WordPress me plugin or theme delete kese kare

WordPress me plugin or theme delete kese kare
Hello friends aj is post me WordPress me plugins or theme delete or deactivate kese karte h iske bare me bata raha hu


Yadi ap wordpress use karte h to apko theme or plugin ke bare me jarur pata hoga par fir bhi me thoda thoda theme or plugin ke bare me bata deta hu

Plugins or theme ka use karke ham bina coding knowledge ke bhi WordPress website ko achhe se manage kar sakte h or aasani se wordpress ko use kar sakte h

      Free hosting me domain add kese kare

Par kabhi kabhi yesa hota h ham bohot sare plugins or theme ko active kar lete h isse thoda problem bhi hota h website me par yadi ham chahe to kuchh theme or plugin ko delete or deactivate bhi kar sakte h to chaliye dosto start karte h

WordPress me plugin or theme delete kese kare -

WordPress website me theme or plugin delete karna bohot aasan h uske liye apko niche ke steps ko thik se follow karna hoga

Wordpress me plugin delete kese kare -

1. Sabse pehle apni WordPress website dashboard open kare

2. Ab ap menu par click kare


3. Ab plugins par click kare or installed plugins par click kare


4. Ab ap jis plugin ko delete karna chahte h uske name ke niche apko deactivate dikhai dega ap deactivate par click kare


5. Plugin deactivate karne ke bad bahi par apko ek or option dikhai dega delete ka ap delete par click kare


6. Ab ek pop-up msg show hoga ap ok par click kare


7. Ab ap jis plugin ko delete karna chahte the vo plugin delete ho gayi h

       Free hosting se WordPress website kese banaye

Is prakar se ham jin plugins ka use nahi karna chahte h unko delete kar sakte h


WordPress website me theme delete kese kare -
Wordpress site me ham jitne bhi theme install (active) karte h vo sabhi theme store ho jate h or jab tak ham unko delete n kare vo theme install hi rehte h to chaliye dosto old themes ko delete karte h

1. Sabse pehle Wardpress dashboard open kare

2. Yadi apne mobile me wp open kiye h to ap mobile browser ko desktop version me open kare

3. Ab ap appearance par click kare or uske bad themes par click kare


4. Ab apko yaha par active theme or old theme dikhai denge

        Blog target country set kese kare

5. Ab ap jis theme ko delete karna chahte h us par click kare


6. Ab ek pop-up window open hogi ap sabse niche delete par click kare


7. Ab ek choti pop-up window or open hogi ap ok par click kare


8. Ab ap jis old theme ko delete karna chahte the vo theme delete ho chuka h

Is prakar se ham word press website me plugins or themes ko delete kar sakte h

      Gmail me kisi bhi mail ko block kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....


Comments

  1. Bhai Check Karo www.prowebblogging.com mene Template customize karliya he menu bhi check karna oper se end tak sub kuch dekhna... Or message isspe karna prowebblogging1@gmail.com :)

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock