Facebook account safe kaise rakhe

Facebook account safe kaise rakhe
Hello friends aj is post me Facebook account safe kese rakhe iske bare me bata raha hu


Facebook bohot hi popular social network h ap bhi facebook ka use jarur karte honge or ap apne facebook account ko secure rakhne ke liye kabhi n kabhi sochte jarur honge kese safe rakhe


Me aj is post me facebook ke kuchh security features ke bare me bata raha hu jisse ap apne facebook account ko kafi had tak safe kar sakte h.

        Facebook post review start kese kare

Base to friends account ko hack karna aasan nahi hota h par ek bat ye bhi h ki koi bhi kam namimkin nahi hota h is liye hame security ko ignore nahi karna chahiye or account secure rakhne ke liye sabhi security feature ka use karna chahiye to chaliye dosto jante h kese secure kar sakte h

Facebook account safe kaise rakhe -

Facebook account ki security badhane ke liye me aj kuchh security feature ke bare me or kuchh important information share kar raha hu to ap bataye gaye sabhi tips and feature ko thik se use kare.

Use two-factor authentication -
Apne Facebook account me two-factor authentication feature ka use kare iske madad se jab bhi apka account login hoga apke register mobile no. Me facebook ke taraf se code aayega code add karne ke bad hi apka account login hoga.

How to enable two-factor authentication -

1. Go to Facebook account settings

         Facebook me schedule post kese kare

2. Choose security and login


3. Click Use two-factor authentication option


4. And enable two-factor authentication feature


Enable login alert your facebook account -
Ap apne facebook account ko or bhi jada secure karne ke liye Facebook account me login alert start kar sakte h or apne facebook account me extra security feature on kar sakte h

Types of login alert -
Login alert ki bat kare to facebook me 2 type ka alert available h

1. Email - email  alert start  kese  kare 

2. Notification - notification alert start                                         kese  kare 

Me apko bolna chahunga ap dono login alert ka use kare jisse apka facebook account kahi or login hone par apko email or notification dono se pata chal chayega.

How to start login alert -

1. Go to account settings

2. Choose security and login option


3. Click Get alert about unrecognized logins


4. And enable notification & Email alert


Set strong password your facebook account -
Apne facebook account ko secure rakhne ke liye important h ki hamara password strong ho aaksar log ek sabse badi galti karte h ki strong password set nahi karte h yese me koi bhi unka account access kar leta h

         Facebook account device activity check kese kare

Aksar jada log kuchh is type ka password jada set karte h apna neme, date of birth, city name, relative name, mobile no. Yadi ap bhi yesa hi kuchh password add karte h to ap bohot badi galti kar rahe h


Ap apna password choose karte time strong password set kare password me numeric, alphabet or symbol ka use kar ke ham apna password ko strong password set kar sakte h

Strong password example -

1. Reetesh@123#

2. 123@#reetesh 

3. 123##Reetesh 

Ap apne password me kuchh is type se numeric, alphabet or symbol ka use kar ke ham ek achha strong password set kar sakte h or apne facebook account me strong password set kar sakte h

        Facebook me color full comments kese kare

Is post me bataye gaye tips ko follow kar ke ap apne Facebook account ko kafi had tak secure kar sakte h or apne account ko hacking se secure kar sakte h or apne facebook account ko safe kar sakte h

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to app comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye......

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock