Black hat seo kya hai balck hat seo ke fayde or nuksan

Black hat seo kya hai balck hat seo ke fayde or nuksan

Hello friends aj is post me black hat seo kya hai, or black hat seo ke kya fayde or nuksan hai iske bare me bata raha hu.

Black hat seo kya hai

Seo kya hai iske bare me to ap jante hi honge yadi nahi jante to bhi koi bat nahi age badhne se pehle thoda seo ke bare me jan lete hai uske bad aage badhenge, seo ka pura name search engine optimization hai or ise short me seo kehte hai.


Bina seo ( search engine optimization) ke kisi bhi website ko search engine me rank karana impossible hai seo seo me ham apne content ko optimise karte hai or apne content ko seo friendly banate hai taki search engine hamare content ko thik se samjh sake or hamari post or pages ko search result me show kare, ye to hui seo ki bat ap bat karte hai seo ke types me ek se back hate seo ke bare me.

Black hat seo kya hai – 

Black hat seo ek yesa seo type hai jisme kisi bhi website ya page ko search engine me rank karane ke liye search engine ke terms of service ka ullanghan (violate) karte hai. Simple word me kaha jaye to black hat seo ek yesa seo hai jisme ham apni website ya page ko rank karane ke liye galat tarike choose karte hai jo ki search engine allow nahi karte hai.

       Seo friendly post kaise likhe

Website or pages ko rank karane ke liye 2 type ke seo ka use kiya jata hai white hat seo or black hat seo, White hat seo me ham search engine ke terms of services ko follow karte huye apne content ka seo karte hai or black hat seo me ham search engine ko cheat karte hai or apne website ko galat tarike se rank karate hai.

Black hat seo ka use karke kisi bhi website ko bohot jaldi hi apni website ko rank kar sakte hai kyonki ham black hat seo me search engine ko cheat karte hai is liye jald hi hamari website fast rank ho jati hai.


Jab ham kisi website ko white hat seo ka use karke apni website koo rank karate hai to hamari website dhire dhire rank hoti hai, par yadi ham black hat seo ka use kar ke apni website ko rank karate hai to hamari website fast rank karti hai or jald se jald top me aajati hai.

Back hat seo ke fayde or nuksan - 

Black hat seo karne ke bohot sare fayde bhi hai or sath hi sath nuksan bhi hai, to chaliye jante hai kya fayda or kya nuksan hoga.

Fayde –
Black hat seo ki bat kare to ham black hat seo ki madad se apni website ko fast rank kara sakte hai, organic traffic increase kar sakte hai, kisi specific keyword ko rank kara sakte hai.

Nuksan –
black hat seo ke fayde ke sath sath nuksan bhi hote hai or ye nuksan bhi yese hote hai ki hamari puri mehnat kharab ho jati hai, black hat seo ka use se search engine hamare pages ko ben kar sakta hai, hamari website ko ben kar sakta hai, or ye yese nuksan hai ki ham jitni bhi mehnat apni website me karte hai sari mehnat kharab ho sakti hai.

Black hat seo use kaise kare –

Black hat seo use technique use karne ke liye me apko kabhi bhi suggest nahi karunga me apse kahunga ki ap website ko rank karane ke white hat seo ka hi use kare.


Yadi ap knowledge ke liye janna chahte hai ki black hat seo ka use kaise karte hai hai or black hat seo ki technique kya kya hai to ap post ko continue kare.

Black hat seo technique – 


1. Unrelated keyboard –
Ye ek yesi black hat technique hai jisme post me kuchh yese keywords ko add kar diya jata hai jo jada search kiye jate hai or jo post se related nahi hote hai.

2. Duplicate post –
Is technique me visitors ko increase karne ke liye post ko alag alag style me alag alag keyword, post title, discretion change karke post ko duplicate kiya jata hai.

       Perfect guest post kaise likhe

3. Duplicate blog –
Is technique me jada se jada visitors pane ke liye duplicate log create kar lete hai or dono me sem post publish karte hai.

4. Buy backlinks –
Is technique se blog or pages ko fast rank karne ke kiye bohot sare backlinks buy kar liye jate hai jisse website ki ranking jald hi high ho jati hai.

5. Url hijacking –
Is black hat technique me kuchh popular website ke name me kuchh spelling miss karke domain buy karte hai jisse jab bhi popular website search ki jaye to hamara miss spelling bala domain bhi show ho or hame us domain se traffic mil sake.


Friends ye to hai black hat seo ke sirf 5 technique or bhi bohot sari black hat seo technique hai jinka bhi use karke website ko rank karaya jata hai, par me black hat seo ko use karne ki salah nahi deta is liye knowledge ke liye sirf kuchh technique hi share kiya hu.

       Backlink ke kya fayde hai – benefits of backlink

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

  1. backlinks bilkul bhi purchase nahi karna chaiye ki thode baclinks buy kar sakte hai ?

    ReplyDelete
  2. Backlink purchase karne se achha hai ki ham khud se quality website se backlink banaye.


    Yadi purchase karna hi hai to apne jese hi website se buy kare na ki unse jo backlink bechte hai.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock