Google form kya hai or website ke liye form kaise banaye

Google form kya hai or website ke liye form kaise banaye

Hello friends aj is post me google form kya hai or apni website ke liye form kaise banate hai iske bare me bata raha hu.


Online information receive (collect) karne ke liye form bohot important ho gaya hai form ki madad se ham ek hi time me multiple users se data (information) receive kar sakte hai, form ka use feedback, online serve, contact, registration, event registration etc ke liye kiya jata hai aage badhne se pehle jan lete hai google form kya hai kese kam karta hai.

Google form kya hai -

Google form ek yesa platform hai jaha par ham free me apna form create kar sakte hai, google form create karne ke bad ham form ko online, social media, emails ke through share kar sakte hai or aasani se apne form me response pa sakte hai.


Google form ek easy and simple tool hai yaha par koi bhi personal or professional work ke liye aasani se form create kar sakte hai, google form tool ka use or form banane ke liye kisi bhi type ki coding ki jarurat nahi hoti hai ham without coding knowledge ke bhi apna form create kar sakte hai, google form ek bohot hi achha tool hai yaha par ham mobile ya computer dono me se kisi bhi device ka use karke form create kar sakte hai.

Online kuchh bhi store karne ke liye jese text, picture, song, video, document, form etc store rakhne ke liye online storage hona bohot important hai tabhi ham apne data ko online store kar sakte hai google form or google form response store rakhne ke liye Google drive ka use kiya jata hai.

     Full size web page screenshot kaise nikale

Google form tool google drive se connect hota hai google form platform me jab ham koi bhi form create karte hai to hamara form google drive me store hota hai or ham apne from ka response or form ko edit karne ke liye form ko google drive se bhi open kar sakte hai jab ham response check ya form edit karne ke liye google drive me store form par click karte hai to ham automatic hi Google form tool me redirect ho jate hai or yaha se ham apne form ko fully manage kar sakte hai.

Google form kaise banaye -

Apni website ke liye ya other work ke liye google form create karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apna form jarur create kar payenge.

1. Sabse pehle ap Google Form website open kare direct jane ke liye yaha click kare - Google Form


2. Google form tool open ho jane ke bad ap yaha par Go to Google Forms par click kare.


3. Ab yaha par hame ek form create karna hai to form create karne se pehle iske kuchh main feature ke bare me jan lete hai jisse form create karne me achhi madad ho jayegi.


A. Add Questions - + (plus) ke icon par click karke ap questions add kar sakte hai.

B. Add Title and description - Tt ke icon par click karke ap title or description add kar sakte hai.

C. Add image - image ke icon par click karke ap form me image insert (add) kar sakte hai.

D. Add video - video icon par click karke ap form me YouTube video insert (add) kar sakte hai.

E. Add section - last bale double line bale icon par click karke form me section create kar sakte hai.

To friends ye to the form create karte time use hone bale main feature jinki madad se ham form banate hai.

       Google account me recovery email set kaise kare

4. Yadi apke form me title or description add karne ke liye box nahi hai to ap Tt icon par click kar ke title description box la sakte hai or form ka title or description sabse upar likh sakte hai.


5. Title description add karne ke bad ab bari aati hai question box ki to ap + (plus) icon par click karke question box la sakte hai.

6. Form me question box lane ke bad upar ap apna questions type kare.


7. Form me question add karne bad ab apko answer type select karna hoga matlav kis type se answer lena chahte hai choose karna hoga.

8. Answer type choose karne ke liye question ke niche ▼(down icon) par click kare.


9. ▼(down icon) par click karne ke bad ab bohot sare option dikhai denge ap jis type se answer lena chahte hai us type ko select kare me yaha par multiple choice select kar raha hu kyonki me chahta hu ki users multiple option select kar sake yadi ap paragraph me answer chahte hai to paragraph choose kare.


10. Isi type se ap + (plus) icon par click kar ke form me or bhi questions add kar sakte hai or answer type set kar sakte hai.

11. Image icon par click karke ap apne computer se ya mobile se form me image upload kar sakte hai


12. Video icon par click karke ap form me YouTube videos add kar sakte hai.

13. Double line icon par click karke ap form me alag alag section create kar sakte hai.

       ATM card se online shopping kaise kare

14. Questions box ya title box ko move karne ke liye ap jis box ko upar niche karna chahte hai us par click kare ab apko box me upar 6 dot (.) Dikhai denge 6 dot (.) Par click karke swipe karne par ap box ko upar niche kar sakte hai.


15. Form banate time question box ke niche apko Required ka option dikhai dega yadi ap required option ko enable karenge to apke form jab koi bhi fill karenge unko required questions ke answer dena hoga tabhi form submit hoga.


16. Yadi apke form me extra title or extra questions box add ho jaye to ap box ko remove (delete) bhi kar sakte hai.

17. Extra title or extra questions box remove karne ke liye ap sabse pehle jis box ko delete karna hai us par click kare, box par click karne ke bad box ke niche 3 dot (.) Dikhai degi ap 3 dot (.) Par click kare.

18. 3 dot (.) Par click karne ke bad apko kuchh option dikhai denge ap Remove par click kare ap jo box remove karna chahenge box remove ho jayega.


19. Ab ap form me title box, question box, image, video, section in feature ka use karke ek achha form create kare.

20. Ab form ban jane ke bad ab hame form ka theme (color) set karna hai.

21. Ab ap upar theme icon par click kare or apne from ka color change kare.


22. Ab hamara form successfully create ho gaya hai to ab send icon par click kare.


23. Yadi ap form ko mail se bhejna chahte hai to email id type kare or send kare.

24. Yadi ap apne form ka link share karna chahte hai to ap link icon par click kare.



25. Link icon par click karne ke bad apko apke form ka link dikhai dega ap link ko copy kare.

26. Ab ap link ko social media or apni website me share kar sakte hai.

      Google me apni photo add kaise kare

27. Ab jo bhi users apka form fill up karke submit karna chahenge google account me login karke form submit kar payenge.

Is type se ham google form tool ka use karke apne personal or professional work ke liye ya apni website ke liye form create kar sakte hai or users us form ko fill up karke hame information submit kar sakte hai.

Google form response check kaise kare -

Google form create karne or form ko submit karne ke bad hame form ko open bhi karna hoga or response bhi check karna hoga ya chahe to form edit bhi kar sakte hai, apne google form me response (answer) check karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare.

1. Google form me response check karne ke liye sabse pehle hame google form ko open karna hoga uske bad apne form me aaye response ko check kar sakte hai.

2. Google form open karne ke liye ap Google drive app me jaye or google drive me save from par click kare.


3. Google drive app me form par click karne ke bad ap automatic redirect ho kar google form website me chale jaoge or yaha par apka form open ho jayega.

4. Google form ko dusri type se open karne ke bad ap google form website me jaye - google form

5. Yadi apne mobile me google form website open kiye hai to ap browser ko desktop mode me open kare or uske bad Go to Google Forms par click kare.

6. Ab apko yaha par apke banaye huye google forms dikhai denge ap jis form ko open karna chahte hai us form par click kare.


7. Ab apki screen par form open ho jayega, form open ho jane ke bad RESPONSES par click kare.


8. RESPONSES par click karne ke bad apko yaha par apke form par mile sabhi response (answer) dikhai denge.


9. Ab aapne apne google form me aaye response ko successfully check kar liye hai.

      apna about homepage create kaise kare

Is type se ham google form create kar sakte hai or form me aaye response ko check kar sakte hai google form ko ham personal or professional dono kamo ke liye use kar sakte hai.

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock