Facebook creator app use kaise kare

Facebook creator app use kaise kare

Hello friends aj is post me facebok creator app ke bare me full info share kar raha hu jisse ap creator app ko samjh or achhe se use kar payenge.


Apko pata hi hoga kuchh month pehle facebook ne apna ek new creator platform launch kiya tha or bohot se logo ne usme register bhi kar liye the yadi ap bhi "facebook for creator kya hai or isme register kaise karna hai" iske bare me janna janna chahte hai to link par click kare or pehle us post ko read kare or uske bad is post ko continue kare.


Jesa ki mene upar bola hu ki facebook ne kuchh month pehle creator platform launch kiya tha par ham facebook creator ko sirf app me hi use kiya ja sakta tha jab facebook creator program launch hua tab facebook creator app sirf ios mobile ke liye available tha android mobile ke liye ye app launch nahi kiya gaya tha is liye android mobile users facebook creator app ko use nahi kar pa rahe the.

Facebook ne abhi kuchh din pehle hi apna facebook creator app android mobile ke liye bhi launch kar diya hai ab android users bhi facebook creator app ko use kar sakte hai.


Facebook creator app me ham apne facebook account se login kar sakte hai or facebook creator app me ham apne page ko display kar sakte hai, facebook page me creator app ki madad se ham apne page ke bohot sare hidden features ko dekh sakte hai.

      Facebook fake id kaise banaye, create fake fb id

Facebook creator app me abhi bohot kam feature hai abhi isme or bhi features add ho sakte hai or ha abhi facebook creator app me monetize ka koi bhi feature nahi hai ho sakta hai aage chal kar creator app me hame monetize ka option bhi dekhne ko mil sakta hai or fir ham apne videos ko upload karke or videos ko monetize karke online earning kar payenge to chaliye dosto aage badhte hai or jante hai facebook creator ko kese use karna hai.

facebook creator app use kaise kare -

Android mobile me creator app use karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi facebook creator app ko jarur use kar payenge to chaliye friends let's start.

1. Sabse pehle ap apne android mobile me play store open kare.

       Facebook Se Online Paise Kaise Kamaye

2. Ab ap play store me facebook creator search kare.

3. Facebook creator search karne ke bad apko facebook creator app dikhai dega ap install par click kare or app ko download or install kare.


4. Facebook creator app install ho jane ke bad ab ap facebook creator app ko open kare.

5. Facebook creator app open ho jane ke bad sabse pehle ap Get Started par click kare.


6. Ab jo id apke mobile me login hogi continue as your name dikhai dega ap us par click kare me yaha par continue as reetesh chandrawanshi par click kar raha hu.


7. Ab apko yaha par apki facebook is me bane huye sabhi page dikhai denge jis page se ap enter karna chahte hai us page ke name par click kare.


8. Ab apko screen par welcome dilkhai dega ap niche explore facebook creator par click kare.


9. Ab facebook creator app successfully open ho gaya hai or ap apne page me login ho gaye hai.


10. Ab ap yaha par home icon par click karke apne pages ki post dekh sakte hai.

11. Pages ke sabhi notification check kar sakte hai.


12. + (plus)  icon par click karke new post kar sakte hai.

      Facebook username change kaise kare

13. Apne page me aaye huye message check kar sakte hai.


14. Apne page or video ki analytics dekh sakte hai, video kitne logo ne dekhe hai kaha kaha se dekhe hai ye sab ap analytics me dekh sakte hai.


15. Facebook creator app me ap apne page me aane bale messages bhi check kar sakte hai.


16. Facebook creator me hame ek setings icon bhi mil jata hai jisme ham apne pages ki settings kar sakte hai or ya chahe to yahi se Instagram option me jakar apne Instagram account ko bhi link kar sakte hai.

Facebook creator app me abhi jada features nahi hai yadi facebook creator app me kuchh new feeatures add honge to unke bare me mai ek alag post likh kar un sabhi features ke bare me jarur bataunga.

Facebook me send friend request check kaise kare

Is type se ham facebook creator app ko download kar sakte hai or apne facebook page se login kar ke creator app ko use kar sakte hai unnid hai apko post pasand jarur aayi hogi friends yadi post achhi lagi to facebook, whatsapp me share jarur kare.

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock