Youtube video me end screen & annotations use kaise kare

Youtube video me end screen & annotations use kaise kare
Hello friends aj is video me youtube video me end screen feature kya h or ise kese use karte h iske bare me bata raha hu


YouTube ka end screen & annotations feature bohot hi badhiya h is feature ki madad se ham apne channel me subscribers or views increase kar sakte h


Pichhli post me mene cards ka use kar ke youtube video me views ke se badhaye iske bare me bataya tha yadi apne post nahi padhe to ap yaha se padh sakte h "YouTube video me card or i button add kese kare" or end screen ke bare me details se janne ke liye ap post ko continue kare

Youtube me end screen or annotations do alag alag features h annotations ka use computer users ke liye kiya jata tha par current me mobile users jada hone ke karan youtube ne end screen feature laye h

         YouTube channel me business inquiry email add kese kare

Aj is post me end screen kya h or kese use karte h or end screen ke kya kya benefit hote h iske bare me details me batane bala hu to ham pehle jan lete h ki end screen kya hoti h

Youtube me end screen feature kya hai -
YouTube me end screen feature ka use se ham apne video me kisi or other video playlist ko promote kar sakte h or aasani se apne video ko promote kar ke views increase kar sakte h

End screen ko simple roop me samjhe to end screen feature ka use kar ke video ke last me ham apne channel ke other video ko aasani se promote kar sakte h ya apne other video ka advertising kar sakte h

         Youtube channel delete kese kare

Youtube ke end screen feature ka use kar ke video ke last 20 second me ham apne other video ka link or thumbnail add kar sakte h yadi users ko hamare add kiye end screen video me interested hote h to bahi par se hamara next video open kar lete h


Video ke end screen par ham video or playlist add kar sakte h, channel subscribe button add kar sakte h, other channel h to usko add kar ke promote kar sakte h, website ko add kar sakte h or video viewers ko website me redirect kar sakte h

Jab ham kisi video me end screen set karte h or user us video ko play karte h to jese hi hamara video last 20 second ka bachta h screen par hamare add kiye gaye other elements dikhai dete h


Ap ap pic me dekh kar add kiye gaye end screen elements kis type se dikhai denge samjh hi gaye honge jab koi promote kiye gaye thumbnails par click karte h to direct hamara channel ke video open ho jate h ya direct hi channel subscribe ho jata h

End screen feature ke benefits -

1. Videos me views increase kar sakte h

2. Free me apne videos ko promote kar sakte h

3. Subscribers increase kar sakte h

4. Website link add kar ke video viewers ko website me redirect kar sakte h

5. Other channel ki link add kar ke other channel me views badha sakte h

           Youtube channel me multiple gmail id add kese kare

To friends ab ap samjh hi gaye honge ki end screen kya h or iske use karne se hame kitna benefit ho sakta h yadi ap ek youtuber h to me apko suggest karunga ap apne video me end screen feature ko jarur use kare

Youtube video me end screen use kaise kare -

Youtube me end screen feature ka use karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne video me end screen feature use kar payenge

1. Sabse pehle ap youtube.com par jaye or apne google account se login kare

2. Ab ap apna youtube channel open kare

3. Yaha par apko CUSTOMIZE CHANNEL par click karna h


4. Apko search bar ke niche video manager dikhai dega ap video manager par click kare

          YouTube channel art me link kese add kare

5. Ab apko yaha par apke channel ke videos dikhai denge apko jis video me end screen add karna h uske side bale edit par click kare


6. Edit par click karne ke bad ab apka video editing ke liye ready ho jayega

7. Apko upar kuchh option dikhai denge ap End screen & annotations par click kare


8. Ap ap apne video ko last ke 20 second se pehle rok dijiye


9. Ab apko add element button enable dikhai degi ap Add element par click kare

          YouTube channel subscribers hide kese kare

10. Ab ap jo bhi element add karna chahte h uske aage bale create par click kare me yaha par video add karna chahta hu video or playlist ke aage bale create par click kar raha hu


11. Yadi ap video or playlist add karna chahte h to apko yaha par 3 option dikhai denge

1. Most recent upload
2. Best for viewer
3. Choose a video or playlist


Ap yaha par 3 no. Option choose a video or playlist par tick kare

12. Ab apko apke upload video dikhai denge ap ek video ko select kare or create element par click kare


13. Ab apne jis video ko select kiye the us video ka thumbnail or title apko video screen par dikhai dega


14. Ab ap yadi end screen me add kiye gaye element ki jagah change karna chahe to ap thumbnail par click kar ke screen par swipe kar ke ek jagah se dusri jagah thumbnail move kar sakte h

        YouTube channel me website add kese kare

15. Jis tipe se hamne abhi video add kiye h usi type se ap 3 or other elements video, subscribe, channel website add kar sakte h

16. Add kiye gaye 4 elements apko kuchh is type se dikhai denge


17. Apne video me end screen elements add kar dene ke bad ap save par click kare


18. Ab apke sabhi changes save ho jayenge


19. Ab aapne apne youtube video me end screen successfully add kar liye h isi type se ap other videos me bhi add kar sakte h

        Bluetooth se internet share kese kare

Is type se ham apne YouTube videos me end screen annotations ka use kar sakte h or apne videos ko free me promote kar ke apne videos me views increase kar sakte h

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock