Google+ me bold, italic post kaise kare

Google+ me bold, italic post kaise kare
Hello friends aj is post me google+ me stylish bold, italics post kese likhe iske bare me bata raha hu


Friends yadi ap google+ use karte h to ap bhi google+ me bold, italic post karna jarur chahte honge to ham bohot asani se google+ me styles post kar sakte h


Google+, google ka ek bohot achha social media network h google+ bhi facebook ke jese bohot sare log use karte h or kahe to google+ bohot hi strong social media networks h

          Google account activity check or delete kese kare

Yadi ap google+ me bold, italic post likhna chahte h to ye bohot hi aasan h is post me bataye gaye steps ki madad se ap bold, italic or bold+italic post kar sakte h


Ye post 06/11/2017 ko likhi ja rahi h is time google+ me jada log bold, italic post nahi karte h yadi ap apni post styles karte h to jada se jada log  apki post ki taraf aakarsit honge or apki post me comments or sharing ke chances badh jayenge

           Google my business website/page customize kese kare

Ap sabhi ye to jante hi h ki simple words se jada bold, italic words bohot jada attractive hote h or yadi ap yese platform par inka use kar rahe h jaha par bold, italic post karne ka koi bhi option nahi h to apki post or bhi jada attractive ho jati h

Google+ me bold, italic post kaise kare -

Google+ me bold, italic post likhne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi Google+ me styles post jarur kar payenge

1. Sabse pehle ap plus.google.com site par jaye or apne Google account se login kare


2. Google+ me login ho jane ke bad apke screen par google+ home open ho jayega

       Google my business website/page create kese kare

3. Ab apko yaha par post editor open karna h jaha par ap post likhte h open kare

Bold kaise likhe -
A. Google+ me bold me post likhne ke liye apko post ke first me * (star)  lagana hoga or last me bhi apko * (star) lagana hoga kuchh is type se

             *hi friends*

B. Is type se post likhne ke bad ap upar post par click kare


C. Ab apki post google me publish ho jane ke bad apki post ke sabhi words bold dikhai denge


D. Ab apki post bold me successfully published ho gayi h

Italic kaise likhe -
A. Italic likhne ke liye apko post ke first me  _  is sign ko lagana hoga or  post ke last me bhi _ sign ko lagana padega kuchh is type se

           _hii my all best friend_

B. Post type karne ke bad ab apko post par click karna h


C. Post publish ho jane ke bad apki post italic me dikhai degi


D. Ab apki post italic me successfully published ho gayi h

Bold+italic kaise likhe -
A. Google+ me bold+italic post likhne ke liye ap post ke first me  *_ is sign ko lagaye or post ke last me bhi *_  isi sign ko lagaye kuchh is type se

      *_hello friends how are you_*

B. Post type ho jane ke bad ap post par click kare


C. Post publish ho jane ke bad ab apki post bold+italic me dikhai degi


D. Ab apki post bold+italic me successfully published ho gayi h


4. Ab ap in sign ka use kar ke google+ me aasani se bold, italic post likh sakte h or apni post ko or jada attractive bana sakte h

         Google my business account kese banaye

Is type se ham kuchh sign ka use kar ke google+ me bold italic post likh sakte h or apne friends ko or followers ko akarshit kar sakte h ab ap bhi isi type se google+ me stylish post likh sake h

Friends kesi lagi post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock