Promotion kya hai online business promotion kaise kare

Promotion kya hai online business promotion kaise kare best tips in hindi

Hello friends aj is post me promotion kya hai or apne business ka online promotion kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Promotion ek yesa word hai jiske alag alag matlav nikalte hai par aj is post me promotion ka matlav hai kisi business ya website ka promotion karna or promotion ko ham promote or promoting bhi bolte hai, aj me apko is post me online promoting ke liye best tips share kar raha hu jisse apko apke business or website ko promote karne me kafi had tak help milegi.

Promotion kya hai -

Apne business or website ki jankari ko jada se jada logo tak pahuchane ko promotion kehte hai, kisi bhi business ko successful business banane ke liye promotion ek important kam hai, business promotion karke ham apne business ko jald se jald success tak le ja sakte hai.


Kisi bhi business ko successful banane ke liye promotion ek important point hota hai, business promotion karke kam se kam time me business ko successful bana sakte hai, isi liye sabhi businessman apne business ko promote karne me jada se jada dhyan dete hai taki unke business ko jada se jada log jan sake.

       Google form kya hai or website ke liye form kaise banaye

Business online ho ya offline dono hi business ke liye promotion ka important role hota hai, or dono hi business ko promote karna bohot jaruri hota hai, jab internet ka use jada nahi hota tha tab us time business bhi offline hote the or promotion bhi offline hote the apne dekhe honge pehle offline business ko promote karne ke paper or card ka use kiya jata tha or business ko paper or card bat ke promote kiya jata tha.

Ab internet ka use bohot jada ho raha hai or lagbhag sabhi business online connected hote hai or sabhi businessman online business promotion me jada trust dikha rahe hai or apne business ko online promote kar rahe hai and apne business ko fastest growth kar rahe hai.


Kisi bhi business ko promote karke jald se jald successful business banaya ja sakta hai but yadi ham koi website ya business start kare or unka promotion thik se nahi kare to success tak pahuchne me bohot jada time lag jata hai, yadi hamare business ke bare me jada logo ko pata hi nahi hoga to business chal hi nahi payega isi liye kisi bhi business ko successful banane ke liye promotion ek bohot jaruri point hota hai, promotion ek yesa work (kam) hai jo ek bar me nahi ho sakta hai ham apne business ko jitna jada promote karenge utne hi jada log hamare business ke bare me janenge or jald se jald business growth karega.

Business ko online promote kaise kare -

Apne business ko online promote karne ke liye me apko kuchh tips share kar raha hu jinko use karke ap apne business ko online promote kar sakte hai or apne business ko fast successful bana sakte hai.

1. Online advertising -
Ap apne business ki online advertising kar sakte hai internet me bohot sari yesi website available hai jo business advertising karti hai ap un website ka use karke apne business ya website ko online promote kar sakte hai.

A. Google adWords -
Apne business ki advertising ke liye google adwords ek bohot achhi choice hai, google advertising ka use bohot jada badi badi company bhi apne business ke advertising ke liye karte hai, google adwords ek trust advertising network hai to ap is ka use karke apne business ko promote kar sakte hai.

B. Bing/yahoo ads -
Ap apne business ke promotion ke liye bing yahoo ads network ka bhi use kar sakte hai ye bhi ek bohot achha or popular network hai.

C. Self (direct) advertising -
Direct advertising ke liye apko kuchh high traffic website ki list banani hogi or uske bad ap un website ke owner (founder) se contact karke unko apne ads unki website me dikhane ke liye pay kar sakte hai or un website me apne business ko promote kar sakte hai.




2. Create business website -
Ap apne business ke liye ek beautiful website create kare or apni website me apne business ki full information add kare, website or blog banane ke liye 2 famous platform hai blogger and WordPress ap dono me se kisi ek platform choose karke apni business website create kar sakte hai.

3. Post writing -
Apne business ke bare me kuchh achhi seo friendly post likh or kuchh selected famous blog ko choose karke usme apni post ko guest post publish kare or chahe to post ko apni website me bhi published kar sakte hai.

4. Create videos -
Videos best way to promote any business, video se logo ko business ke bare me thik se samjh aata hai or  trust bhi badhta hai, apne apne business ke bare me kuchh video banake social media me share kar sakte hai or kuchh video ko famous YouTube channel me de sakte hai, famous channel me video upload karne ke liye apko pay bhi karna pad sakta hai.

       Full size web page screenshot kaise nikale

5. Create brand channel -
Ap apne business ke liye ek brand YouTube channel create kare or apne business ki jankari bale all videos ko apne channel me upload kare or dhyan rahe apko videos ka achhe se seo bhi karna hoga taki apke video rank kare or search result me top par aaye.

6. Create social media accounts -
Apne business ka online promotion karne ke liye social media ka bhi bohot important hote hai aj kl lagbhag sabhi log social media use karte hai or ap ap social media me apne business details, post, video add karke aasani se apne business ka promotion kar sakte hai.

7. Create Facebook pages and groups -
Facebook ek bohot popular social media network hai yaha par ap apne business page create or groups create kar sakte hai or apne page or groups me time 2 time post karke apne business ko promote kar sakte hai or apni post ko published kar sakte hai.

8. Boost your page and posts -
Business page or posts ko boost karke ap apne page or posts ke madhyam se apne business ki jankari jada se jada logo tak pahucha sakte hai or page me likes increase kar sakte hai or website traffic bhi increase kar sakte hai.

9. Increase Email subscribers -
Apne business ko promote karne ke liye email marketing bhi ek best way hai apke pas jitne jada email subscriber honge apka business bhi promote hoga email subscribers increase karne ke liye apko apke blog or website me mail deliver service activate karna hoga or website me email subscribe box add karna hoga.


Iske alawa yadi apke website me koi users email se apna account banante hai to ap un email ka use bhi kar sakte hai, ab apke blog or website me jo bhi new post published hogi apke blog subscribers ko automatic hi uska notification email me mil jayega.

10. Build Online reputation -
Apne business ko successful banane ke liye hame apni or apne business ki online reputation banani hogi, reputation ham hard work karke nahi bana sakte hai, online reputation badhane ke liye important hai ki ham achha or work kare or apna customer support fast and clear rakhe jisse jada se jada users apke service provider se happy rahenge or apke business ke bare me other people ko bhi suggest karenge isse apki reputation build hogi.

Apne business ka online promotion karne ke liye upar bataye gaye tips kp follow karke ap apne business ka promotion kar sakte hai or apne business ko lada se jada logo tak pahucha sakte hai, apke business ke bare jitne jada log janenge apka business utna hi jada grow karega, or apko business ne jald success milegi.

        Google account me recovery email set kaise kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

  1. I am come here first time, i find the perfect article. Thanks for sharing interesting and informative post. what is affiliate marketing

    ReplyDelete
  2. bahat khub article ekdam jabardast hai. please iska 2nd part banaiye

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock