Post template kya h or kese use kare

Post template kya h or kese use kare 
Hello friends aj is post me post template kya h or post template ko kese use kar sakte h iske bare me bata raha hu


Yadi ap bhi blogging karte h to apko post template ke bare me pata hoga yadi pata nahi to me bata deta hu post template blogger ka ek feature jiske bare me aj is post me puri information share kar raha hu par pehle jan lete h ki ye h kya

Post template kya h - 

Post template blogger ka ek feature h jiski madad se hame post likhne me aasani hoti h jab ham post template feature me koi paragraph add kar dete h to jab ham new post likhte h to vo paragraph automatic post me aajata h har new post editor me aajata h jisse ek paragraph ko bar bar likhne ki jarurat nahi hoti

      Analytics account me multiple gmail id use kese kare

Me post template feature ko ek achha example se samjha raha hu jisse apko or aasani hogi is feature ko samjhne me

Ex.  -
Yadi me chahta hu ki last ka koi paragraph mere post editor me automatic aajaye vo bhi editing ke sath to me post template ka use kar sakta hu.


Jese mere pas ye ek paragraph h
Reehinditrick ki sabhi new post facebook me pane ke liye reehinditrick fb page like kare

      Blog me multi user setup kese kare

Mere pas ye ek paragraph h or me chahta hu jab bhi me koi new post likhu to ye paragraph automatic hi mere post editor me aajaye vo bhi formatting ke sath to yesa ho sakta h sayad apko bharosa na ho par ho sakta h to chaliye dosto start karte h or dekhte h ki post template ka use kis prakar kar sakte h.


Post template kese use kare -

Friends blogger me post template ka use karna bohot aasan h or us feature ko use karne ke liye apko jo text chahiye vo html me hona chahiye me apko bata raha hu ki paragraph ko html kese banaye or post template me setup kese kare to chaliye start karte h.

1. Sabse pehle blogger dashboard open kare

2. Ab yaha par new post par click kare

       Sitemap kese banaye blogspot.com domain ke liye

3. Ab yaha par ek paragraph likhiye jo ap har post me likhna chahte h.
Jese mene yaha ye likha hu
Reehinditrick ki sabhi new post facebook me pane ke liye reehinditrick fb page like kare


4. Ab ap paragraph ki achhe se formating kar dijiye jese ki bold, italic, link ye sab thik se kar dijiye

5. Paragraph ki thik se formatting karne ke bad post editor me html par click kare

6. Ab yaha par apko jo bhi dikhai dega sabhi html code ko copy kar lijiye


7. Html code copy karne ke bad blogger dashboard me aye

8. Ab ap setting par click kare

      Blog post redirect kese kare

9. Uske bad apko kuchh option dikhai degi ap post, comments and sharing par click kare


10. Ab yaha par post template ke aage add par click kare


11. Ab yaha par apko ek box dikhai dega copy code ko box me past kar dijiye


12. Ab ap save setting par click kare


13. Ab apne apne blog me post template code add kar diye h

Ab ap jab bhi koi new post likhenge  to apka ek paragraph post me automatic hi mil jayega vo bhi formatting sahit

      crawl error kya h or fix kese kare

Is parakar se se ham blogger blog me post template code add kar sakte h or post template feature ko use kar sakte h

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

  1. Bro Me Prowebblogging.com ka owner !!! Yaar meri id block hogaye he fb pe to muhjhe iss email pe reply ya message karo prowebblogging1@gmail.com

    ReplyDelete
  2. Nice
    Plz Mera blog check karke batao kesa he

    ReplyDelete
  3. bohot hi acha post hai .. https://assistmeindia.blogspot.com

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock