YouTube channel me website add kaise kare

YouTube channel me website add kaise kare
Hello friends is post me YouTube channel me apna blog/website kese add karte h iske bare me bata raha hu


Aaksar yesa hota h ki hamare pas YouTube channel or website dono hote h yadi apke pass bhi youtube channel or website h to ap bhi apni website ko YouTube channel se link jarur karna chahenge


Friends YouTube channel me website add karne ke bad verify karna bohot jaruri hota h aaksar kuchh log yesa karte h ki YouTube channel se website to link kar dete h par verify nahi karte h or unki website pending me rehti h

         Youtube channel playlist me video add kese kare

Jab ham apne youtube channel me website add kar ke verify kar dete h to hamara channel ko YouTube channel ek brand ke jese samjh ne lagta h or YouTube hamare video ko search me jaldi rank karta h

YouTube channel or website link karne ke fayde - 
YouTube channel se website ko link karne ke kuchh fayde hote h jo me apko kuchh fayde yaha share kar raha hu.

1. YouTube hamare channel ko brand ke jese dekhta h

2. YouTube video search rank improve hoti h

3. Apni website ko YouTube se backlink mil jata h

YouTube channel se apna blog or website ko add karne ke liye sabse important h ki apka blog ya website google webmaster me verify hona chahiye yadi apki website webmaster tool me verify nahi h to ap pehle apne website ko verify kar lijiye

         YouTube channel analytics se connect kese kare

To chaliye friends aage badhte h or apne youtube channel se website ko link karte h or youtube me apni website ko verify karte h

YouTube channel me website add kaise kare -

Apne YouTube channel me website add karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apni website link jarur kar payenge.

1. Sabse pehle ap Youtube.com par jaye

2. Ab ap apni gmail id se login kare or apna YouTube channel open kare


3. Youtube channel open ho jane ke bad ap video manager (creator studio) par click kare

4. Ab ap yaha par CHANNEL par click kare

          Youtube channel ke liye analytics account kese banaye

5. Channel par click karne ke bad apko kuchh option or dikhai denge ap Advanced par click kare


6. Ab ap niche scroll down kare ab apko screen par associated website option dikhai dega

7. Yaha par ap box me apni website ka address add kare ap apna url kuchh is type se add kare
http://www.reehinditrick.in

8. Website Url add karne ke bad ap add par click kare

          YouTube channel layout customize kese kare

Ab apki website youtube channel me add ho gayi h yadi apki website YouTube me add karne ke bad pending dikhata h to apko apni website ko YouTube par verify karna hota

Website YouTube me verify kese kare -

Apni website ko YouTube channel me verify karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apni website ko verify jarur kar payenge

1. Sabse pehle ap apne youtube channel open kare

2. Ab ap video manager (creator studio) par click kare


3. Ab ap CHANNEL par click kare uske bad Advanced par click kare

        YouTube channel trailer video set kese kare

4. Ab apko yaha par apki add ki gayi website dikhai degi ap uske niche verify par click kare


5. Ab apko yaha par ek HTML Tag dikhai dega ap us tag ko copy kare


6. Ab ap apni website theme section par jaye

7. Ab ap edit html par click kare

        Youtube video me custom thumbnail set kese kare

8. Ab apne jo html tag copy kiye h us code ko ap <head> ke niche past kar dijiye


9. HTML Tag past karne ke bad save theme par click kare

10. Ab YouTube par jaye or verify par click kare


11. Ab apki website youtube channel me successfully verify ho gayi h


Is prakar se ham apne apne youtube channel me apni website ko add kar sakte h or website ko youtube me verify kar sakte h

        YouTube me branding watermark set kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

  1. Meri website add karne par success bataya tha. Par blog me post karte waqt video upload me my video me mere channel ka ek v video nahi aata.

    ReplyDelete
  2. My video me video show nahi hota h, ap second no. Ka option use kijiye From YouTube or yaha par apne channel ka name search kare usse apke channel ke sabhi video show ho jayenge and apni pasand ka. Add kar sakte h..

    ReplyDelete
  3. Thanks for helping me. Please visit httos://teckoe.blogspot.com

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock