Mobile personal dictionary use kaise kare

Mobile personal dictionary use kaise kare

Hello friends aj is post me android mobile me personal dictionary kya hai or personal dictionary ka use kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Android mobile users ke liye mobile personal dictionary bohot useful hoti hai personal dictionary ki madad se ham long word ko dictionary me add kar ke sort code me bhi use kar sakte hai or long words ko bar bar full type karne se bach sakte hai.

Personal dictionary kya hai -

Personal dictionary ek word dictionary hoti hai jaha par ham koi bhi words ko add kar sakte hai, Android mobile me personal dictionary ka use words suggest karane ke liye kiya jada hai, personal dictionary me ham jada use hone wale word ko add karke unke codes create kar sakte hai or bar bar long word ko type karne se bach sakte hai.


Jab ham apne mobile ki personal dictionary me koi words add karte hai to hame add kiye gaye words ka ek code bhi add karna hota hai taki jab bhi ham keyboard me word ka code type kare to suggest words me hame full words show ho jaye personal dictionary ne ham email addresses, home address, full name, city name, name, url, etc add kar sakte hai or sabhi long word ka ek code bana sakte hai.

Example -
Man lijiye me personal dictionary me apni website ka URL www.reehinditrick.in add karta hu or uska sort code www set karta hu. Ab jab bhi me apne mobile keyboard me www type karunga to suggested word me mujhe full URL www.reehinditrick.in show hoga or jab me suggest kiye gaye word par click karunga to mera website url jaha me likhna chahta hu ek click me likha jayega mujhe full URL type nahi karna padega.

      Keyboard color change kaise kare

Personal dictionary me ham kuchh long words add karke or un long words ka code banake bar bar un long word ko type karne se bach sakte hai to friends ab ap samjh hi gaye honge ki apne mobile ka personal dictionary hamare liye kitna useful hai to chaliye friends start karte hai or personal dictionary ka use karte hai.

Mobile personal dictionary kaise use kare -

Apne mobile ki personal dictionary me words add karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi personal dictionary ka use jarur kar payenge. 

1. Sabse pehle apne android mobile me settings open kare. 

2. Settings open ho jane ke bad Ab ap language & input par click kare. 


3. Ab yaha par personal dictionary par click kare. 


4. Personal dictionary open hone ke bad upar plus (+) ke icon par click kare.


5. Ab apko yaha par type a word dikhai dega ap jis word ko suggest karana chahte h usko type kare jese mene reetesh type kiya hu.


Ab apko uski niche shortcut word type karna h jese mene ree type kiya hu.

6. Ab back button par click kare jo word hamne add kiye hai vo automatic save ho jayega.

7. Ab word or word code personal dictionary me successfully add ho gaya hai.

       Mobile keyboard me background pic set kaise kare

8. Ab ap isi type se personal dictionary me or bhi words add kar sakte hai or code bana sakte hai.

9. Ab ap kahi bhi apne mobile keyboard open kare i like whatsapp.

10. Ab yaha par apna sort code add kare jese mera sort code ree hai to me yaha par ree type karta hu.


11. Ab apke keyboard ke upar suggested words dikhai denge unme yaha apka full word bhi show hoga jese yaha mera full word Reetesh show ho raha hai.


Is type se ham apne android mobile me personal dictionary feature ka use kar sakte hai or long word add karke sort code bana sakte hai jisse hame bar bar long words ko full type nahi karna hoga or ham aasani se fast typing kar sakte hai.

      Mobile keyboard size change kaise kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock