Google account recovery option full info and tips in hindi

Google account recovery option full info and tips in hindi

Hello friends aj is post me google account ko recover karne ke google account ke recovery option ke bare me bata raha hu.


Google account aj kl sabhi person ke liye important ho gaya hai kyunki kuch yese work bhi hote hai jinko ham without google account ke nahi kar sakte hai is liye sabhi ko google account jise gmail account ya gmail id bhi hote hai iski jarurat padti hai.


Jab ham google account create karte hai to kabhi kabhi yesa bhi hota hai ki ham us account ko bahut dino (long time)  tak use nahi karte hai or yese me ham apne google account ka password bhool jate hai or fir kuchh option ki madad se use recover karne ki kosis karte hai or bahut bar ham account recover to kar lete hai par bahut bar recover nahi kar pate hai kyonki ham uske sabhi recovery option ko thik se nahi jante hai is liye me aj apko is post me recovery option ke bare me hindi me samjha raha hu taki apko kabhi koi problems na aye.

Acoount recovery kya hai -

Account recovery ko ham password forgot bhi kehte hai account recovery ya password forgot ka use karke ap apne account ka new password create karte hai or apne old account ko fir se use karte hai. Its a account recovery.

       Best online recharge apps info in hindi

Kabhi kabhi ham apne account ko ya account ke password ko bahut hi jaldi recover kar lete hai kyonki us time hamare pas vo sab hota hai jiski jarurat hoti hai example mobile no. Mobile no. Me code bulwa lete hai or code ko dal kar ham apne account ka new password create kar lete hai or new password create kar lete hai par yadi account me mobile no. Ya add na ho ya mobile no.  Pass nahi ho to kuchh users account ko recover nahi kar pate hai to aj me is post me google account ke sabhi recovery option ke bare me bata raha hu jisse ap apne account ko alag alag option ka use karke jarur recover kar payenge.

Account recovery option kya hai -

Account recovery option kuchh yese option hote hai jisse hame apne google account ko recover karne me madad milti hai or ham apne account ko recover kar pate hai ya kahe to apne account ke password ko forgot kar pate hai jisse ki new password create kar pate hai.


Gooogle account ke bad lagbhag sabhi account yese hote hai jinme bahut hi kam recovery option hote hai to chaliye dosto start karte hai or google account ke sabhi recovery option ke bare me jante hai.

Google account recovery option -

Google account me bahut sare recovery option available hai or me sabhi recovery option ke bare me alag alag bata raha so friends aage bataye gaye sabhi option ke bare me thik se padhe or jarurat padne par un option ka use kare or apne google account ko recover kare.

1. Enter last password -


Enter last password google account ka ek yesa recovery option hai yadi hame current password se pehle add kiya gaya password yad hai to ham yaha par us password ko enter kar sakte hai or apne google account ka new pasword create kar sakte hai or apne google account ko recover kar sakte hai.

2. Get a verification code on mobile number -


Yadi hamare pas google account me add mobile no.hai to ham apne no.  Me verification code mangwa sakte hai or code ko google account me add kar ke apne account ka new password create kar sakte hai or get a verification code option ki madad se apne google account ko recover kar sakte hai.

3. Get a verification code on email id -


Yadi apne apne google account me recovery email id set kar rakhe hai to ap ap apne recovery email id me code bhej sakte hai or code ko google account me add kar sakte hai or apne google account ka new password create kar sakte hai or apne google account ko recover kar sakte hai.

4. Google account create date -


Is recovery option ka use karke bhi ap apne google account ko recover kar sakte hai is option ka use karne ke liye apne apna google account konse month or konse year me create kiye hai apko yad hona chahiye yadi apko yad hai ap google account me month or year add kar ke apne google account ka new password set kar sakte ho or apne account ko recover kar sakte hai.


Friends ye hai google account ke kuch letest recovery option jinme se kisi bhi option ka use karke ap apne apne google account ko recover kar sakte hai ya apne password ko forgot kar sakte hai or apne old google account ko fir se use kar sakte hai.

       Without mobile number unlimited gmail id create kaise kare

Google account ko recover karne ke liye pehle or bhi option hote the par ye option trusted option nahi hote hai is liye google in recovery otion ka use jada nahi karte hai ya unko bar bar remove kar dete hai to me jab aj recovery option ke bare me bata raha hi raha hu to information ke liye in option ke bare me bhi bata deta hu yadi apko recovery option me ye option mil jaye to ap in option ka use kar paye.

1. Add date of birth -
Addd date of birth ye ek yesa recovery option hai jisme ham apni date of birth google account me add karte hai or yadi hamare google account me add date of birth se match hoti hai to ham new password create kar sakte hai or apne google account ko recover kar sakte hai.

2. Verify last 4 digits mobile number -
Is option ka use karke ham google account me add mobile number ke last 4 digits ko add karte hai yadi hamare add kiye gaye number se match karta hai to ham apne account ka new password create kar sakte hai or apne google account ko recover kar sakte hai.

 3. Verify full mobile no. -
Is option ka use karke apne account ko recover karne ke liye hame google account me add mobile no. Ko add karna hota hai yadi add kiya gaya no. Match karta hai to ham apne account ka new password create kar sakte hai or google account recover kar sakte hai.

       Google form kya hai or website ke liye form kaise banaye

In option ka use karke bhi ham apne google account ke password ko recover kar sakte hai or apne old account ko fir se use kar sakte hai,  ye old recovery option hai ye apko show ho ya na ho jaruri nahi hai ye option recovery option me kabhi kabhi hi use show hote hai to ap is bat ka dhyan rakhe or pehle upar bataye gaye 4 latest recovery option ka use karke apna account recover kare.

Google accont recovery tips -

Google account ko recover karne ke liye me apko yaha par kuchh tips bata raha hu jo ap apne account me pehle se hi set rakhe taki tab apko account recover karna ho to ap apne account ko aasani se recover kar sake.

1. Set mobile number -
Kabhi kabhi ham without mobile number ke hi google account create kar lete hai jisse ki account ya password recover karte time hame bahut problems ace karni padti hai yadi ap apna ek real account create karna chahte hai to ap apne account me mobile no. Jarur add kare taki asani se password forgot kar sake.

2. Set recovery email id -
Recovery email id bhi password forgot karte time mobile no. Jese hi kam karti hai jese mobile number me verification code aata hai usi type se recovery email id me bhi ek verification code aata hai jisse ap apne google account ka password forgot kar sakte hai. To yadi apke pas to gmail ya email id hai to ap recovery email id jarur set kare.

3. Note account creation date -
Jab ap google account banaye to ap us date ko note kar ke rakhe taki ap us date ko add kar ke apne account ko forgot kar sake or account recover kar sake.


Ye kuch account recovery tips hai jinka use karke ap apne google account ke password recover option ko increase kar sakte hai or apne account ko aasani se recover kar sakte hai.

       Google account me recovery email set kaise kare

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock