Google account activity check or delete kaise kare

Google account activity check or delete kaise kare
Hello friends aj me is post me google account activity check or delete kese karte h iske bare me bata raha hu


Yadi ham chahe to apne google account activity check kar sakte h or chahe to activities ko delete bhi kar sakte h par isse pehle ham jan lete h ki google account activity kya h

Google account activity kya h -
Ap apne mobile me ya computer me jo bhi browser use karte h yadi apka browser google account se connect h to ap google me jo bhi search karte h vo sabhi searches google store kar leta h


Ham google me jo bhi searches karte h bo sabhi hamari activity hoti h or ham chahe to inko apni google account activity bhi bol sakte h

        Google+ profile custom url kese create kare

yadi ham chahe to google activities ko delete bhi kar sakte h ham jo bhi google account me search karte h usko aasani se google account se  remove (delete) kar sakte h

Google account me kon-kon si activity store hoti h -
Google me hamari lagbhag bo sabhi activities store ho jati h jo bhi work ham google account se connect ho ke karte h lagbhag vo sabhi activities ho jati h me yaha par kuchh activities bata raha hu

1. Google searching
2. YouTube
3. Google paly store
4. Location
5. Ads click

         Google drive kya h or use kese kare

Ye kuchh activities ke bare me bataya hu jo google account me store hoti h

Google hamari activities store kyon kar leta h -
Ye questions to apke man me jarur aata hoga ki kyon hamari activity store ki jati h to chaliye iske bare me thoda jan lete h


Ap ye to jarur manenge ki google sabhi service bohot achi provide karta h or bat kare activities ki to google better user experience or faster work provide karne me hamari activities ka use karta h

Example -
Yadi ap ek bar Google me "Reehinditrick" search karte h or yadi ap 5 days bad fir se google me "Reehinditrick" search karenge to ap jese hi google me "Reehi" type karenge to google apko apki pichhli activity ki madad se search box ke niche suggest karega "Reehinditrick" or ap suggest result par click karke reehinditrick search kar sakte h ap pic me dekh kar or ache se samjh sakte h


Par yadi Google me apki activities store nahi hogi to apko jo kuchh bhi search karna h apko har time pura search karna hoga par google ki service bohot advance h yadi ap kuchh popular chiz search karte h to bhi apko suggest kar diya jata h

Google account activity check or delete kaise kare -

Google account se apni google activity ko check or delete karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare to chaliye friends start karte h

1. Sabse pehle ap Google account open kare direct jane ke liye yaha click kare - google account 


2. Google account open ho jane ke bad apko GO TO MY ACTIVITY par click kare


3. Ab apko yako yaha par apki sabhi Search activity dikhai dega

        Google account se connected app or site check kese kare

4. Ab ap search ke icon ke side bale 3 dot (.) Par click kare


5. Ab apko yaha par kuchh option dikhai denge ap Delete activity by par click kare


6. Ab apko yaha par Delete by date ke niche Today dikhai dega ap today par click kare or All time select kare

         Google account device activity check kese kare

7. Ab apko DELETE par click karna h


8. Ab apse bola jayega ki ye items google account se permanently delete ho jayenge ap DELETE par click kare


9. Ab ap back button par click kare or My Activity page par bapas aajaye


10. Ab apko yaha Activity page me No activity dikhai dega matlab apki sabhi activities delete ho gayi h


Is prakar se ham google account me activities check kar sakte h or activities check karne ke bad apni All activity ko delete kar sakte h

         Gmail me kisi bhi mail ko block kese kare

Friends kesi lagi post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.