Jio sim me jiotune (caller tune) set kaise kare

Jio sim me jiotune (caller tune) set kaise kare

Hello friends aj is post me jio sim me hello tune, caller tune, jiotune set kaise karte hai iske bare me bata raha hu.


Friends ap sabhi ye to jante hi honge ki jio sim me bahut si services hame free me milti hai or ham un services ko use karne ka koi bhi charge nahi dete hai but other sim me yesa nahi hai hame other sim me alag alag service ke alag alag charge dena padta hai.


Ap hello tunes or caller tunes ke bare me to jante hi honge yadi nahi bhi jante hai to don't worry aj me apko apko is ke bare me jarur bataung so chaliye jante hai hello tunes ya caller tunes kya hai.

Hello tunes (caller tunes) kya hai -

Hello tunes ya caller tunes kisi song ka chhota sa song hota hai jise set karne ke bad jab hame koi call karte hai to hamare callers ko hello tunes jise caller tune bhi kehte hai song sunai deta hai. Or jio me hello tunes or caller tunes ko jio tunes bhi kehte hai.

Example of caller tune -
Jab ham apne mobile number me kisi song ko caller tune set karte hai to uske bad jab bhi koi hame call karte hai us time jo hame call karte hai unko ring ki jagah par song sunai deta hai or ye ring se achha impression deta hai isi liye sabhi ko hello tunes set karna pasand hota hai.


Jesa ki mene upar bhi bola hu ki alag alag sim me caller tunes ke hame alag alag charges dena padta hai par jio sim me hame koi charge nahi dena padta or ham apne jio number par free me caller tune, jio tune set kar sakte hai.

Friends ab ap caller tunes or jio tunes ke bare me samjh hi gaye honge to chaliye ab start karte hai or apni pasand ka kisi song ko apne number me jio tune set karte hai taki hamara favorite song hamare callers ko sunai de.

Jio number me caller tune, hello tune set kaise kare -

Apne jio number me jiotune start karne ke liye aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne jio mobile number me apni pasand ke song ko caller tune jarur bana payenge.

1. Sabse pehle ap apne mobile me play store open kare.

       Gallery vault app me fake screen or password kaise banaye

2. Play store open ho jane ke bad ab ap play store search bar par click kare or jio music type kare or search kare.


3. Ap jio music ko install kare.


4. Mobile me jio music download or install ho jan ke bad ab ap jio music ko open kare.

      Mobile app me fake crash dialog box set kaise kare

5. Jio music app open karne ke bad apse login karne ko kaha jayega ap skip par click kare isse ap apne mobile number se login ho jaoge.


6. Ab apko yaha par language set karne ko kaha jayega ap apni language ko select kare or uske bad done par click kare.


7. Ab apke screen me jio music open ho jayegi yaha par apko bahut sare songs dikhai denge yadi apki pasand ka song na dikhe to ap search bhi kar sakte hai or song ko play kare.


8. Song play karne ke bad ab apko ek option dikhai dega set as jiotune ab ap set as jiotune par click kare.


9. Ab apki screen me ek chhota popup box open hoga usme apko song name dikhai ap song name ke niche set as jiotune par click kare.


10. Ab apki caller tune set karne ki request submit ho gayi hai.

11. Ab apke mobile number me jio care se jiotune set ya change karne ka msg aajayega.


12. Ab apke mobile number me apki pasand ki caller tune jise jiotune bhi kehte hai set ho gayi hai.


13. Ab apko jo bhi call karenge unko ring ki jagah song sunai dega.

Is type se se ham apne jio mobile number me jiotune start kar sakte hai or apne callers ko apni pasnad ka song suna sakte hai or iske liye hame koi bhi charge nahi dena, friends post achhi agi to share jarur kare.

       Without otg cable mobile me keyboard connect kaise kare

Friends kaisi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock