Best Indian government portal info in hindi

Best Indian government portal info in hindi

Hello friends aj is post me indian gov. Ke best portal ke bare me bata raha hu.


Friends ap government portal ke bare me to jante hi honge yadi nahi jante to don't worry me aj apko is post me government portal kya hai or iske sath hi indian government ke best portal ke bare bata raha hu jisse apko government portal ke bare me achhi information is post se mil jayegi.


Gov. Portal sabhi ke liye bohot important hote hai or kabhi na kabhi apko inka use karna hi padta hai or yadi apko internet me jada interest hai to apko portal ki gov. Ke portal ke bare me pata hona bohot jaruri hai taki ap apna work jaldi se jaldi kar sake or apne kam karne me jada problem bhi na aaye, to chaliye dosto start karte hai or gov. Portal kya hai jan lete hai.

Government portal kya hai -

Government portal ek yesa portal hota hai jaha par ham alag alag type ke work kar sakte hai ya ek hi jagah se alag alag kam kar sakte hai.

Government portal ko simple word me samjhe to government portal ek yesi website hoti hai jaha par hame ek hi jagah alag alag website ke links mil jate hai or aasani se ham apne use ki link par click karke apne work ko complete kar sakte hai.

      Promotion kya hai online business promotion kaise kare best tips in hindi

Government portal me ham government ki new service ke bare me aasani se pata kar sakte hai or government portal me hame government ki sabhi service ke bare me ek hi jagah pata chal jata hai or ham portal se hi kisi bhi gov. Website me enter kar sakte hai or apne work ko pura kar sakte hai, or government portal ka domain extension  .gov.in hota hai.

Government portal ek yesi website hoti hai jaha par bohot sari websites ke link hote hai isi liye in website ko portal kaha jata hai or ham inhi portal se alag alag service ki jankari ek hi jagah se le pate hai isse user ko jada paresani bhi nahi uthana padta or kam bhi jaldi ho jata hai.

Yadi gov. Portal nahi hote to gov. Ki new service ke bare me janna thoda muskil hota par portal ke karan ye kam aasan ho gaya hai, government portal ke hone se gov. Website me work karna aasan ho gaya hai yadi hame pan card, adhar card, voter id card banana hai to tino kam ke liye hame online alag alag website me jana hoga jisme thoda time lagta hai par yadi ham ye tino kam ek hi jagah se karna chahte hai to ham ye tino kam ko gov. Portal me jakar kar sakte hai,  gov. Portal me hame ye tino services ek hi jagah par mil jayegi.

       Google form kya hai or website ke liye form kaise banaye

Government portal ko sabhi log open kar sakte hai or portal me jakar information le sakte hai par ek bat or important hai gov. Portal me sabhi log jakar information to le sakte hai par portal ko sabhi log access nahi kar sakte hai,  gov. Portal ko sirf registered user hi access kar sakte hai giv. Portal ko access karne ke liye apko government se login id or password lena hoga uske bad hi ap gov. Portal ko access kar payenge.

Friends ab ap government portal kya hai or  government portal ko kon access kar sakte hai iske bare me to ap jan hi gaye honge to chaliye dosto post me aage badhte hai or Indian government ke best portal ke bare me jante hai.

Indian government online portal info in hindi -
Indian citizen ke liye indian government online portal ke bare me bata hona bohot hi important hai iski liye me yaha par jada use hone bale kuchh best portal ke bare me bata raha hu.

1. National Portal of India - 
National portal of india ek yesa portal hai jaha par ap india me chal rahi sabhi government services ko ek hi jagah check kar sakte hai or unke bare me jan sakte hai, indian government ka ye ek sabse bada portal hai jaha ap gov. Services ke bare me jan sakte hai.


National portal of india website me jane ke liye ap is web URL National Portal of India
https://india.gov.in
  ka use kar sakte hai or national portal of india website visiting kar sakte hai or apni jarurat ke hisab se service ke bare me jan sakte hai.

2. My Gov -
My government portal Indian government ka portal hai yaha par apne Indian citizen apne vichar ko share kar sakte hai or government services ki jankari bhi le sakte hai.

My gov yani ki my government is portal me jane ke liye ap  https://www.mygov.in URL ka use kar sakte hai.

3. Csc portal -
Csc ka pura name Common Service Centers hai or is portal ko government of india ne start kiya hai is portal se digital india ko badhava dene ke liye suru kiya gaya.

Csc yani ki Common Service Centers  is portal me jane ke liye ap https://www.csc.gov.in is URL ka use kar sakte hai or csc portal me visit kar sakte hai.

4. Digital India Portal - 
Digital india portal ek bohot hi achha portal hai, Digital India Portal ek private portal hai and ye portal registered portal hai or Digital India Portal government services me work provide karta hai jaise pan, gst, bill and etc.

Digital India Portal portal me visit karne ke liye http://digitalindiaportal.co.in is URL ka use kar sakte hai or Digital India Portal portal ko open kar sakte hai.

5. State level portal -
Ye yese portal hote hai jo sabhi state ke liye alag alag hote hai jese ke liye madhya pradesh ke liye mponline is portal me sirf madhya pradesh me rehne bale citizens ke liye hai.

      Full size web page screenshot kaise nikale

Ap jis state me rehte hai ap us state ka portal le sakte hai or government services me work karke paise kama sakte hai.

6. Umang Portal -
Umang portal government portal hai or is portal ko khas Indian citizen ke liye banaya gaya hai, umang portal me koi bhi indian citizen register kar sakte hai or government services ka use kar sakte hai.

Umang portal me visit karne ke liye ap  https://web.umang.gov.in is URL ka use kar sakte hai or umang portal me visit kar sakte hai.

7. Swayam Portal - 
Swayam Portal Indian government ka education portal hai is portal ka use karke ap kahi se bhi kisi bhi time study (learning)  kar sakte hai padhega india tabhi to badhega india to friends is portal me ap bhi jarur se registration kare.

Swayam Portal me visit karne ke liye ap https://swayam.gov.in is URL ka use kar sakte hai or Swayam Portal open kar sakte hai.

8. National Health Portal (NHP) -
National Health Portal Indian government ka health portal hai yaha par ap sabhi Indian government ki health services ke bare me pata kar sakte hai or un services ko use bhi kar sakte hai.

National Health Portal (NHP) is portal me visit karne ke liye ap https://www.nhp.gov.in is URL ka use kar sakte hai or National Health Portal open kar sakte hai.


Friends ye kuchh indian government ke best portal hai jinka use jada kiya jata hai Indian government ke or bhi bohot sare portal hai par me yaha par sirf itne hi portal ke bare me bata raha hu yadi mujhe koi or achha portal ke bare me pata chalta hai to me yaha jarur add kar dunga yadi apko koi achha government portal ke bare me pata hai to mujhe comments kar ke jarur bataye me post me jarur add karunga.

       Google account me recovery email set kaise kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye ya is post se related koi question ho to ap comments jarur karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock