Free hosting me domain add kese kare

Free hosting me domain add kese kare 
Hello friends is post me free hosting me domain kese add karte h iske bare me bata raha hu.


Pichhli post me mene hosting me WordPress install karna bataya tha par jab pichhli post me hamne wp website banaye the to sub domain ke sath banaye the jo bohot hi bada dikhai deta tha par aj ham apni padand ka domain free hosting me add karenge

Vese to ham chahe to website ka sub domain bhi use kar sakte h par vo sub domain use karne se url na hame yad rehta h or na kisi or ko to uske liye ham domain name buy kar ke apni website me set kar sakte h or chota or aasan url bana sakte h

      Free hosting se WordPress website kese banaye

Me yaha par apmo free hosting me  .tk domain add karna bata raha hu or sath hi me website me bhi kese lagate h iske bare me bata raha hu to chaliye dosto start karte h

Free hosting me domain add kese kare -

Friends free or paid dono hosting me domain add karna bohot aasan sirf hame hosting server name domain me add karna hota h or domain ko hosting me add kar lete h paid or free me thoda process aalag aalag ho sakta h free hosting me domain add karne ke liye ap niche bataye sabhi steps ko thik se follow kare.

1. Sabse pehle 000webhost website me login kare

2. Ab login karne ke bad menu par click kare

      Blog target country set kese kare

3. Ab apko yaha par bohot sare option dikhai denge ap set web address par click kare

4. Ab ap use domain par click kare


5. Ab apko yaha par server name dikhai dega un ko copy kar le


6. Ab new tab me domain website open kare or login kare

7. Ab my domain par click kare

8. Ab manage domain par click kare

       Gmail me kisi bhi mail ko block kese kare

9. Ab ap upar management tool par click kare or uske bad name server par click kare


10. Ab ap sabse pehle use custom name servers (enter below) ke aage tick kare

11. Ab yaha par hosting ka name searver past kare first box me first or second box me second past kare


12. Ab change name servers par click kare

13. Ab yaha se apna website name ko copy kar lijiye domain sahit or hosting site me jaye

       Google map address delete kese kare

14. Ab domain name ke niche bale post me copy kiye site name or domain name ko past kar dijiye


15. Ab ap park domain par click kare

Ab apki hosting me domain name add ho gaya h ab 24 hours me apka domain name hosting se puri harah se connect ho jayega to abhi apko 24 hours wait karna hoga

      AdSense ads code kisi other site me use ho rahe h kese bache

Friend abhi hamne domain name ko sirf hosting se joda h abhi domain ko website se link karna hoga domain name ko website se connect karne ke liye apki hosting server name domain me thik se add hona chahiye or domain hosting se puri tarah se connect hone par ham apni website ko domain se link kar sakte h

Domain website se link kese kare -

Apna website url me domain use karne ke liye apko niche ke sabhi steps ko thik se follow karna hoga

1. Sabse pehle hosting website me login kare

2. Ab menu par click kare or uske bad set web address par click kare

3. Ab ap niche manage par click kare

      Sitemap kese banaye blogspot.com domain ke liye

4. Ab apko yaha par kuchh option dikhai denge ap link website par click kare


5. Ab ap jis website se domain connect karna chahte h us website ko select kare or continue par click kare


6. Ab apko yaha par apki website name or domain name dikhai dega ap connect par click kare

7. Ab apki website se domain link ho gaya h

8. Ab ap WordPress me login kare

9. Uske bad setting par click kare or fir general par click kare

      Mobile garam hone par kya kare

10. Ab ap set website url ke aage bale box se old url delete karke new url add kar dijiye or save changes par click kare

Ab apki website me domain add ho gaya h ab ap apni website ko sort domain ke sath open kar sakte h

      Post template kya h or kese use kare

Is prakar se ham apni hosting me domain ko add kar sakte h or website se link kar sakte h ummid karta hu apko ye post pasand jarur aayi hogi

Friends kesi lagi post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

  1. Awesome….you deserve 1000+ Ratings.Bahut badhiya thank u sir ji aap ne mere bhut sare confusion dur kar diye thanks u agian

    ReplyDelete
  2. bhai mere website pr domin add kr do please mujhse add hi nhi ho raha hai domin .tk hai

    ReplyDelete
  3. Ap sabhi steps ko thik se follow kare ap jarur add kar payenge.....

    ReplyDelete
  4. nice post btw agar free website banani hai to blogger.com accha hai.

    ReplyDelete
  5. Yes bro free blog ke liye blogger sabse best hai

    Bt yadi WordPress me sift hona hai or usse pehle WordPress sikhne ke liye ek website banana hai to free ki hosting se banake aasani se WordPress ko achhe se sikh sakte hai

    ReplyDelete
  6. Hello,

    Sir 000webhost baqhut hi bekar hosting provide karte hai ye kisi bhi tarah ka support nhi dete hai aur website par aapna Add bhi show karate rahe hai.

    ishe acxha to GoogieHost hai jo Free unlimited Hosting Deta hai wo bhi Ads Free.

    ReplyDelete
  7. but free website is best on blogger but nice information

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock