YouTube Video Ko SEO Ready Kaise Banaye

YouTube Video Ko SEO Ready Kaise Banaye

Hello friends aj is post me YouTube video ko full seo ready kaise banate hai iske bare me share kar raha hu.


YouTube video ko seo ready kaise banaye uske bare me batayege kai bar esa hota hai ki ap koi video upload karo or vo YouTube par search karne par dikhai nahi deta ya bahut video ke bad dikhai deta hai ye apke upar defend karta hai ki ap apne video ko seo Kaise karte hai kyu ki Google ki tarah YouTube bhi seo Se hi video ko top me dikhata hai.


Agar ap new YouTuber hai to apke sath esa hua hoga ki ap bahut Se video upload kiye or apka koi video search me top par ni dikha to aj hm apko Jo tarika batayege use follow kar k ap koi video upload karege to uske top me aane ke chances kafi bad jayege or apko video viral tak bhi ja sakti hai to agar ap apni video rank karna chahte hai to pura article padhe.

YOUTUBE VIDEO SEO KAISE KARE -

YouTube video ko seo ready banane ke liye aage bataye sabhi tips ko thik se read kare or un sabhi tips ko apne YouTube videos me use kare use bad ao bhi apne YouTube channel me seo ready videos jarur upload kar payenge.

1. VIDEO NAME -
Ap video upload karte hai to upload karte time video ka name change Karna Bhul jate hai Jo ki apki video rank karne ke liye bahut jaruri hota he  koi bhi pro YouTuber jab bhi video upload karte hai to sabse pahle video kis bare me tha video ka vo name rakh ke upload karte hai jisse apke video ke bare me YouTube samaj paye ki apki video kis topic par hai so video upload karne Se pahle video ka name jarur change kare.


2. THUMBNAIL NAME -
Koi bhi video ho uske view badane ke liye thumbnails ka bahut bada role hota hai par kai bar apne notice nahi kiya hoga ki apne Jo thumbnail upload kiya hai ya banaya hai vo kisi or name Se save hota hai use change kar ke apne video ke title Se related thumbnails ka name dale uske bad ap kisi bhi video ka thumbain upload kare.

3. TITLE -
Apke video ko rank karne me sabse bada role apke title ka hota hai agar ap kisi dusre ka title copy kar ke apne video par dalte hai to apko copyright mil sakta hai or video viral bhi nahi ho pati isliye hmesha apne video Se related unique title likhe or koshish kare ki vo title pahle kisi ne naa rakha ho or sath me apko title me 1-2 keyword bhi use karne chahiye Jo apke topic Se related ho isse apke video ko rank hone me kafi madad milti hai.

       Youtube channel me playlist kaise banaye

4. DESCRIPTION -
Kai log video ke description ko itna important nahi mante par agar ap pro youtuber banna chahte hai to description ko miss nahi karna chahiye ye apke video ko rank karne me to madad karta hai hai par apke viewer ko bhi attract karta hai or new YouTuber ko description me hmesa Owner, Channel, Video ke bare me or related video ki link bhi description me deni chahiye sath hi ap 3-4  tags description me bhi jarur use Kate.

5. TAGS -
Tags apke video ko alag alag Target word search karne par apki video unko show karta hai jisse alag alag word search karne wale jyada logo tak apki video pahuch sake or apke view bhi bad paye uske liye ap Youtube, Keyword planner, semrush etc ki madad Se apne video ke liye best keyword search kar sakte hai.


6. CATEGORY'S -
Video upload karte wakt sahi category select karna bahut jaruri hai agar ap tech k video par music category dalogi or sochoge ki usme jyada view aayege to ap bilkul galat soch rahe hai apko apne video Se related category hi select karni hai agar ap dusri category select karte hai to use na to visitor pasand karte hai or na hi YouTube usme interest leta hai.

7. PLAYLIST -
Apke video ko top me lane or jyada view ke liye playlist ka bahut bada role hota hai YouTube apko unlimited playlist banane ka feature deta hai usme ap jaise ki blogging related video ke liye blogging ki playlist bana lo or seo related video ke liye seo ki playlist bana lo ese ap jistne topic par video hai usme playlist bana k all video ek ek kar usme add kar do ye apke video ko rank karne me help karegi.

8. SHARING -
Kai logo ka kahna hai ki unique view Se sharing view jyada aaye to channel monatize karne me problem ho sakti hai par uske bare me hm confirm nahi hai par apko video rank karna hai to usme view lane bahut jaruri hai uske liye ap Facebook or Twitter par. Video jarur share karo isse apko jyada Se jyada view milege or YouTube bhi apke video ko jaldi hi top me dikhane lagega.

       Youtube channel verify kaise kare

9. USE TEMPLATE
YouTube apko apne video me Template add karne ka option deta hai usse ap apne view ko seo kar sakte hai or isse apka channel or other video ko bhi promote hone me help milti ek video par ap only ek template hi use kar sakte ho or video me tamplate use karne Se video rank hone ke chance bhi thode bad jate hai.

10. UPLOAD UNIQUE VIDEOS -
Uske bare sayad sabhi YouTuber ko ye bat pata hai ki YouTube hmesha usi video ko jaldi rank karta hai Jo pahle Se YouTube par na ho or iske example ke liye ap movies, music etc k channel ya video dekh sakte hai ap kisi bhi topic par video upload kare to koshish kijiye ki ap esa video banaye Jo pahle kisi ne YouTube par nahi banaye ho or ek video apko professional YouTuber bhi bana sakte hai.


Friends ye Jo 10 tips apko bataye gaye hai inko use kar k ap apne video ko rank kara sakte hai or usme Se kuch tips use karna bahut easy bhi hai.

                       Guest Post -
mera name Raghuveer charan hai or mera blog Helpgurugroup.com hai, ummid hai apko post jarur pasand aayi hogi.

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock