Mobile se zip file unzip kaise kare

Mobile se zip file unzip kaise kare

Hello friends aj is post me zip file ko unzip kese karte hai iske bare me bata raha hu


Zip or rar file kya hoti hai ap to jante hi honge zip file ka use ham bohot sari files ko ek file me compress kar ke rakhne ke liye karte hai


jab ham internet se kuchh dawnload karte h to kuchh file hame zip me milti h or un file ko use karne ke liye pehle unzip karna hota h jese ki costom rom, template ye sab hamko zip file me dawnload karna padta h or jab ham inko use karna chahte h to pehle usko unzip karna padta h

         Android mobile root kese kare

Zip files ko ham unzip kiye bina use nahi kar sakte hai yadi ham zip ke undar compress kar ke rakhi gayi files ko use karna chahte hai to hame zip ko unzip karna bohot jaruri hota hai

Zip file kya hai -

Dosto jab ek se adhik file ko kisi ko net se ya email se kisi ko bheja jata h to un file ka size bada hota h or alag alag bhejna padta h lekin us file ko ek bar me bhejne or file ka size kam karne ke liye zip file bana dete h jisse file ek hi zip file me ek se adhik file ajati h jisse usko bhejne me asani hoti h or hamko dawnload karne me asani hoti h


Zip file ko or bhi jada secure banane ke liye zip file create karte time ham zip file me password set kar sakte hai or apni zip file ko secure kar sakte hai zip ka jada use internet me file sharing ke liye kiya jata hai kyonki zip file hamari files ko virus se bhi secure rakhti hai

Mobile se zip file ko unzip kaise kare -

Mobile se zip file ko unzip karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne mobile se zip file ko aasani se unzip kar payenge

1. Sabse pehle play store  se Rar name ka ek app download kar le click hare-Rar apk

2. Ab ap rar app ko open kare


3. Ab ap ki zip file jis folder me h us folder me jaye

         Mobile root kya h - benefit of rooted mobile

4. Ab yaha par jis file ko unzip karna h uspar thodi der tak press kar ke rakhe fir option show hoge un me se extract here par click kare


5. Ab ek new folder ban jayega jis name se zip file h us name se folder banega ya ap or kahi le jana chahte h to or koi folder choose kare or folder ke age tick kare

6. Ab apko upar bale arrow par click karna hai


7. Ab yaha par ok par click kare


8. Ab apki zip file unzip ho gayi h


9. Ab ap files me jaye or jis folder me apne zip file ko unzip kiye ho us folder me jaye or check Kare

Is prakar se ham mobile se zip file ko asani se unzip kar sakte hai or zip file ko mobile me use kar sakte hai

         Mobile font change kese kare

Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

How to Make Any LED TV a Smart TV

How to Change Mobile Keyboard Size (Updated 2020)

How to break mobile screen lock / Remove Screen Lock