Google map address edit kese kare

Google map address edit kese kare
Hello friends aj is post me google map address edit kese karte h iske bare me bata raha hu


Ap sabhi jante h ki google map service kitni popular h or lagbhag sabhi log google map ka use karte h yadi bat kare kisi new place ko dhundhne ki to sabse pehle ham google map me hi search karte h or google ki service bhi bohot achhi h


Jab ham google map me apna address add kar dete h to kabhi kabhi kuchh galti ho jati h usi galti ko thik karne ke liye hame google map me address ko edit karne ki jarurat padti h

Ex. -
Friend me apko ek example deta hu mera khud ka jab me google map me apna address add kar raha tha tab mujhse bola gaya ki yaha apna mobile no. Add kare mujhe laga mobile no. Add karna jaruri h isi liye mene apna mobile no. Add kar diya par problem tab hui jab koi bhi meri website ya mera name google map me search karte the to unko mera mobile no.  Bhi show hota tha

      Google map address me icon add kese kare

Yese me mere pas bohot sare calls or msg aana start ho gaye or aakhir me paresan ho gaya tab mene socha ab mujhe google map se apna mobile no.  Hata dena chahiye to mene address edit karke mobile no.  Hata diya.

Friend me ye post isi liye likh raha hu yadi apne bhi koi galti ya apna mobile no.  Add kar diye h to ap bhi thik kar sako to chaliye dosto start karte h.

Google map address edit kese kare -

Google map me apna address edit karna bohot hi aasan h bas apko niche bataye gaye sabhi steps ko thik se follow karna hoga to chaliye friends start karte h

1. Sabse pehle ap apne android mobile me Google map app open kare

2. Uske bad google map app ko gmail id se connect kare

3. Ab ap google map ke search box par click kare

      Google map me address add kese kare

4. Yaha par apna address name dale or search kare

5. Address search hone ke bad niche apko apka name dekhai dega ap name ko upar ki taraf swipe kare

6. Ab apko yaha par suggest an edit dikhai dega ap suggest an edit par click kare


7. Ab ap yaha par jo bhi edit karna chahte h edit kar sakte h

       Mobile personal dictionary kese use kare

8. Edit karne ke bad send ke icon par click kare


9. Ab apka google map address edit ho gaya h


Is prakar se ham apne google map address ko edit kar sakte h or kuchh galti ko sudhar sakte h

      Best app lock for android mobile

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

  1. Bro edit option show nhi ho re ha

    ReplyDelete
  2. Bro sabhi address me edit option hota h ap thik se address search kijiye or post ko thik se read kijiye jarur se edit kar paoge

    ReplyDelete
  3. kitna time lgta h edit hone me

    ReplyDelete
  4. Bhai edite hone me kitna time lagtaa hai

    ReplyDelete
  5. Edit karne ke bad 24 ghante me update ho jata h

    ReplyDelete
  6. Agar address abhi Publish nahi hai, wo in review hai to use edit kaise kar sakte hain ?

    ReplyDelete
  7. ap Google map me jakar my contribution par click karna yaha se edit ho sakta hai,

    Yadi vaha bhi edit na ho to apko address publish hone ka wait karna hoga

    Yadi address published nahi hota hai to ap new address send kar dijiye.

    ReplyDelete
  8. bahut acha jaankari mila thanks bro keep it up
    http://gyancorner.com/redmi-note-4-heating-issue/

    ReplyDelete
  9. Agar shop ka name edit karna ho to kaise karenge....

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock