YouTube channel me business inquiry email add kaise kare

YouTube channel me business inquiry email add kaise kare
Hello friends aj is post me Youtube channel me business inquiry email id add kese kare iske bare me bata raha hu.


Yadi apka YouTube channel h to ap ko business email apne YouTube channel me jarur add karna chahiye aj is post me business inquiry email kese add karte h or kyon important h iske bare me details me share kar raha hu.


Business inquiry ka hamare YouTube channel me bohot important role hota h iski madad se hamare channels followers hamse aasani se contact kar pate h

Business inquiry email kya h -
Business inquiry mail ko ham contact mail bhi bol sakte h business mail ki madad se hamare channel visitors ya sponsor hamse aasani se contact kar sakte h

         Youtube channel delete kese kare

Par yadi hamare channel me business inquiry email nahi hogi to followers or sponsor ko hamse contact karne me thodi problem ho sakti h or ham kabhi nahi chahte ki hamare followers or sponsor ko yesi kabhi koi problem ho isse bachne ke liye ham contact email id add kar sakte h jisse hamse asani se contact ho sakta h

Business inquiry email add kyon kare -
Business inquiry email id add karne se hamara fayda hota h bo kese me aj apko kuchh point ki madad se bata raha hu jisse apka business email id kyon add kare ye equation clear ho jayega


1. Business inquiry email ki madad se hamare followers hamse aasani se contact kar sakte h jisse followers ka ham par trust badhta h

2. Business inquiry email ki madad se jo hamare channel ko sponsor karna chahte h hamse aasani se contact kar sakte h

3. Yadi hamara channel achha lagta h to product review or unboxing ke liye hamse contact kar sakte h

          Youtube channel me multiple gmail id add kese kare

To ab ap to samjh hi gaye honge ki channel ke liye business inquiry email kitni important hoti h par yadi na ho to hamara loss bhi ho sakta h to hame sirf ek email id to add karna hota h to hame channel me business (contact) email jarur add karna chahiye

YouTube channel me business inquiry email add kaise kare -

apne YouTube channel me business inquiry email add karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne channel me email jarur add kar payenge

1. Sabse pehle ap youtube.com par jaye or Google account se login kare

2. YouTube me login ho jane ke bad ap apna channel open kare

        YouTube channel art me link kese add kare

3. Ab ap CUSTOMIZE CHANNEL par click kare


4. Ab apka youtube channel customize ke liye ready ho jayega ap About par click kare

5. Ab yaha par apko For business inquiries option dikhai dega ap +Email par click kare


6. Ab screen par ek box dikhai dega ap baha par apna email, gmail id type kare or Done par click kare


7. Ab apke channel me business inquiry email id successful add ho gayi h


8. Jo bhi apka email id check karna chahte h vo apke channel ke about me jakar check kar sakte h


9. Ab apke channel par email id add ho jane par apke followers or sponsor aasani se apse contact kar sakte h

         YouTube channel subscribers hide kese kare

Is type se ham apne YouTube channel me business inquiry email set kar sakte h jisse jo hamse contact karna chahte h contact bina problem ke kar sakte h

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.