Crawl error kya hai crawl error fix kaise kare

Crawl error kya hai crawl error fix kaise kare

Hello friends aj is post me crawl error kya hai or crawl error fix kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Sabhi bloggers apne blog me hone bali har activity jese traffic increase, traffic lost, new comments, errors in sab par thik se najar rakhte hai or chahte hai ki website fresh rahe kahi bhi kisi bhi type ki error na ho taki error se website me koi bad effect na pade or aj me is post me website me aane bali crawl error ke bare me bata raha hu jo aksar aati rehti hai.

Crawl error kya hai -

Crawl error hamari website /blog me ane bali yesi error hoti hai jab koi user slow internet ya no Internet connectivity me site ko kabhi open karte hai to usse error ajata hai, crawl error ko ham 404 page not found error bhi bolte hai, website or blog me crawl error aane ke ek karan ye bhi hai jab koi users hamari website ke yese link me visit karte hai jo hamare blog me nahi hai to unhe 404 page not found error show ho jata hai or ye jo error hoti hai webmaster tool me add ho jati hai.


Crawl error aane par aksar blogger error fix karte time ek galti karte hai, crawl error ko fix kiye bina hi mark as fix kar dete hai but aj me apko crawl error fix karne ka ek new idea share kar raha hu jisse apke blog or website me aayi hui crawl errors ko ap properly fix kar payenge.

       Perfect guest post kaise likhe

Crawl error me jo bhi URL add hote hai vo sabhi 404 page not found bale URL hote hai or 404 page not found URL hamare blog ke liye koi kam ke nahi hote hai to crawl error ko mark as fix karne se pehle in 404 page not found URL ko search engine se remove kar dena chahiye or uske bad crawl error ko mark as fix karna chahiye yesa karne se jo errors bale URL hai vo search engine se remove ho jayenge or un URL ka hamari site pat koi bura aasar bhi nahi padega or crawl errors ko ham properly fix bhi kar payenge.


Crawl error vese to simple error hoti hai par yadi time 2 time fix nahi kiya gaya in errors ka blog or website me bad (bura) asar pad sakta hai or blog ranking me effect bhi pad sakta hai, Crawl error aksar ati rehti h  5-6 din me ek bar check karte rehna chahiye vase to crawl error normal error hoti h par yadi inko fix nahi kiya gaya to apke blog/website ki search rank me bura asar padega is liye ap crawl error ko check karte rahe or error ane par fix karte rahe.

Crawl error check or fix kaise kare -

Apne blog or website me aayi hui crawl errors ko check or fix karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi crawl error jarur fix kar payenge.

1. Sabse pehle ap google search console (webmaster tool) open kare - webmaster tool. 

2. Ab yaha search console home open hone ke bad apko apki website /blog ka URL(link) dikhai dega us link (Url)  par click kare.

       Seo friendly post kaise likhe

3. Ab ap left side me Google Index par click kare.

4. Google index par click karne ke bad apko kuchh option dikhai denge ap Remove URLs par click kare.


5. Remove URLs page open ho jane ke bad ab ap is page ko yese hi rehne de or apne browser me mew tab open kare.

6. Browser new tab me ab ap google search console (webmaster tool) open kare - webmaster tool. 

7. Ab yaha search console home open hone ke bad apko apki website /blog ka URL(link) dikhai dega us link (Url)  par click kare.


8. Ab left side me apko bohot sare option dikhai denge apko crawl par click karna hai.

9. Crawl par click karne ke bad kuchh option or dikhai denge to ap crawl errors par click kare.


10. Ab yadi apki site me crawl error hogi to dikhai degi yadi nahi hogi to no error show hoga.

11. Crawl Error show hone par ap kisi ek url par click kare.


12. Error url par click karne ke bad ek chhoti window open hogi yaha par apko full URL show hoga ap url ko copy kare.


13. Ab ap Remove URLs bale page (tab) me jaye or Temporarily hide par click kare.


14. Ab apko yaha par URL add karne ke liye ek box dikhai dega us box me copy kiye gaye URL ko past kare or Continue par click kare.


15. Ab ap yaha par Temporarily hide page from search results and remove from cache ko select kare or Submit Request par click kare.


16. Ab apki url remove karne ki request successfully submit ho gayi hai.

17. Ab ap crawl error bale page (tab) me bapas jaye or uske bad mark as fixed par click kare.


18. Ab ek chhoti window open hogi yaha par ok par click kare.


19. Ab ap isi type se sabhi crawl errors ko fix kar dijiye.


20. Ab apki site ki sabhi crawl errors successfully fix ho gayi hai.

Is type se ham apni website me aayi hui crawl errors ko properly fix kar sakte hai or crawl error se site me padne bale effect se apni website ko bacha sakte hai, crawl errors akasr 4-5 din me aati rehti hai ap webmaster tool me crawl errors ko check karte rahe or errors aane par error ko fix karte rahe.

       Blog post google+ me auto share kaise kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock