaya hai ya kisi friend ne kiya hai, par yadi ham bar bar whatsapp open karke nahi dekhna chahte to ham custom ringtone ka use kar sakte hai.

      Mobile number blacklist me add kaise kare

Custom ringtone feature ki madad se ham whatsapp contact or whatsapp group me alag alag ringtone ya message ton set kar sakte hai jisse ham ton sunkar hi pata laga sakenge ki message kisi friends ne kiya hai ya fir message group me aaya hai isse hame bar bar message kisme aaya hai check karne ki jarurat nahi padegi.

Whatsapp me yadi ham chahe to sabhi contact or group me alag alag ringtone bhi set kar sakte hai ya chahe to sirf kisi ek contact me bhi custom ringtone set kar sakte hai jisse jab bhi us contact se message aayega sabse alag ringtone sunai degi jisse ham aasani se pata kar payenge ki kiska message aaya hai.

Whatsapp me custom notification use kaise kare -

Whatsapp me custom ringtone set karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi whatsapp me custom ringtone jarur set kar payenge.

Sirf kisi ek contact me custom ringtone set kaise kare -
Yaha par me sirf ek contact me custom ringtone set karna bata raha hu.

1. Sabse pehle ap apne mobile me WhatsApp open kare.

2. Ab us contact ko open kare jis contact me apko custom ringtone set karna hai.


3. Ab apki screen me chat open ho jayegi ab upar contact name dikhai dega uspar click kare.


4. Ab ap yaha par custom notification par click kare.


5. Ab ap Use custom notifications par tick kare.


6. Ab ap yaha par notification tone par click kare.


7. Yaha par apko alag alag type ki ringtone dikhai degi apko jo bhi tone set karna hai us tone ko select kare or ok par click kare.


8. Ab ap jis contact me custom ringtone set karna chahte the successfully add ho gayi hai.

9. Ab jab bhi custom ringtone set kiye gaye contact se message aayega sab se alag tone sunai degi.

       Bluetooth se internet share kaise kare

10. Isi type se ap chahe to or other contact me bhi custom ringtone set kar sakte hai.

Is type se ham apne whatsapp ke kisi bhi contact me custom ringtone set kar sakte hai or jab bhi us contact se message aayega to alag hi ringtone sunai degi jisse lock screen me bhi pehchan sakte hai ki usi contact se message aaya hai.


Whatsapp contact me or group me alag alag ringtone set kaise kare -

Whatsapp group me or contact me ham alag alag ringtone bhi set kar sakte hai jisse group me message aayega to alag tone sunai degi or contact no. Se message aayega to alag tone sunai degi.

1. Sabse pehle ap apne mobile me whatsapp open kare.

2. Whatsapp open ho jane ke bad ap whatsapp settings open kare.


3. Ab ap yaha par notifications par click kare.


4. Ab yaha par se ham group me or contact no. Se aane bale message me alag alag tone set kar sakte hai.

5. Ap sabse pehle message notifications ke niche bale notification tone par click kare.


6. Ab yaha par ap kisi bhi ek ringtone to select kare or Ok par click kare.


7. Ab apke contact se aane bale message me custom ringtone set ho gayi hai.

8. Ab ap group notifications ke niche notification tone par click kare.


9. Ab ap yaha par se ek ringtone ko select kare or ok par click kare.


10. Ab apke group message me custom ringtone set ho gayi hai


11. Ab hamare whatsapp ke contact or group me alag alag ringtone successfully set ho gayi hai.

Is type se ham apne whatsapp contact me aane bale message or groups me aane bale message me alag alag ringtone set kar sakte hai or lock screen me bhi message aane par aasani se pehchan sakte hai message contact me aaya hai ya group me aaya hai.

      Android mobile speed kaise badhaye

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock