Comment se do-follow backlink kaise banaye

Comment se do-follow backlink kaise banaye

Hello friends aj is post me comments ke through Do-follow backlinks create kese karte hai iske bare me bata raha hu


Backlinks blog seo or blog ki rank badhane ke liye kitne important hote hai ap to jante hi hai yadi nahi  jante hai to don't worry "backlinks kya hai - benefit and types of backlinks" is post me apko backlinks ki puri jankari mil jayegi


Website ke liye high quality backlinks create karne ke bohot sare raste hai jinse ham apne blog ke liye do-follow backlinks create kar sakte hai par aj me apko batane ja raha hu yesa idea jiski madad se ap comments se bhi do-follow backlinks create kar sakte hai

Comments ke through do-follow backlinks create karna baki sabhi ideas se easy idea hai but apke mind me ek question to aata hi hoga ki. Comments se to no-follow backlinks milte hai to fir do-follow kese mil sakta hai

          Backlink kese banaye - best way to increase backlink

Comments ke through do-follow backlinks commentluv system ke through mil sakta hai to chaliye friends commentluv system kya hai iske bare me thoda jan lete hai

commentluv system kya hai (what are commentluv system) -

commentluv system ek yesa tarika hai jisse ham comments ke through do-follow backlinks create kar sakte hai


yesi bohot sari website hoti hai jin par commentluv enable hota hai ap un website se apne blog ke liye comments se do-follow backlinks create kar sakte hai

commentluv enable comments box bhi sem WordPress comments box jesa hi hota hai but luv comments enable comments me ek feature extra hota hai jiski madad se hame do-follow backlinks milta hai

Comments se do-follow backlink kaise banaye -

Comments ke through do-follow backlinks create karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thil se follow kare uske bad ap bhi apne blog ke liye do follow backlinks jarur create kar payenge

1. Sabse pehle ap apne mobile ya computer me browser open kare or google.com open kare

2. Ab apko yaha par search bar me "commentLuv enable blog list" type kare or search button par click kare

3. Ab ap kisi ek post ko open kare, ek important bat list me jitne blog hote hai sabhi me commentLuv enable nahi hota hai to apko ek ek check karna hoga

4. Ab apko list me se kisi ek website ko open karna or us website me kisi bhi post ko open karna hai


5. Ab post open ho jane ke bad apko sabse pehle check karna hai ki commentLuv enable hai ya nahi

6. CommentLuv enable hai ya nahi check karne ke liye ap post ko scroll kare or comments box par jaye

          Mobile se blogging kese kare important tips

7. Ab ap yaha par comments box ke niche check kare CommentLuv dikh raha hai ki nahi ap pic me dekh kar achhe se samjh sakte hai


8. Yadi apko comments box ke niche commentLuv dikhai deta hai to ap jis website ne hai us website me commentLuv enable hai

9. Ab apko yaha par se do-follow backlink create karna hai

        Blog target country set kese kare

10. Sabse pehle ap 1st box me comment box me comment type kare, 2nd box me apna name type kare, 4th box me gmail id type kare, or 5th box me website url add kare

11. Ab apko commentLuv check box enable dikhai dega us check box par click kare or check box se tick hata dijiye


12. Ab apne commentLuv disable kar diye hai apko fir se commentLuv ke aage bale check box par click karna hai or commentLuv ko enable karna hai


12. Ab apko apki website ke kuchh post ka title show honge ap kisi ek post title par click kare jisme ap backlink lena chahte hai


13. Ab apko Post comment par click karna hai ab apki comments post ho jayegi


14. Jese hi website owner apki comments publish karenge apko us comment se ek backlink mil jayega


15. Ab apne apni website ke liye successfully ek backlink create kar liye hai


16. Isi type se ap or bhi comments kar sakte hai or backlinks create kar sakte hai

Is prakar se ham other blogs par comments kar ke apne blog le liye backlinks create kar sakte hai or apne backlinks increase kar sakte hai

          Blog me comments form message add kese kare

Mene jo comment screenshot post me dikhaya hu vo wikiment.com site me ki hui comment hai wikiment me commentLuv enable hai ap check kar sakte hai

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock