Youtube video me card or i button add kaise kare

Youtube video me card or i button add kaise kare
Hello friends aj is post me youtube video me card kese use karte h or i button jese add kare iske bare me bata raha hu


Sabhi YouTuber chahte h ki apne videos par jada se jada views mile or achhi earning ho or hamara channel or jada famous ho


Sabhi YouTubers vo sab kam karte h jisse video me jada se jada views aa jaye yadi ap bhi apne video me views badhana chahte h to ap apne youtube videos me card ka use kar sakte h par pehle jan lete h card kya hota h

YouTube me card kya h -
Youtube video me card ka use ham current time play video ki madad se other video ko promote karne ke liye karte h or apne viewers ke liye apne video me other video ya playlist add kar sakte h

          YouTube channel me business inquiry email add kese kare

Youtube video me card ek button hoti h jisko ham i button or details button bhi bolte h youtube me video upload karne ke bad ham apne video ko edit kar ke apne video me card option ka use kar ke videos or playlist add kar sakte h

Jab koi viewers hamare videos dekhte h or yadi viewer card button ya i button par click karte h to right side me ek chhoti slide open ho jati h or hamare add kiye gaye sabhi videos dikhai dete h


Ap pic me dekh kar to samjh hi gaye honge ki jab koi card, i button par click karte h to hamare card me add kiye gaye videos kis type se show hote h

          Youtube channel delete kese kare

Youtube video me card videos ko time ke aanusar alag alag time me bhi add kar sakte h yadi ham apne video me time ke aanusar card video add karte h to jis time me ham card video set karte h jab hamara video play hota h or card video jitne time me set h uska time aata h to users ko play video ke upar card kiye gaye video ka title suggest kiya jata h


Apne pic me dekh kar to samjh hi gaye honge ki other video ka title kis type se suggest kiya jata h jab koi users suggest kiye gaye video ke title par click karte h to hamara add kiya gaya card video me users ko redirect kar diya jata h

Youtube me kitne cards use kar sakte h -
Yadi apke man me bhi ye question aaraha h to me me sab kuchh clear karte huye aage badhta hu taki apko iske liye or other post ya video me visit na karna pade


Youtube video me ham 5 cards use kar sakte h simple kahu to ham youtube video me 5 video ko card ke roop me add kar sakte h or apne select ya add kiye gaye 5 videos ko promote kar sakte h

Youtube card me kya kya add kar sakte h -
Ab ye jarur soch rahe honge ki kya ham sirf videos bas card laga kar promote kar sake h to friend yesa nahi ap video ke sath sath playlist, channel, poll, website link ko promote kar sakte h

        Youtube channel me multiple gmail id add kese kare

Ab ap youtube video me card ke bare me to samjh hi gaye honge to chaliye ab jan lete h ki YouTube video me cards kese lagate h

Youtube video me card or i button add kaise kare -

Apne youtube video me card video or i button add karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad bhi videos me card jarur add kar payenge

1. Sabse pehle ap youtube.com par jaye or apne google account se login kare

2. Youtube me login ho jane ke bad ap apna channel open kare

3. Ab ap CUSTOMIZE CHANNEL par click kare


4. Yaha par ap video manager par click kare

5. Ab yaha par apki screen par sabhi apke youtube video dikhai denge

          YouTube channel subscribers hide kese kare

6. Ap jis video me card add karna chahte h us video ke side bale edit option par click kare


7. Ab apka video customize ke liye ready ho jayega ap upar Cards par click kare


8. Ab ap Add card par click kare


9. Yaha par apko kuchh option dikhai denge ap jo bhi add karna chahte h ap uske aage bale create par click kare me video or playlist add karna chahta hu to uske aage bale create par click kar raha hu


10. Ab apko yaha par apke channel ke videos dikhai denge ap ek video ko select kare or Create card par click kare


11. Ab apke video me ek card video add ho gaya h


12. Ab ap isi type se 4 or video ya playlist, channel add kar sakte h


13. Cards add ho jane ke bad add kiye gaye sabhi card automatic hi save ho jayenge

14. Ab apke youtube video me cards successfully add ho gaya h

          YouTube channel me website add kese kare

Is prakar se ham apne YouTube video me card, i button add kar sakte h or apne video ki madad se other video ko promote kar sakte h or apne youtube videos me views increase kar sakte h

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye.....

Comments

  1. aap muje ebatai ke mera youtube channal video uploud nahi kar parahi ho or subtaitle mangta hai

    ReplyDelete
  2. Ap youtube classes ki video upload bali post read kare ap jarur upload kar payenge..
    Yadi or ha yadi 15 mit se jada ka video upload karna hai to channel ko verify karna hoga..

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock