contact number gmail me save kaise kare

contact number gmail me save kaise kare

Hello friends aj is post me apne contact no. Ko gmail id me save kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Sabhi log apne contact ko samesha safe rakhna chahte hai or rakhe bhi kyu na contact no. Ki madad se hi ham kisi se contact kar pate hai is liye abhi log chahte hai hamare mobile me save contact number hamesha safe rahe taki jarurat padne par ham contact no. Ki madad se aasani se kisi ko bhi call kar paye.


Aasar sabhi logo ke sath ye problem ya ye dar hamesha hota hai ki yadi hamara mobile chori ho jaye ya mobile gum jaye to fir problem ho jayegi or hamare pas fir kisi se contact karne ke liye contact no. Hi nahi honge to contact kaise karenge, isi chinta ke chalte kuchh log kuchh important no.  Ko likh ke rakha lete hai par kabhi kabhi likhna bhool jate hai.

Contact no. Loss hone ke dar se bachne ke liye ya mobile chori hone par ya gum hone par contact no.  Bapas pane ke liye ham gmail id ka use kar sakte hai or apne contact no. Ko gmail id me save kar sakte hai uske bad jab kabhi ham apni gmail id ko dusre mobile me connect karenge to hame usi mobile me apne contact no. Dikh jayenge or ham un numbers ka use bhi kar sakte hai.

       Gallery vault app ko calculator me hide kaise kare

Google ek trusted company hai isi liye bohot sare log apne contact no. Ko gmail jise google account bhi kehte hai isme save karte hai taki jarurat padne par kisi or mobile me bhi apne no.  Access kar paye.

My story - 
Friends pehle mere pas ek micromax ka mobile tha jo mene bohot din use kiya tha or me usme sabhi contact number ko phone memory me hi save rakhta tha par ek bar yesa time aaya ki mera mobile kharab ho gaya or shop me dikhane ke bad bhi vo thik nahi hua to yese me phone me save sabhi contact number chale gaye the ab mere pass koi bhi contact number nahi the.


Par me apne contact no. Ka backup memory card me hamesha save rakhta tha isliye mujhe apne contact number ki ek copy memory card se mil gayi thi par memory card me contact ka backup lene ke bad mene jo bhi number apne mobile me save kiya tha vo sabhi mobile ke sath hi chale gaye the kyonki me roj roj backup to leta nahi tha is liye mujhe thodi problem ka samna karna pada tha isi liye mene ab apne sabhi contact no. Ko gmail me save kar liya hu jisse ab koi problem nahi hoti hai.

Is story ko padhne ke bad ab ap samjh hi gaye honge ki contact number sa backup rakhna ya contact number ko gmail id me save karna itna important hota hai to chaliye dosto start karte hai or apne contact no.  Ko gmail id me save karte hai.

Gmail me contact no. Save kaise kare - 

Apne contact numbers ko gmail id me save karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne contact ko gmail id me jarur save kar payenge.

1. Sabse pehle ap apne android mobile ki settings par jaye.

2. Settings open ho jane ke bad ab ap accounts par click kare.


3. Ab apko yaha par apke mobile se connect sabhi accounts dikhai denge ap yaha check kare apko yaha par google dikhai de raha hai ya nahi.


4. Yadi apko google dikhai de raha hai to apke mobile me google account connected hai yadi google nahi dikhai de raha hai to apke mobile me google account connect nahi hai.

5. Yadi apke mobile me google account connected nahi hai to sabse pehle apne mobile ko google account se connect kare.

       Mobile me keyboard or mouse kaise chalaye

6. Ab yadi apke mobile me google account add hai to ap sabse pehle apps menu me jaye or yaha par contact app par click kare.

7. Contact book open ho jane ke bad ab ap new contact icon ya new contact par click kare.


8. Ab Apko sabse upar device,  sim1, sim2, google itne option me se koi ek option dikhai dega ap uspar click kare.


9. Ab ap yaha google par click kare.


10. Ab apko name or mobile number type karna hai or uske bad save par click kare.


11. Ab ap jis number ko gamil me save karna chahte the successfully save ho gaya hai.

12. Ab ap contact list me check kare jo number apne gmail me save kiye hai show ho raha hai ya nahi.

        Mobile keyboard size change kaise kare

13. Yadi contact number show ho raha hai to sab thik hai yadi nahi show ho raha to aage ke steps ko follow kare.

14. Ab ap contact settings par jaye.

15. Ab yaha par contact to display par click kare.


16. Yaha par Apko Kuch option dikhai denge ab ap all contacts par click kare.


17. Ab ap contact list me check kare ab gmail me save kiya gaya contact bhi dikhai dega.


Is type se ham Gmail me contact number save kar sakte hai or jarurat padne par apne contact number ko kisi bhi mobile me dekh or use kar sakte hai ummid hai apko post pasand aayi hogi yadi post paand aayi to share jarur kare.

        Google map me address add kaise kare

Friends kaisi lagi ye post batana Jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock