Facebook account block hone se kaise bachaye

Facebook account block hone se kaise bachaye
Hello dosto aj is post facebook account block hone se kese bachaye iske bare me bata raha hu


Dosto aksar yesa hota h ki hamara facebook account block ho jata h kyon ki ham apne facebook account ka dhyan nahi rakhte h or kuchh yese kam karne lagte h jo facebook ko pasand nahi hota jisse hamara facebook account block ho jata h.


Ho sakta h apke sath bhi kabhi na kabhi yesa jarur hua hoga ki apka account temporary blocked ho gaya ho or account ko fir se access karne ke liye account me government proof id upload karna hota h.

         Facebook account safe kese rakhe

Par friends kabhi kabhi yesa bhi hota h ki ham jis name se account banate h us name ka government proof nahi hota h jisse ham account ko unblock nahi kar pate or facebook hamara account ko permanently disable kar deta h.

Facebook account block kyu hote h -
Yadi ham apne facebook account me kuchh spamming karte h jo facebook ko bilkul bhi pasand nahi is liye hame block kar diya jata h.

        Facebook post review start kese kare

Facebook account me spamming kisi bhi type se ho sakti h or block ho sakte h jese regular post ,regular commenting etc jab hamare account me ye sab regularly hota h to facebook ko lagta h hamara account hack h ya koi or access kar raha h to hamare account ko block kar diya jata h


Kabhi kabhi to hamara block hua account ko fir se access karna itna muskil hota h ki ham apne account ko fir access nahi kar pate or hamara account permanently facebook database se remove (disable) kar diya jata h to chaliye dosto han lete h kis type se account ko block hone se bacha sakte h.

Facebook account block hone se kaise bachaye -
Apne facebook account ko blocked hone se bachane ke liye ap aage bataye gaye points or tips ko thik se follow kare

Verify your facebook account -
Ham apne facebook account ko fully verify kar ke apne facebook account ko block hone se bacha sakte h.


Facebook account ko verify karne ke liye jab hamara facebook account temporary block hota h tab hame government proof upload karna hota h jisse hamara account fir se open ho jata h or account verify ho jata h.

Tagging -
Yadi ap apne facebook account me regularly apne friends ko tag karte h to apko sabse pehle tagging se suspend kiya jayega yadi ap fir bhi tagging nahi rokte h or Facebook post me regular tagging start karte h to apka account temporary block kar diya jayega.
         Facebook me schedule post kese kare

Link -
Apne facebook account me sabse jada spamming link share se hoti h bese to link share se account ko koi problem nahi hoti h par yadi ap koi galat link ya link bar bar share karte h to ap block ho sakte h to ap yadi link share karte h to regularly link share na kare

Comments -
Facebook post me regular fast fast comments karne or comments me kisi type ka link bar bar comments karne se facebook hame comments karne se suspend kar deta h

       Facebook account device activity check kese kare

Par yadi ham suspend hone ke bad bhi comments karne ki kosis karte h to account block ho jata h ap comments kar sakte h par ap dhyan rakhe ki comments regularly na ho

About -
Ap apne facebook account me apni information sahi se add kare jese ki date of birth, school, college, city, work etc.

        Facebook me color full comments kese kare

Ap apne account me email id or phone no. Jarur add kare ap chahe to add karne ke bad hide kar sakte h par add karna bohot jada important hota h.

Friends request -
Facebook me ek sath bohot jada friends request send karne se bhi ap spammers list me aa sakte h ap yadi facebook me friends request send karte h to ap thoda dhyan rakhe ki ek sath jada request na kare

Massage - 
Dosto sayad ap ye bat na mano ki message karne se bhi account block hota h par me yaha apko batana chahunga ji ha massage send karne se bhi account block ho jata h

Dosto yadi ap kisi se bat karte h to ap normally kisi se bhi kitni bhi bat kar sakte h or regular kitne bhi msg send kar sakte h apka account block nahi hoga

        Facebook email login alert start kese kare

Par kuchh yese code hote h jo facebook message me bhi allow nahi karti h or jis message ko send karne se hamara account block ho jata h


Dosto information ke liye bata deta hu yadi ap apne account ke about me jakar full details copy kar ke kisi ko message me send karte h to apka account block ho jayega to ap yesi galti kabhi nahi kare

Friends yadi ap chahte h ki apka account block na ho to ap apne account ko normally use kar sakte h or block hone se bach sakte h is prakar se ham in sabhi bato ko dhyan me rakh kar apne Facebook account ko block hone se bacha sakte h

         Facebook page or group link kese kare

Friends ye jo bhi point or tips mene yaha par share kiya hu inko bohot se log mante h or bohot se log in bato ko manne se inkar karte h ki in sab se kuchh nahi hota par yadi ap in sabhi bat ka dhyan rakhe to ap apne account ko block hone se jarur bacha sakte h

          Facebook profile me frame add kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock