Analytics account me multiple gmail id use kese kare

Analytics account me multiple gmail id use kese kare
Hello friends aj is post me analytics account me multiple gmail id use kese karte h iske bare me bata raha hu


Analytics account kya hota h ap sabhi to analytics ke bare me jante hi hoge or isse pehle bhi mene kuchh post kiya hu yadi nahi jante me thodi si information de deta hu analytics account me ham blog/website ka state (overview, traffic)  ke bare aasani se jan sakte h

Par kabhi kabhi hamare pas 2 gmail account hote h or ham ek analytics account ko dono (multiple) gmail account se connect karna chahte h to analytics account me ham multiple gmail id connect kar sakte h
      analytic account kese banaye

Analytics account me multiple gmail id use kese kare -

Analytics account me multiple gmail id setup karna bohot hi aasan h apko bas niche bataye gaye sabhi steps ko thik se follow karna to chaliye start karte h

1. Sabse pehle google analytics account me login kare

2. Ab ap admin par click kare

3. Admin par click karne ke bad user management par click kare


4. Ab yaha par apko apka gmail account dikhai dega

     Blog me multi user setup kese kare

5. Ab ap add permission for ke niche bale box me jis gmail id ko add karna chahte h usko add kare


6. Uske bad notify this user by email par tick kare isse ap jis gmail ko add kar rahe h uspar ek mail chala jayega

7. Ab add par click kare or new user(gmail id)  ko add kar dijiye

      Sitemap kese banaye blogspot.com domain ke liye

8. Ap apne jo new gmail id add kiye h uske aage apko read and analyze dikhai dega us par click kare


9. Ab apko new user ko kya kya access (permission) dena h yaha par tick kare yadi apki hi gmail id h to ap sabhi box par tick kare or save par click kare


10. Ab ap jis new gmail id (new user) add karna chahte h add hogayi h ap apke analytics account ko multiple (2) user id se use kiya ja sakta h

Is prakar se ham analytics account me multiple gmail id setup kar sakte h or ek account ko alag alag id se manage kar sakte h

      Blog post redirect kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur jarunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.