blog post google me fast index kaise kare

blog post google me fast index kaise kare

Hello friends aj is post me blog post ko google search me jaldi kese laye iske bare me bata raha hu is post ki madad se ap bhi apni post ko jald hi search me jarur la payenge


Sabhi blogger chahte hai ki blog ki post fast index ho or blog ki post jaldi se jaldi search results me show ho, jab ham apne blog par new post publish karte hai to post ko search result me show hone me thoda time lagta hai


Jab ham apne blog par koi new post publish karte hai to hamari post bina kuchh kiye hi google search me show hone lagti hai par post ko search me aane me thoda time lag jata hai jisse post slow index hoti hai

        Comment se do-follow backlink kese banaye

Yadi apki koi trending post hai or vo post time me search result me show nahi hoti hai to apki organics traffic ka bohot jada nuksan ho jayega is liye sabse jada important yahi hai ki hamari post jald se jald search result me aaye


Google search me post fast index karne ke liye google search engine hame ek bohot achha feature provide karta hai fatch us google, fatch us google feature ki madad se ham apni post ko direct google me submit kar sakte hai

Jab ham fatch us google feature ka use karte hai to google ko direct hamari post ka link mil jata hai jisse hamari post jald se jald index ho jati hai kisi bhi post index hone ke liye blog or website ki achhi rank honi bohot jaruri hai jitni achhi hamare blog rank rahegi hamari post utna hi fast index hogi

blog post google me fast index kaise kare

Blog post ko google search engine me fast index karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apni post ko fast index jarur kar payenge

1. dosto sabse peshle blogger.com me jaye or login kare blogger dashbord me jaye or view blog par click kare

2. yaha par us past par click kare jisko apko google me index karna h


3. post  me ane ke bad upar click kare jaha par post ka url hota h vaha par click kare

        Backlink kese banaye - best way to increase backlink

4. ab post ka url ko copy kar le http://www.reehinditrick.tk/2016/12/kisi-bhi-app-se-ads-kese-block-kare.html?m=1
Is tarah ka url hoga isko copy karle

5 ab apko google search console par jana h google search console par login kare

6. ab crawl me jaye yaha par fatch as google par cllick kare

7. ab yaha par apko ek box dikhega jese pic me dikh raha h vaha par jo url copy karke laye h usko past kar de


http://www.reehinditrick.tk/2016/12/kisi-bhi-app-se-ads-kese-block-kare.html?m=1 ye url hamne copy karke laye the par hamko yaha par is tarah se dalna h 2016/12/kisi-bhi-app-se-ads-kese-block-kare.html?m=1

8. fatch par click kar de

9. ab requst indexing par cllick kare

10. ab i m not a robot par click kare

11. Ab yaha par crawl only this url par click kare or uske bad go par click kare


12. Ab hamari post ki link successfully submit ho gayi hai

Is prakar se ham fatch us google feature ka use kar ke apni post ko jald se jald search result me la sakte hai or apni posr me organic traffic la sakte hai ham 1 month me 500 post fatch us kar ke post ko fast index kara sakte hai

          Backlink kya hai - types and benefit of backlink

Kuchh yese website or blog bhi hote hai jinki rank thodi kam hoti hai yese me un blogs ki post ko index hone ne thoda time lagta hai par index ho jati hai yadi apki post fatch us karne par bhi show na ho to apko post ke index hone ka wait karna hoga

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge rab tak ke liye bye...

Comments

  1. nice post sir... but fetch and render se kya hota hai??

    techhindipost.com

    ReplyDelete
  2. Bhot Achi article likh he excellent job aise hi badhe hamari dua hai sir. ...

    ReplyDelete
  3. Great article bohat acha Tara samjay ya hai
    http://www.ruhankumar.com/2018/12/blog-post-ko-google-me-index-jaldi.html?m=1

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock