Android mobile speed kaise badhaye
Hello dosto aj is post me android mobile speed kaise badhate hai iske bare me bata raha hu.Jab ham new mobile buy karte hai mobile jab new hota hai to kuchh din to achha chalta hai par jese jese ham mobile ko use karte hai mobile storage use karte hai or apps install karte hai to dhire dhire hamara mobile slow hone lagta hai par kahi na kahi hame lagta hai kash me apne mobile ki speed or thoda increase kar pata jisse mobile ki speed achhi ho jati
android mobile me company jitni speed set kar ke hame deti hai mobile me usse jada speed hoti hai par company full speed kar ke nahi deti hai par ham chahe to apne mobile ki speed badha sakte hai or mobile ko full speed me use kar sakte hai
Best offline or online android mobile games
Sabhi android mobile me developer option hota hai developer option me thoda sa changes kar ke ham apne mobile ki speed ko increase kar sakte hai or pehle se jada speed kar sakte hai or yadi hame kabhi lage ki hame is option ka use nahi karna chahiye ya hamse koi galti ho gayi hai to ap is developer option ko off (band) bhi kar sakte hai.
Sabhi android mobile me developer option hota hai ye to ap jan hi gaye hai par jese sabhi mobile me developer option hota hai usi prakar sabhi mobile me developer option hide (disable) hota hai, is option ka use karne ke liye pehle hame is option ko Setting me show (enable) karna hota hai uske bad ham developer option ka use kar sakte hai.
Android mobile speed kaise badhaye -
Apne mobile ki speed increase karnw ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne mobile ki speed jarur increase (badha) kar payenge.1. Sabse pehle apne mobile ke app menu me jaye or settings par click kare
2. Mobile ki setting open ho jane ke bad ap about phone par click kare
3. Ab ap yaha par build number par click kare build number par 3-5 bar click kare
4. Ab ap back button par click kare
5. Ab apko about phone ke upar ek option or dikhai dega developer options
Android mobile app kaise banaye
6. Ab hamare mobile me developer option enable ho gaya hai
7. Ab ap developer options par click kare
8. Developer options open ho jane ke bad developer option ko on kare
9. Ab ap screen scroll kare or thoda niche jaye or in option ko Dhunde
Window animation scale
Transition animation scale
Animator duration scale
10. Ab ap in options ko kuchh is type se set kare
Window animation scale
.5x
Transition animation scale
.5x
Animator duration scale
.5x
11. Ab ap apne mobile ko ek bar restart kare
12. Ab ap dekhenge ki apka mobile pehle se jada speed me chal raha hai
Is type se ham developer options ko enable kar sakte hai or developer options ka use karke apne android mobile ki speed badha sakte hai ummid karta hu apko post pasand aayi hogi.
user apps ka backup kaise banaye
Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye...