AdSense ads code kisi other site me use ho rahe h kese bache

AdSense ads code kisi other site me use ho rahe h kese bache 
Hello friends aj me is post me bata yaha hu yadi hamare adsense ads code koi dusri site me use ho rahe h to usse kese bache


Sabhi blogger jante h ki adsense account approve karana kitna muskil kam h  par yadi adsense approve ho jata h or fir ham nahi chahte ki thodi si galti se hamara adsense account disapprove ho jaye

Kabhi kabhi jab ham adsense account earning check karte h to kabhi kabhi kisi other site h bhi hamare pas earning aane lagti h iska matlab h ki hamara AdSense ads code kisi other site me bhi use ho raha h jisse hamare adsense account ko khatra ho sakta h or cpc bhi kam ho jati h.

      Apni pasand ke AdSense ads show kese kare

Jab kisi other site se earning aati h to adsense user ke man me kuchh questions aate h jisse vo or bhi jada paresan ho jate h

Q. 1. Mene apna adsense ads code kisi ko nahi diya fir bhi other site me use kese ho rahe -

Ans. -  jab kisi other site me hamare ads code use hote h to hamare man me sabse pehle ek hi question aata h ki jab mene apna AdSense ads code kisi ko diya hi nahi to mere adsense ads code other site me use kese ho rahe h vo is liye jab koi apki post ko copy karte h to uske sath sath ads code bhi copy ho jata h

Or kabhi kabhi kuchh log post source se bhi adsense ads code nikal lete h or apni site me use karne lagte h jisse hamare adsense account me bad effect padta h

Q. 2. Mene other sites ko adsense me add nahi kiya to add kese hui

Ans. - ye questions jarur man me aata h ki jab mene other site ko adsense me add kiya hi nahi to vo site add kese ho gayi

Jab hamara ads code kisi other site me use hote h to us website ka url automatic hi adsense me add ho jata h lekin site verify nahi hoti h un verify rehti h or kabhi kabhi adsense se warning bhi mil jati h ki apke ads code other unverified website me use ho rahe h

        AdSense account apply karne ke bad kya kare full guide

Ummid karta hu friends apko apke man me chal rahe questions ka jabab jarur mil gaya hoga lekin abhi problem fix nahi hui h abhi problem fix karn baaki h to chaliye dosto jante h kisi other site me AdSense ads code use ho rahe h to usse kese bacha ja sakta h.

AdSense ads code kisi dusri site me use ho rahe h kese bache -


1. Sabse pehle AdSense account open kare

2. Ab adsense menu par click kare

3. Ab ap setting par click kare

4. Setting par click karne ke bad apko kuchh option dikhai denge ap my site par click kare


5. Ab apko yaha par sabhi website dikhai degi ab jis website me ads dikhana chahte h unko verify kar lijiye or jin website me ads nahi dikhana chahte unko unverified hi rehne de


6. Website verify karne ke bad apko upar 3 dot (.) Dikhai degi ap us par click kare


7. Ab apko 3 option dikhai denge ap site authorization par click kare


8. Ab hame yaha par only allow verify sites to use my ad code setting ko on karna h ap only authorize my verify sites to use my ads code is option ko enable (on)  kar dijiye


9. Ab ap save par click kare

10. Ab apne sabhi setting successful set kar liye h ab yadi apke ads code kisi other site me use hoge to apke adsense account me koi bad effect nahi padega or aapki cpc bhi kam nahi hogi

       Fast AdSense approval tips hindi

Jin other site me apke ads code use hoge us site me ads to dikhai denge par earning count nahi hogi isse ab apko koi problem nahi hogi

Is parakar se ham kuchh setting enable kar ke kisi other site me ads code use hone par adsense me bad effect padne se bacha sakte h

       Adsense review html code error fix kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock