Mobile app me fake crash dialog box set kaise kare

Mobile app me fake crash dialog box set kaise kare

Hello friends aj is post me android mobile apps me fake crash dialog box open kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Sabhi mobile users apne mobile ko safe rakhne ke liye bohot sare kam karte hai taki koi mobile ko use na kar sake, mobile ko safe rakhne ke liye users mobile me screen lock set karte hai or apps lock bhi use karte hai taki kisi ko screen lock pata chal jaye to bhi apps use na kar paye is liye apps lock use karte hai.


Aj ham is post me mobile app ko or jada secure karne ke liye ek or security ke bare me janenge jisko use karke ham apne mobile app opening time me ek fake crash dialog box show kara sakte hai taki koi hamare app ko open na kar paye.

Fake crash dialog box kya hai -

Fake crash dialog box mobile app ki extra security feature hai iski madad se ham app opening time me ek app crash ka fake dialog box show kara sakte hai jisse users app ko use nahi kar pate hai fake crash dialog box ko disguise cover bhi kehte hai.

Disguise cover feature ka use karke ham kisi bhi app me fake crash message show kara sakte hai fake crash message is type se hoga ''unfortunately, gmail has stopped '' kuchh is type ka fake message show hoga or niche ok button hogi jab koi ok button par click karenge to bapas apps menu me aajayenge.

       contact number gmail me save kaise kare

Dosto fake crash dialog box ko or achhe se samjhne ke liye me yaha par ek example bata raha hu taki ap ise or achhe se samjh sako or use kar sako.

Fake crash dialog box example -

Man lijiye mere mobile me gallery app hai or me us me fake crash dialog box set kar deta hu, ab jab bhi koi gallery app ko open karenge to unko ye message show hoga ''unfortunately, gallery has stopped'' is tarah se screen par ek message show ho jayega or jab koi bhi ok button par click karenge to vo bapas app menu me aajayenge.


Fake crash dialog box set karne ke bad jab bhi app ko open kiya jayega to har bar app crash msg show hoga or har bar ok par click karne ke bad app se bahar ho jayenge to ye ek extra security ho jayegi hamare app ke liye jis app ko ham nahi chahte koi or use kare to ham is feature ka use karke fake msg show kara sakte hai, fake crash dialog box set karne ke bad app ko open kaise karte hai iske bare me mai aage bataunga.

Ab ap fake crash dialog box ke bare me samjh gaye honge or is feature ko use bhi jarur karna chahenge to chaliye friends aage badhte hai or is feature ko kaise use karte hai iske bare me jante hai.

App me fake creash message show kaise kare -

Apne android mobile apps me fake crash dialog box show karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi kisi bhi app me fake crash msg show jarur kara payenge, let's start.

1. Sabse pehle apne android mobile me play store open kare.

2. Ab apko play store me Cm security ya security master search karna hai.

      Without otg cable mobile me keyboard connect kaise kare

3. Ab ap security master app ko download or install kare.


4. Security master app download ho jane ke bad app ko open kare.

5. Security master app open ho jane ke bad ap yaha par app lock par click kare.


6. Ab ap jis jis app me app lock set karna chahte hai un sabhi apps ko select kare.

7. Apps ko select karne ke bad ab ap protect par click kare.


8. Ab ap ek pattern lock select kare.


9. Ab pattern lock confirm kare.

10. Ab ap advanced par click kare.


11. Advanced par click karne ke bad apko kuchh options dikhai denge ap disguise cover par click kare.


12. Ab apko yaha par fake-crashed dialog dikhai dega ap niche TRY par click kare.


13. Ab apko yaha par ek message ''unfortunately, gmail has stopped'' dikhai dega ap ok ki button ko 5 second tak press kar ke rakhe.


14. Ab apke mobile me fake crash dialog box option enable ho gaya hai.

15. Ab ap jis jis app me fake crash dialog box show karna chahte hai un app ko select kare.


16. Fake crash dialog box show karne ke liye apps select karne ke bad ab ap back button par click kare.

17. Ab ap security master app se bahar chale jaiye.

       Gallery vault app ko calculator me hide kaise kare

18. Ab ap app menu me jaye or us app ko open kare jisme fake crash dialog box set hai, mene gallery me set kiya hu to me gallery open karta hu.

19. Ab ap jese hi us app ke icon par click karenge apke samne ''unfortunately, gallery has stopped'' is type ka message show hoga.


20. Ab ko message ke niche ek ok button dikhai degi ap ok button par click kare.

21. Jese hi ap ok button par click karenge app khulega nahi uske badle app app menu me wapas aajayenge.


22. Ab apke mobile app me fake crash message successfully set ho gaya hai.

23. Ab jab bhi koi fake crash dialog box set kiye gaye apps ko open karenge unko fake crash ka msg dikhai dega jese hi vo ok par click karenge bahar aajayenge.

Is type se ham apne mobile app me fake crash dialog box show kara sakte hai jisse koi dusre log ko lagega app me koi problem hai is liye open nahi ho raha hai or ap kisi select app ko dusro ke use karne se bacha sakte hai.

Fake crash dialog box set karne ke bad app open kaise kare -
Jese ki mene upar bola tha fake crash message set karne ke bad app ko open kaise karte hai iske bare me aage bataunga to ab me vo share kar raha hu ye ek bohot aasan process se bas ap thik se steps ko follow kare.

1. Sabse pehle ap fake crash dialog box set kiye gaye app ko open kare.

2. Ab apko apka set kiya gaya fake crash dialog box show hoga.

3. Ab fake crash dialog box ke niche ok ki button ko 5 second tak press kar ke rakhe.


4. Ap ap jis app ko open karna chahte hai vo app open ho gaya hai.

Is type se ham kisi bhi app me fake crash dialog box set kar sakte hai or apne app ko kisi or ke use karne se bacha sakte hai or ham jab chahe us app ko open karke use bhi kar sakte hai ummid hai apko post pasand aayi hogi friends post se bahar jane se pehle post ko hare karna na bhoole.

       Keyboard color change kaise kare

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye...

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock